Log her baat ka afsaana bana laitay hain Sab ko halaat ki roo-daad sunaaya na karo…

Hairat hai, is ney apni pursatish hi kiun na ki.. Jab adami ko pehly pehal aina mila..!!!

Jahan jahan kOi thokar hAI meri kismat mein, Wahin wahin liye phirti hai zindagi mujh kO.

likha hai mera naam samundar pe hawa ne aur dono ki fitrat main na sukoon hai na wafa hai

TumhieN fursat ho dunya se to hamsy aa k milna Hamary paas fursat k siwa kya reh gaya hai

Wo tha to kahin waqt thehrta hi na tha…! Ab waqt guzrny mein bohat waqt lagta he?..

Jo uski chaah me guzri woh zindagi hai meri, Uske baad to guzaara hai zindagi ne mujhey..

woh jb bhi zara rootha chup bethay rahay hum bhi ek baar mana letay ,,to roz khafa hota..

Har Ek Paaon Mujhe Raundete Huye Guzre Na Jaane Kaun Si Manzil Ka Rasta Hoon Main….

Adal-o-insaaf faqat hasher per moquf nahi.. Zindagi khod gunah’on ki saza hoti hai!

Ab tu mujh ko bhi nadamat hai wafa par apni, Mukhtalif kitna zamanay se chalan mera tha..

Apni sochun ko yakjah kar ke jo dekha main ne, Jaisay zindagi ho meri koi ehsaan os kaa..

Kuch logo ke hisay main mohabbat nahi aati, Kuch log younhi chup chap chalay jatay hain..

Jism ka bojh mohabbat main zarori tu nahi, Rooh ban kar kabhi paiker se nikal kar dekho..

Bohat dino main mohabbat ko yeh howa maloom, Jo tere hijar main guzri wo raat, raat hui..