Shola-e-husn sey jal jaye na chehray ka naqaab.. Apney rukhsar sey pardey ko hataye rakhiye!

Jab bhi aye to lage hai woh mujhe uktaaya hua, Lekin aese ke palatt kar bhi na jana chahey..

Mere Sath Tu rahy ga to Zamana Kia kahe Ga..!! Meri Aik Yahi Tamanna, Use Ak Yahi Bahana..!!

Kya qayamat hai ke woh akhbaar to parhta nahin, Lekin us ko aaj ki sari khabar, maloom hai..

Jo keh chukey hein bas wohi kafi hai dosto.. Ab is udas dour mein ashar kia kah’ein.!!

Zikar Jab Hoga Mohabbat Mein Tabahi Ka Kaheen Yaad Ham Aayein Ge Duniya Ko Hawaalon Ki Tarah

Jab tum ko meray nam sey nisbat nahi koi.! Kiun ja key bazam-e-ghair mein ruswa kia mujhey..

Riazat cheez to achi hai lakin hazrat e zahid, Ye be mosam si shee malom hoti hai jawani me.

Jin pey hota hai bohat dil ko bharosa tabish.!! Waqt parrne pe wohi log daghaa detay hein ..

Saans lenay ko samajhtey hein hayat aye shayar.. Log waqif to hon jeenay ki ada sey pehlay.!

Tota to kitney aina khan’on pey zad pari.. Atka hua galey mein jo pathar sada ka tha!!

Hamari ankh ki dehleez pr thahra hua ek ansu, ke jese humne palko se samandar bandh rkha ho.

Sabt hain jaan k dareche par nasheli aahatain, Wo ghazal sorat saba ki tarah se guzra na ho.

Ab Hamen Bhi Aa Pada Hai Dosto Se Kuchh Kaam Yaani, Hamare Dosto Ko Bewafa Hone Ka Waqt Aaya

Jab Kisiki Yaad Ne Aankho Ko Bhigoya Tha Meri, Maine Ek Naam Ki Tasbeeh Pe Tilawaat Ki Thi..