Kuch tO mOl lagaO meri tamaam hasti ka… Kisi ki aankh ke aansOun khareedne hain mujhe..

Meri TabahiyOn Mein Tera Haath Hai Magar, Main Sab Se Keh Raha Hon Muqadar Ki Baat Hai…

Bara Maza Ho Jo Mehsher Meim Hum Karen Shikwa Woh Minnaton Sey Kahen Chup Raho Khuda Key Liye

Itna be’hiss ke pighalta hi na tha baaton se, Aadmi tha ke taraasha hua pathar dekhaa..

Wohi hua na,bicharne pe bat aa phnchi Use kaha tha purane hisab rhne de!………

Qaflay rah main qadmon ke nishaan chhor gaye, Kash khushboo ki tarhan dard bhi hijrat karte..

Log kehte hain mohabbat main assar hota hai, Kon se sheher mein hota hai, kidhar hota hai ???

Zalim sub na ho kahin mehfil mein shan-e-husn.. Kiun khak dalta hai meri dasta’an per.!

Neechi Nazroon main Qayamat ka Asar hota hai… Husn Kuch or Nikhar Jata hai Sharmanay se

Ab takk to khair teri tamanna main katt gayi, Tu mil geya to sochta hoon kya karoon ga main..

Peene se kar chuka tha main tauba magar Jaleel, Baadal ka rang dekh ke neeyat baddal gayiii..

Cherri phir aap hi ne wohi be-rukhi ki baat. . Phir aap ne chupa liya chehra naqaab mein. . !

Phir jaag utha hai dil me purane dilon ka dard, Jee chahta hai phir koi taaza ghazal kahoon..

Charagh bujhty rahy aur khuwab jaltay rahy. . ! Ajeeb tarz ka mosam mery watan mein raha. . !

Aadat Mujhe Andhero’n Main Darne Ki Dal Kar, Ek Shakhss Meri Zindagi Ko Raat Kar Gaya..