Shaadi Ke baad Patni Kaise badalti hai Zara gaur kijiye Pehle Saal: Maine kaha ji khana kha lijiye aapne kaafi der se kuchh khaya nahin Dusre Saal: Ji khana taiyaar hai laga dun? Teesre Saal: Khana ban chuka hai jab khana ho tab bata dena Chauthe Saal: Khana banakar rakh diya hai main bazaar ja rahi hoon jhud hi nikal kar kha lena Paanchve Saal: Main kehti hoon aaj mujhse khana nahin banega hotel se le aao Chhathe Saal: Jab dekho khana khana aur khaana abhi subah hi to khaya tha Shaadi ke baad Pati kaise badalte hain Zara gaur kijiye Pehle Saal: Jaanu Sambhalkar udhar gadda hai Dusre Saal: Arey yaar dekh ke udhar Gadda hai Teesre Saal: Dikhta nahin udhar Gadda hai Chauthe Saal: Andhi hai kya Gadda nahin dikhta?? Paanchve Saal: Arey udhar kidhar marne jaa rahi hai Gadda to idhar hai

Your Comment Comment Head Icon

Login