Khalaq nay cheen li hai mujh sey meri tanhai tak… Ishq aa pohncha hai ilzam sey ruswai tak!!
Khalaq nay cheen li hai mujh sey meri tanhai tak… Ishq aa pohncha hai ilzam sey ruswai tak!!
Hadh-e-adab ki baat thi, hadh-e-adab mein reh gayi, Maine kaha main chalaa, us ne kaha ke jaayiye..
Jaany kaisy jeety hain loag yaadoon ke sahaary Mohsin, main to kai baar marta hoon ik yaad aanay pe
Kia khabar thi k khizaa’n ho gi muqaddar apna Meine mahol banaya tha bahar’on k liye. .
Kis qadar mohsin-o-hamdard hain ehbaab mery. . Jab bhi mein hosh mein aata hoon pila dety hain. . !
Is mein mousam ka qasoor hay ya logon ka Ahsan Log mousam ki tarha pal bhar mein badaltay kyon hain
Qareeb tha tou koi waswasa na tha dil mein. .! Gaya to zehn mein laakho’n sawaal chorr gya. .
Fiza main pheli chali meri baat ki khushbu..! Abhi to main ney hwa’on sy kuch kaha bhi nahi..
Hoor’on ki talab aur mae-o-saghir sey hai nafrat.. Zahid teray irfan sey kuch bhool hui hai.!
Soyaa Hay Mujh Ko Bhool K Ek Shaks Aaj Shab ” Shayad Issi Wajha Say Tabiyat Udaas Hay “
Chali chalay yunhi rasm-e-wafa-o-mashq-e-sitam K taigh yaaro sar-e-dostaa’n salamat rahy. . !
Lay lo wapIs woH aansu wo tarrap or wo yadain saari, Nahi koi jurm mera to phir yeh sazaein kaisi..
Chupa Chupa k tabassum mein apni be-chaini. . Khud apny raaz ki tash’heer ban gai ho tum. . !
Zulm mein keh raha tha tu is kho sey darguzar.. ‘Soda’ ka qatal hai chupaya na jaye ga!
Ye urray urray se rung, ye khilay khilay se gesu! Teri subha keh rahi hai, teri raat ka fasana. . !