Daboo kar kashtian ehal e janon ki wast e dariya main, Khard wale khard ki sazashen sahil pe le ae.
Daboo kar kashtian ehal e janon ki wast e dariya main, Khard wale khard ki sazashen sahil pe le ae.
Thehri hai khamoshi hi agar tarz-e-guftugu! Khamosh reh key tujh ko pukara kar’en gey hum..!!
Lamhon men Qaim kar dey Jo Sadiyon ki Chahatein,.. Hasrat Rahi K Aisa Koi Apna Bhi Talabgaar Ho .!!
Zabaa’n per mohar lagana to koi baat nahi.! Badal sako to badal do meray khayal’on ko..
Khuwab Bhi Shayad kaanch se kamzoor hotay Hain .. Har Roz toot JaatY Hain Faqat Aankh k khulnay se.
Log karty hain muhabbat mein tammana-e-wisaal. . Khuwab ka husn ganwa detay hain tabeer k sath. . !
Zindagi doop gae in hasee’n ankh’on mein.. Youn meray piyar key afsaney ko anjam mila.!
Mohabbat kese hoti hai, Mohabbat kis ko kehtey hain, Tera majboor kar dena, mera majboor ho jaana..
Suna Hai Mil Ke Chalne Se Muqaddar Jaag Jate Hain, Yehi Baat Aazmane Ko Chalo Ek Sath Chalte Hain..
Hawaa Se Raabta Karne Ki Dair Thi Aur Phir, Samundaron Mein Mera Baadbaa’n Doob Giya….!
Ghar se bahir to nikal aya safar k shauq mein Jab gali mein pao’n rakha, samnay rasta na tha.
Go zara si baat per baarso’n k yaranay gaye Lekin itna to hua k kuch log pehchanaya gaye. . !
MUJHY KUCH BHI NAHE KHNA FAQAT ITNI GUZARISH HE BAS UTNI BAAR MIL JAO K JITNA YAAD AATY HO…..
Hum sey roshan hain zamaney me wafa ki rahien, Hum ney duniya me jalaye hain mohabbat kay charagh..
Qadam insan ka rah e dehar me thara hi jata hai, Chaley kitney hi bach kay thokar kha hi jata hai..