Us Shakhs Ne Aankhon Se Tableegh Hi Yun Ki, Ke Main Bin Soche Mohabbat Pe Emaan Le Aaya.!

Tum se to khair ghari bhar ki mulaqat rahi Loog to sadyoun ki rafaqat ko bhula detay hain

Muddat k baad azn-e-tabassum mila magar. . Wo bhi kuch aisa talkh k aansu nikal parray. .

Toota tilism-e-waqt to kiya dekhta hon mein.! Ab tak isi jagha pey akela khara hon mein..

Thehar ja mein ik akhri jam pi loun.. Bahar’on ko hukam-e-khiza’n denay waley

Zindagi key diwaano sooye karbala dekho.. Ishq kis salikey sey zindagi mein dhalta hai.!!

hiddat-a-gham ko tabasum main chupany walo Dil ka hr zakham nigahoon sy ayaaan hota hai?.

Zindagi pheli hui thi sham-e-hijra’n ki tarha! Kis ko hosla tha kon je ker dekhta..

Khuda gawaah hai, bari mushkil se miltaa hai, Woh aik dil jo mohabbat nibhaney waala ho..

Zindagani ki haqeeqat kia hai ye bhi sochna.. Sham ko jab dobtey soraj ka manzar dekhna.!

Mushkil hua hai rehna humain is deyaar mein, Barson yahan rahe hain, yeh apna nahin hua..

Aur kuch bhi mujhe darkaar nahin hai lekin, Meri chaadar mere pairon ke baraabar kar de..

Kuch tu hi mery dard ka mafhoom samajh lay. . Hansta hua chehra tou zamanay k liye hai. .

hath zakhmi huye to kuch apni he khata thy lakerron ko mitana chaha kise ko panay k lyeee

Zamanay mein dukh tou aur bhi boht they lekin Na janay kyun wo dukh mujh ko badal gaya. .