Ghazal k roop me dhahal jaon kash me bhi jameel, Udaas lamhon me shaid wo gunganae muje.

Sukoon Milta Hy Jab Un Sy Baat Hoti Hy Hazaa Raato’n Me Wo Ek Raat Hoti Hy … Nigah Utha K Wo Dekhe’n Kbhi Jo Meri Taraf Wo Hi 1 Nigah Meri Kainaat Hoti Hy

Aaj phir us nay mera haal poocha hai, Kitna mushkil sawaal poocha hai, Hichkion ka ajeeb lehja tha, Baat ko taal taal poocha hai,, Tum Mujhe chor to na jao ge. Mujh say Mera khayaal poocha hai, Aansuon ki zubaan mein uss ne, Jo bhi poocha kamaal poocha hai.

ajeeb shaks tha kaisa mizaj rakhta tha sath rah kar bhi ikhtilaf rakhta tha mai kiu na dad du us kay fun ki mre hr swal ka phly hi jwab rakhta tha … wo to roshnio ka basi tha mgr meri andher nagri ka bara hi khyal rkta tha MOHABAT to thi ussy ksi or se shyd hum se to u hi hansi mazak rakhta tha!!!

wo Ana Parast sahi uski baton main ikrar bhi tha uske chubhty hue lehjy main chuppa pyar bhi tha wo mujhy likhta hai k muntazir na rahun lekin uski tehreer main sadyon ka intizar bhi tha wo kehta hai mat rutho k manana nahi aata meri narazgi pe lekin wo be-qarar bhi tha main na likhta usy apni khabar lekin dosti ka bharam rakhna tha aur Dil be-ikhtiyar bhi tha

Is Shart Pe Khelon Gi Piya Pyar Ki Bazi Jeeton To Tujhe Paon Haaron To Piya Teri Har Lihaz Khayal Tera Rakhon Gi Sirf Itna Beth Jaon To B Teri Uth Jaon To B Teri Kuch Kar Lu Gi Haal Apna Aisa Hamsafar Aankh Lage To B Teri Aankh Khule To B Teri Teri Har Aahat Pe Paa Lu Gi Tabeer Aisi Hans Jaon To B Teri Rooth Jaon To B Teri Main Saath Du Tera Kuch Aisa Jaan-e-Jahaan Zinda Rahon To B Teri Mar Jaon To B Teri

Me mar jau to mere Sirhane na bithana us ko, Boht Tasalli dena boht pyar se Samjhana us ko, Ghomne ka bahana kar k door Fizao me kahi le jana us ko, Wo bawafa hy us waqt ye ehsas na dilana us ko, Us k samny na karna batey aesi k meri yaad ajae, Meri tafri k mashghale suna suna k hansana us ko, Wo roye ga boht bilawaje to meri rooh tarap uthegi Yaar, Dost tm aesa karna meri Mout ka he na batana us ko…….

Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai Kabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani Hai Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu Hai Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai Samander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi Sakta Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta Meri Chahata Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta Bharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To Hungama Hamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To Hungama Aabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat Ka Mein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama

MOHABBAT k anokhe they Sabhi andaz, HUM KIYA KERET? Rahey woh humse naraz, HUM KIYA KERTEY? hajoom_e_shaher mein kho jatey hum chain paney ko, …Akele mein satati thy uski yaad, HUM KIYA KERTEY? Mere Nazuk se DIl ko Pal Mein Torr dala tha, Usey Pasand Thy Tooty Kanch Ki Awaz, HUM KIYA KERTEY….

Wo nahi mera magar us se mohabbat hai to hai ye agar rasmo- rivajon se bagawat hai to hai. such ko maine such kaha jab kah jab kah dia to kah dia ab zamane ki nazar me ye himakat hai to hai. … dost ban kar dushmano sa wo satata hai mujhe phir bhi us zalim pe marna apni fitrat hai to hai. kab kaha maine ki wo mil jae mujhe uski bahon me dum nikle itni hasrat hai to hai.

Kuch khawab thay meri ankhon mein. Tujhay pa lenay ki chahat thi. Chnd lafzon mein hi kehta hon. Mujhay tujh say muhabbat thi. Per tu kiya janay chahat ko. Tujhay ho jati to puchta mein. Dil jab jab toot k rota hai. Kiya dard tumy bhi hota hai. Ye khawab haqeeqat ho jae. Kisi apnay jesay sangdil say. “TUJHY KASH MUHABBAT HO JAEY” “TUJHY KASH MUHABBATHO JAEY”

Ye bikhri c ZULFEIN, Ye phela sa KAJAL, Ye bechain ANKHAIN, Ye simta sa ANCHAL, Tere haal se log pehchan lein ge, Tujhe dekh k sb mujhy jan lein ge, Ye behekty qadam lrkhrati jawani, Ye betab dil or MUHABAT dewani, Shafak jaise galon pe ubhri hoi hansi, Mere honton ki ik mehekti nishani, Tere jism se urrti meri YE khushbo, Suna de gi hr ik ko sari kahani, Na bn jaye apna millan ik fasana, Suno, ?JAN-E-JANA? ?ABI GAHR NA JANA?

Sari Duniya ke Riwajon se Baghawat ki thi, Tum ko Yaad hai jab Main Ne Ek Hamaqat ki Thi, Usay Raazdan Smajh kr bataya Tha Hal-e-Dil Apna, Par Us Shakhs Ne Meri Zaat se Baghawat ki Thi, Jab kisi ki Yaadon Ne Aankhon ko Bhigoya Tha Meri, Main Ne Ek Naam ki Tasbeeh par Tilawat ki Thi, Us ko Churr kar Hanstey huye Ghar Aa kar, Itna Rouye Thay ke Aankhon Ne Shikayat ki Thi, Mere Ujarne ka Sabab jab Bhi kisi Ne Poocha, Main Ne Bataya ke “Mohabbat ki Thi

Laakh Pardon Main Rahoon Bhaid Meray Kholti Hai Shayari Sach Bolti Hai Main Nay Dekha Hai Jab Meri Zaban Dolti Hai Shayari Sach Bolti Hai … Tera Israar K Chahat Meri Bay-Taab Na Ho Waqif Is Gham Say Mera Halka-e-Ahbaab Na Ho Tu Mujhay Zabt Kay Sehraoon Main Kion Rolti Hai Shayari Sach Bolti Hai Yeh Bhi Kya Baat K Aik Chup Chup Kay Tujhay Pyar Keroon Gar Koi Pooch Hee Bethay Tou Main Inkaar Keroon Jab Kissi Ki Baat Ko Dunya Ki Nazar Tolti Hai Shayari Sach Bolti Hai Main Nay Is Fiker Main Kaati Kayi Raaten Kayi Din Meri Shayri Main Tera Naam Na Aaye Laikin Jab Teri Saans Meri Saans Main Ras Gholti Hai Shayari Sach Bolti Hai

Usey Kehna Ke Bin Uske Din Nahi Katta Sisak Sisak K Kat rhe Hai Raat Usey Kehna,,,!!…..