Kash koi is trha bhi waqif ho meri Zindgi se K mai Barish mai b roun to mery ansu perh le

Kis qadar dil-shikkan they mohabbat ke rastey, Armaan phir koi zindagi mein kar na sake..

Phir aaj aansuyon mein nihaayi hui hai raat, Shayed hamari tarah hi sataayi hui hai raat.

Muddat k baad azn-e-tabassum mila magar. . Wo bhi kuch aisa talkh k aansu nikal parray. .

Doobte chand pe royi hain hazaron aankhain, Main to roya bhi nahi, tum ko hansi kyun aayi?

Taqdeer Tou Dekho Merey Ansuou’n Ki, Inka Bhi Apki Yad Mey Beh Jana Likha Tha…

Raat Bhar Rooti Rahi Shama Bhi, Meri Be’naam Arzoo Ki Tarah………!

Zikar chair daite hain jab gae zamanon ka, Wo bhi rone lagte hain hum bhi rone lagte hain.

Guzray lamhaat ki yaadon ne rulaaya us ko, Chaand ko dekhne wo shakhs jo chhat par nikla..

Likhna to tha ke khush hoon tere bager bhi, Aansuu magar kalam se pehle hi girr gaye…

Ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne, Kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota.

Zabt karna hai to phir hadh se guzarna ho ga, Khoon ho jaye yeh dil, aankh na bharne paye..

Ye dil zakhm hai ik roz bhar hi jaye ga Shagaaf pur nahi hotay faqat chataan’on k . !

Sabab har aik muj se pochata hai mere rone ka, Ellahi sari dunia ko me kaise razdan kar lon.

Raat bhar ankhon me us ka mar marain pekar raha, Chandani k jalmalane me namo us ki bhi thi.