Hazar un se muhabbat jatane wale hainZamane wale bhi lekin zamane wale hain...Bahar jin ke naqsh-e-qadam pe nazan haiYe khush khuram qayamat uthane wale hain...Woh beqasoor hain wada agar wafa na hoQadam qadam pe unhein wargalane wale hain...Tumhari chashm-e-karam ne jinhein hawa de diWoh khush shanas kahan sar jhukane wale hain...Unhein wafa-o-muhabbat ka tajurba hi nahinJo bekhabar unsey apna banane wale hain...Shab-e-faraq sitaron se khaak dil behleKe rafta rafta ye sab doob jane wale hain...Woh poochhte hain to sab haal arz ker AmanYe ittefaq kahan haath aane wale hain...

Your Comment Comment Head Icon

Login