Ye kis mukam pe le ae hain tujhe halat, K teri ankh bhi purnam dikhai daiti hai.

Lafzon me chopae hoe be rabt dala se, Chanti rahi shab bhar mere ansu teri awaz.

Dobe hoe taron pe me kia ashak bahata, Charhate hoe soruj se meri ankh lari thi.

Na poch kion meri ankhon me aa gae ansu, Jo tere dil me hai us baat par nahin ae.

Zaraf zameen ka kam parne lagta hai jab, Tab pathar se chashma phoot nikalta hai.

Chand k pehlo me dham sadh k roti hai kiran, Ajj taron ka fason khak nazar ae ga,

Gham main aansu na behna barri baat hai, Dil ka kaabu main rehna barri baat hai..

Apny rasty howy zakhmo pay chiradkh leta ho rakh jhardti hy jo ehsas ke anggaro sy

Hosala tuj ko na tha muj se joda hone ka, Warna kajal tri ankhon me na phela hota.

Aye Khuda log banaye thy pathar ke agar, Mery ehsas ko sheeshay sa na banaya hota..

Saif ye din to qiyamat ki tarah guzara hai, Jane kia baat thi har baat par rona ae.

Roz milne pe bhi lagta tha k jug beyat gae, Ashak me waqt ka ehsas nahin rehta hai.

Hasne Ki Justju Mein Dabaya Jo Dard Ko, Aansoo Hamari Aankh Mein Pathar Ke Ho Gaye!!

Teri aankhon mein aansu they meri khatir, Woh ek lamha mujhy zindagi se pyara laga..

Wo bhi me daikh choka jo nahin hone wala, So kisi baat pe hairat nahin kar sakta me.