Woh sath tha hamare, ya hum pas they un ke, Woh zindagi ke kuch din, ya zindagi thi kuch din..

“Usay kaho k apni masrofiat kum kar de, Suna hai bicharne ki yeh pehli nishani hoti hai.

Kyun na gharoor karoon mein Apne aap par, Mujhe us ne chaha, jis k chahne wale Hazaaro thay .!

Janay us shakhs ko yeh kesa hunar aata hai, Raat hoti hai to aankhon mei utar aata hai….

?’Kabhi ZarOrat Pary tO Awaz De Dena. ‘Main Guzra Hua Waqt nahi Jo Wapis na aaun..

Paani sasta hai to phir uska tahaffuz kesa, Khoon mehnga hai to har sheher me behta kyun hai..

Huye naamwar* be’nishaan kese kese, Zameen kha gayi asmaan kese kese.. (naamwar;popular)

Waqt wo mujh par kathan guzrey hain saari umer, Ik teray anay se pehley ik teray janay k bad..

Hum hI wafa shikan thy chalO hum he bewafa….! Tum tO wafa shanas thy,tum Q badal gaye???

Jo dastaan usay kehna thi phir udhori rahi, Ke main bhi thaak sa gaya tha usay bhi sonaa tha..

Itni shiddat se mujhe es shakhs ne manga nadeem, Dushmani ke bawajood inkaar ki surat na thi..

Taweel ho na kahin apni chaht’on ka safar.! Suna hai ehl-e-talb umer bhar tarptey hain..

Dil ke daryaa ko kissi roz utar jaana hai, Itna be’simt na chal laut ke ghar jaana hai..

Aey meray dil na paraishaan ho, tanha ho kar! Woh teray saath chala kab tha, to bicharna kaisa

Chehray sajay sajay hain dil hain bujhy bujhy. . Har shakhs mein tazaad din raat ki tarha. . !