Khuda wo waqt na laye k sogwaar ho tu,Sakon ki neend tujhe bhi haram ho jaye,Teri musarat-e-peham tammaam ho jaye,Teri hayat tujhe talkh-e-jaam ho jaye,ghuamo may aina dil gadaz ho tera,Hujoom yaas se be-taab ho k reh jaye,wafood-e-dard se seemab ho k reh jaye,Tera shabaab fakat khawab ho k reh jaye,Garror husun sarapa niyaz ho tera,Taweel raton may tu bhi karar ho tarse,Teri nigah bhi kisi ghumgusar ko tarse,Khiza raseeda tamana bahar ko tarse,Koi Jabeen na teresang-e-astaan pe jhuke,K jinso ajaz-o-aqeedat se tujh ko shad kare,Fareb wadae farda pe aitmaad kare,Khuda ko waqt na laye k tujh ko yaad aye,"Wo Dil K Tere Liye Be-Karar Ab Bhi Hay,Wo Ankh Jis Ko Tera Intizar Ab Bhi Hay"0300 2711 588 / 0333 9968 674
Like (0) Dislike (0)
Your Comment