Ultti pari hain kashtiyan sab rait par meri, Woh lay gaya hai dil say samandar nikaal ke…

Taaqat-e-fariyad bhi mujh main na baaqi reh gayi, Zulm karna aap ko mujh per ab asaan ho geya..

Hai dil ko yaqeen na woh aye ga palat ke kabhi, Magar phir bhi aankhon ko hai intizaar usi ka..

Jo aaj mujh se bichar kar bare sakoon mein hai, Kabhi woh shakhss mere waastey azaab mein tha..

Usny tora tha mera dil us se koi shikayat nahi, Ye Usi ki Amanat thi usy acha lga so tor diya..

Osy bhi ahdy-e wafa  totny  ka gham ho ga bhari hy daman may mery bhi karchiyan kitni

Woh kehta hai bohat hi majbooriyan hain waqt ki, Saaf lafzon main khud ko bewafa nahin kehtaa..

Tu mujhe chorr ke jane laga to yakeen aya hai, Saanson ke siwaa kuch bhi to zaroori nahi hota..

Lehjaa-e-yaar mein zeher hai bicchhuu ki tarah, Woh mujhe aap to kehta hai magar tuu ki tarah..

Bheerr itni to nahin thi sheher ke bazaaron main, Khone wale tu ne kuch dair to dhoonda hotaa..

Koi majburiyan hon gi jo wafa kar na paya, mere mehboob ko na shamil karo be-wafao’n me..

Bohat hi shok tha unhe mera aashiyana dekhne ka, Dekhi jab meri ghareebi to rasta badal liyaa..

Nahin shikwa mujhe kuch bewafaayi ka hargiz, Gila to tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhayi ho..

Teri is bewafai per fida hoti hai jaan mohsin khuda janey tujh mein wafa hoti to kya hota…

Aaj tum mehfil-e-yaraan mein ho to maghroor bohat, Jab kabhi toot ke bikhro ge to yaad aaon ga..