Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana ,Na jaane kahan kho gaya vo zamana ,Tumhen bhuulane ki ma koshish karunga ,Ye vaada karo ke na tum yaad ana ,Mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai ,Tumhen bevafaa kah raha hai zamana ,Khudara meri qabr pe tum na aana ,Tumhen dekh kar shaq karega zamana .

Your Comment Comment Head Icon

Login