Sar uthaney ka bhala aur kisy yara tha.. Bas teray shehar mein ye rasm ada hum sey hui!

Yeh log wese to baat nahin suntey, Mujhe majmaa* lagana partta hai.. (majmaa;gathering)

Zara si dair me har she chamak othe gi naseem, Seher hoi hai to noor e seher bhi ae ga.

Har ek baat pe kehtey ho tum ke tu kya hai, Tumhi kaho ke yeh andaaz-e-guftgu kya hai..

Heraan huye na they jo tassawur mein bhi kabhi, Tasveer ho gaye teri tasveer dekh kar..

Woh Samajhta Hai K Har Shakhs BadaL Jata Hai Usay Lagta Hai Zamana Us Kay Jaisa Hai..!!

Liye phira jo mujhy darbadar zamanay mein. . Khayal tujh ko dil-e-beqaraar! Kis ka hai?

Zakhm-e-dil sehney ki adat is qadar pukhta hui.. Harna akhir ko mera mashgla banta gya!

Zindagi ka lamha lamha karna is tarha basar..!! Tu chala jaye pe teri kami baki rahey..

Guzray gi ab na ghum ka madawa kiye baghair Banti nahi ajal se taqaza kiye baghair. . !

Bikhar Rahe Hain Meri Zindagi K Tamam Warq. Na Jany Kab Koi Aandhi Uraa K Le Jaye. . .

Tu ny hi kia tha mohobat ki kashti mein sawar, Ab ankhen na chura muje doobta bhi dekh.

hamare sach ki gawahi par ungalyan na utha, yahi to aib hum apne hunar main rakhte hain

Un se mili nazar to palat kar na aasaki Woh rishta nigaah bhi kab darmeyaan raha…

Pyar tha, mohabbat tha, ishq tha, adaa tha, Wafaa bhi hoti to qayamat tha woh shakhss..