Adal o insaf faqat hashr pr mokoof nahi, Zindagi khud bhi gunahon ki saza deti he…

Yeh urri urri si rangat, yeh khillay khillay se aansu, Teri subahh keh rahi hai, teri raat ka fasaana..

Kami nahi hai kisi cheez ki magar, Akela beth ke roya hoon zaar zaar bohat..

Ghar ki tameer chahe jaisi ho, Us me rone ki kuch jaga rakhana.

tere yad ma pal pal marta ha koi tujhe apne har sans ma yad karte ha koi kabhi fursat mile to akele sochna kitne khamosh mohbat karta ho koi ap se

Baz oqat dil ki dunia b, Ankh k fasalon pe chalti ha.

Jo zubaan se beyaan nahin hote, Unhi lafzon se ashkk bante hain..

Meri deewangi nahin jaati, Ro raha hoon hansi nahin jati..

Kaha tha na usey mat zabt karna, Woh aansuu ab samandar ho geya naa..

Ye sanha bhi muhabbat me bar ha guzra, K us ne haal bhi pocha to ankh bhar ai.

le lo waapis wo aansu, wo tadap aur wo yaadein saari nahi koi jurm mera tu phir ye sazaaien kaisi.

Zabat se ehad bhand rakha tha, Aur phir bhi bikhar gae ansu.

Aik aansuu aankh main roka hua, Aik hansi honton se behti huyi..

KHoof ker kuch khuda ka mujh se tu zindagi kitny jhoot boly gi???

Jab Kisiki Yaad Ne Aankho Ko Bhigoya Tha Meri, Maine Ek Naam Ki Tasbeeh Pe Tilawaat Ki Thi..