Beqarari Meri dekh li hai tou ab Zabt bhi dekhna, Itna khamosh Rahunga Main k cheekh Utheyga Tu.
Beqarari Meri dekh li hai tou ab Zabt bhi dekhna, Itna khamosh Rahunga Main k cheekh Utheyga Tu.
Fraib-e-arzoo ki sehal nigari nahi jati.. Hum apny dil ki dharkn ko teri arzo-e-pa samjhty hain!
Israr-e-wafa, dard-e-Junoon, soz-e-tamana, Ik dil ka lahoo kitny charaghon mein jala hai….
usay yeh weham k main jaan day na paoon ga mohsin..!! hamain yeh khoof k roye ga azma k mje..!!!
Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz.., Auron k $aharay to Janazay utha kartay hain..!
Soya Howa Tha Sheher Kisi Saanp Ki Tarah, Mein Dekhta Hee Reh Gaya Aur Chaand Dhal Gaya…!
Mein Ne Ye Kab Kahaa Tha Mohabbat Mein Hai Nijaat ? Mein Ne Ye Kab Kahaa Tha Wafadaar Hee Raho ?
Charagh nujh bhi chcukay hain magar pas-e-chilman. . Ye aankh ab bhi tera intezar karti hai. . !
Chaar harf aarzu ki sharah kar daity hain hum. ! Jab wo kehtay hain sunao koi afsana humain. . !
Un se milte they to sab kehte they kyun milte ho, Ab yehii log na milne ka sabbab puuchte hain..
Us Ne Mehboob Hi To Badla Hai Ta’ajub Kesa.. Log Kafir Se Musalmaa Bhi Ho Jate Hain…
Charagh le k irada tha k bakht ko dhoondain. . ! Shab-e-firaaq thi koi charaagh bhi na mila. . !
Usool e soch hai har simt ghumti hai ”shamsh” Log har bar badalte dikhayi dete hain.
Chot jab bhi hadsaat-e-dehar ki khata hoon. . ! Mehngi sasti mae-kaday se pi k aa jata hoon. . !
Ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan ghalib Tujhy hum wali samajhty, jo na baada-khuaar hota. !