Ajeeb Zulam hOwe hain, Duniya mein Mohabbat Per, Jinhen mili Unhein qadar nahi, Jinhen Qadar Thi Unhein milli nahi….

Bawaqt-e-shaam suraj se hukumat cheen leta hai Wo subho me sitaro se qayadat cheen leta hai…. Kareene seekh lo uski zameen par chalne Phirne ke Takabbur karne walo se wo daulat cheen leta hai…… Badi mushkil se milti hai daulat neknaami ki Zara sa dagmagaao to izzat cheen leta hai…. Kabhi kashti bacha leta hai toofano k nagray se Kabhi sahil par tairaako se himmat cheen leta hai…

Tum jao humse door to ek kaam kr jana Kch pal apna hmre naam kr jana Agr ajae mout hume tre aane se phly To aa kr mre janazy ka ehtram kr jana Na rona is qadar k takleef ho hume Mout ko b mazaq smj kr anjaan ban jana Maine ek din so jana hai sada k liye Phir mujhe bewafa khe kr badnaam kr jana Jo guzro mri qabar se to nazre na phairna Mehman hi ban k dua salam kr jana

Mohabbat Farz Jaisi Hai, Nibhana Seekh Jaoge, Dilon Pe Qarz Jaisi Hai, Chukana Seekh Jaoge, …Labon Pe Phool Jaisi Hai, Khilana Seekh Jaoge, Nazar Main Aag Jaisi Hai, Lagana Seekh Jaoge, Tum Tak Faasla Jo Hai, Mitana Seekh Jaoge, Kabhi Jo Dil Main Aa Baithay, Zamana Bhool Jaoge

ye daulat bhi lelo, ye shohrat bhi lelo Bhale chhin lo mujhse meri javani Magar mujhko lautaa do bachpan kaa saavan Wo kaagaz ki kashti, Wo baarish kaa paani

Tum pocho aur main na bataoun aise to halaat nahi Aik zaara sa dil toota hai aur to koi baat nahi Kis ko khabar thi sanwale badal bin barse urr jaate hain Sawaan aaya lakin apni qismat main barsaat nahi Manaa jeewan main aurat aik baar mohabbat karti hai Lakin mujh ko yah to bata de kiya tu aurat zaat nahi Khatam hua mera afsaana ab yah aansu ponch bhi lo Jis main koi taara chamke aaj ki raat wo raat nahi Mere ghumgeen hone par ahbaab hain youn hairan?Qateel? Jaise main patthaar hoon mere seenay main jazbat nahi….

Ajab pagal si larki hai…. !! Wo mujh se jab bhi milti hai, Mujhay her baar kehti hai, Teray honay se meri zaat ki takmeel hoti hai, Usay maloom bhi hai main to khud ik aam larka hoon, …Magar wo mujh se kehti hai, Nahi tum sa koi dooja, Ajab pagal si larki hai… Wo mujh se jab bhi milti hai, Naya ik naam deti hai, naye pehchaan deti hai, Meray andar ke sab mosam bina meray kahey hi wo hamesha jaan laiti hai, Meri barson purani baat bhi wo yaad rakhti hai, Mujhay her baar kehti hai, teri aawaz ka jadoo mujhay sonay nahi deta, Ajab pagal si larki hai… wo mujh se jab bhi milti hy, to pehron mujh ko takti hai, usay her rang, jo main ne ho pehna, acha lagta hai, usay her khuwab, jo main ne ho dekha, sacha lagta hai, Ajab pagal si larki hai…. wo mujh se jab bhi milti hai, mujhay her baar kehti hai, teri muskan janam zindagi main rang bharti hai, mujhay dukh ke andheron main kabhi khonay nahi deti, usay mujh ko mujhi ko sochnay ki janay kia zid hai, ho din ka koi bhi lamha, andheri raat ka pal ho, wo mujh ko socha karti hai, mujhi ko yaad rakhti hai, ajab pagal si larki hai…. wo mujh se jab bhi milti hai, hazaron baar kehti hai, mujhay tum se mohabbat he nahi hai ishq hai janam, bus ik pal main wo apna aap mujh ko sonp deti hai, main us pagal se larki ke liye ab aur kia likhoon, mujhay us ko batana hai, ke us ki muskurahat per, main duniya waar sakta hoon, bus us ki eik hi Aahat per, main jeewan haar sakta hoon, mujhay us se mohabbat hai, mujhay bhi ishq hai us se.. !! Ajab pagal si larki hai….. Ajab pagal sa main bhi hoon……

Aye khuda kar de us shak ke hawale mujh ko Ke apne seene se woh ik bar laga le mujh ko Bikhar gaya hoon toot kar kai tukaroon main De usse taufeeq ke a kar sambhale mujh ko Ya toh us ka saath ataa kar umer bhar ka mujh ko Ya tu chup chap apne pass bhula le mujh ko by – Amna Sam

Daraz Palkain Visal Ankhen Musawari Ka Kamal Ankhen Sharab Rab Ne Haram Kar Di To Phir Kyun Rakhi?n Halal Ankhen Hazaron inse Qatal Huay Hain Khuda K Bande Sambhal Ankhen

Andheri Raat Me Shama Jalana Bhool Jate Ho, Hamari Yaad Aati Hai Bhulana Bhool Jate Ho, Tumhari Ek Yehi Aadat Pareshan Hum Ko Karti Hai, Nazar Me Aa To Jate Ho Samana Bhool Jate Ho, Tumhare Hath Me Aksar Gulabi Phool Dekhe Hain, Hamari Raah Me Aksar Bichana Bhool Jate Ho, Tumhen To Laut Jane Ki Fikar Rehti Hai, Magar Jab Laut Jate Ho To Aana Bhool Jate Ho Suna Hai Tum Hatheli Par Hamara Naam Likhte Ho, Magar Jab Hum Se Milte Ho Dikhana Bhool Jate Ho..!

farz karo tum chat per baithe apne baal sukhate ho farz karo ke dhoop ka us din kuch kuch rang gulaabi ho farz karo tum baithe baithe gehri soch mein kho jao baal sukhana chor ke sar ghutnon pe rakh kar so jao farz karo us neend mein tum ne dekha aisa sapna ho be-kal ho kar man ye chahe kaash ye sapna apna ho farz karo tum khat likhne ko kaghaz qalam uthate ho khat likhne se pehle kaghaz ko khushboo khoob lagate ho farz karo alqaab pe a kar qalam tumhara ruk jae nazar tumhari dhak dhak karte dil ki janib jhuk jae farz karo aik naam likho aur likh kar kato phir likho farz karo sapne afsane khat ka naam muhabbat ho farz karo hum donon ke dil aik hi saath dharakte hon farz karo ye saari baatein FARZ na karni parti hon ..

Tere ikhlas se mohabbat ki hai, Tere ehsas se mohabbat ki hai, Tu mere paas nahi hai phir bhi, Teri yaad se mohabbat ki hai, Kabhi to tu ne bi mujhe yad kiya hoga, Me ne un lamhaat se mohabbat ki hai, Jin main hon teri meri batain, Main ne un auqaat se mohabbat ki hai, Aur mehky hon sirf teri mohabbat se, Main ne un jazbaat se mohabbat ki hai, Tujh se milna to ab khawab sa lagta hai, Main ne tere intezar se mohabbat ki hai…

Is khudgarz zamane me muje ek tera aitbar hai, warna mah-o-khurshid bhi hansa hai meri lachari par.. Kaifiyat kya bataon tujhe is dil-e-nadan ki, soi hai hayat ki rakh wafat ki chingari par, Tabib se bhi is aazar ki ab dawa nhi hoti, kitni hasraton ki daulat luta di is dil ki bimari par..

Ankhon me samaya hai tera chand sa chehra, Qismat ney dikhaya hai tera chand sa chehra, Us khaliq e mehtab ney mehtab sey barh kar, Purnoor banaya hai tera chand sa chehra, Jis dil me mohabbat ki talab jag rahi thi, Us dil me basaya hai tera chand sa chehra, Hum khud sey hain naraz isi bat pey ab tak, Kiyon hum ney bhulaya hai tera chand sa chehra, Ye ranj ki zulmat to merey sath rahi hai, Phir kis ney bhujaya hai tera chand sa chehra, Yadon kay dareechey me terey pyar ki khatir, Yawar ney sajaya hai tera chand sa chehra. Yawar Azeem

inhi khush gumaniyon mein kahin jaan se bhi na jao wo jo chaaragar nehi hei usse zakhm kyun dikhao? ye udaasiyon ke mausam kahin rayegaan na jayen kisi zakhm ko kuredo kisi dard ko jagao wo kahaniyaan adhuuri jo na ho sakengi puuri unhe main bhi kyun sunaun unhe tum bhi kyun sunao? mere humsafar puurane mere ab bhi muntazir hein tumhe saath chhorna hei to abhi se chor jao ye judaiyon ke raste bari duur tak gaye hein jo gaya wo phir na laota meri baat maan jao kisi bewafa ki khatir ye junon ‘Faraz’ kab tak? jo tumhe bhula chuka hei usse tum bhi bhuul jao