Muskurana Sari Mahfil Ki Zaroorat Ho Gaya…Aap Kya Aaye Ki Sab Kuch Khoobsurat Ho Gaya…
Muskurana Sari Mahfil Ki Zaroorat Ho Gaya…Aap Kya Aaye Ki Sab Kuch Khoobsurat Ho Gaya…
Terey Chehrey K Naqoosh Aisey HainAankh Uthata Hoon! Bhatak Jata HonTeri Aankhon Se Terey Honton TakSafar Itna Hai Keh Thak Jata Hoon
Khubsurti Ko Sajne Sawarne Ke Kya ZaruratAapki Saadgi Hee Keher Dhaati HainShare with us more khubsurati sms messages /poetry in comments section below and tell us how beautiful your lover is
Wo Yaad Nhi Krte,Hum Bhula Nhi Sakte..Wo Hans Nahi Sakte,Hum Rula Nahi Sakte..Hai Pyar Itna Khubsurat Humara,Ki Wo Bata Nhi Sakte Or Hum Jata Nhi Sakte…Share By : Syed Parvez Ahmed
Apni Khubsurti Ka Gurur Karna Achhi Baat NahiKisi Anjaan Ka Majak Udana Achhi Baat NahiTum Khubsurat Ho Yeah Tumhari Khusnaseebi HaiApni Khusnaseebi Ko Dusron Ki Badnaseebi Samajhna Achhi Baat Nahi
Hindi Shayari on Haqeeqat Tum Haqeeqat Nahi Ho Hasrat HoJo Mile Khawab Mein Wahi Doulat HoKis Liye Dekhti Ho AainaTum To Khud Se B Jyada Khubsurat Ho
Aapki Khoobsurati Ko Ya Apne Pagalpan Ko Aapke Bholepan Ko Ya Apne Deewanepan Ko Aapki Taqdeer Ko Ya Apni Batkismati Ko Aapki Ameeri Ko Ya Apni Garibi Ko Kise Dosh Doon
paon ke zakhm hain farsheguletar hone takreh dushvar hai aagazesafar hone takye alag baat ke khamosh hain ahalezindanwarna ye qaid hai divar mein dar hone takek nazar naqshekafepa ka hunar to dekhokahkashan si nazar aati hai sahar hone takhaye wo bij jo matti mein daba rehta haikin marahil se guzarata hai shajar hone takkya khabar tum ko ki ye saqf ye divar hain kyahum pe kya guzri hai is chaon ke ghar hone takPoet of the poem / Ghazal or Nazam :Himayat Ali Shaya
phir aj mujhe tum ko bas itna batana haihansana hi jivan hai hanste hi jana haimadhuban ho ya gulshan ho patajhad ho ya savan hohar hal mein insan ka ik phul sa jivan hokanton mein ulajh ke bhi khushbu hi lutana haihansana hi jivan hai hanste hi jana haihar pal jo guzar jaye daman ko to bhar jayeye soch ke jee lain to taqdir sanvar jayeis umr ke rahon se khushiyon ko churana haihansana hi jivan hai hanste hi jana haisab dard mita den ham, har gham ko saza den humkahate hain jise jina duniya ko sikha den humye aj to apna hai kal bhi apanana haihansana hi jivan hai hanste hi jana haiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sudarshan Faaki
Khubsoorat Hai Woh Lub,Jo Pyari Baate Karte Hai,Khubsoorat Hai Woh Muskurahat,Jo Doosro Ke Chehro Par Bhi Muskan Saja De,Khubsoorat Hai Woh Dil,Jo Kisi Ke Dard Ko Samjhe,Jo Kisi Ke Dard Mein Tadpe,Khubsoorat Hai Woh Jazbat,Jo Kisika Ehsaas Kare,Khubsoorat Hai Woh Ehsaas,Jo Kisi Ke Dard Ke Me Dawa Bane,Khubsoorat Hai Woh Baate,Jo Kisi Ka Dil Na Dukhaye,Khubsoorat Hai Wo Aankhein,Jin Mein Sharm O Haya Ho,Khubsoorat Hai Woh Ansoo,Jo Kisi Ke Dard Ko Mehsoos Karke Beh Jaye,Khubsoorat Hai Woh Haath,Jo Kisi Ko Mushkil Waqt Mein Tham Le,Khubsoorat Hai Woh Kadam,Jo Kisi Ki Madad Ke Liye Aage Badhein,Khubsoorat Hai Woh Soch,Jo Kisi Ke Liye Achcha Soche,Khubsoorat Hai Woh Insan,Jisko KHUDA Ne Ye,Khubsoorati Ada Ki…!!!
Khubsoorat Hain Woh LubJo Pyari Batein Kartey HainKhubsoorat Hai Woh MuskurahatJo Doosron Ke Chehron Per Bhi Muskan Saja DeKhubsoorat Hai Woh DilJo Kisi Ke Dard Ko SamjheyJo Kisi Ke Dard Mein TadpeyKhubsoorat Hain Woh JazbatJo Kisi Ka Ehsaas KareinKhubsoorat Hai Woh EhsaasJo Kisi Ke Dard Ke Me Dawa BaneyKhubsoorat Hain Woh BateinJo Kisi Ka Dil Na DukhaeinKhubsoorat Hain Woh AnkheinJin Mein Pakezgi HoSharm O Haya HoKhubsoorat Hain Woh AnsooJo Kisi Ke Dard KoMehsoos Kerke Beh JaeKhubsoorat Hain Woh HathJo Kisi Ko MushkilWaqat Mein Tham LeinKhubsoorat Hain Woh KadamJo Kisi Ki Madad Ke LiyeAagey Badhein !!!!!Khubsoorat Hai Woh SochJo Kisi Ke Liye Acha SocheyKhubsoorat Ho TumJis Ko Khuda Ne YeKhubsoorati Ada Ki
aag hai pani hai mitti hai hava hai mujh meinaur phir manana padata hai ke khuda hai mujh meinab to lede ke vahi shakhs bachcha hai mujh meinmujh ko mujh se juda kar ke jo chupa hai mujh meinmera ye hal ubharati hui ?????? jaisevo badi der se kuch dhundh raha hai mujh meinjitne mausam hain sab jaise kaheen mil jayenin dinon kaise bataun jo faza hai mujh meinaaina ye to batata hai ke main kya hun lekinaaina is pe hai khamosh ke kya hai mujh meinab to bas jan hi dene ke hai bari ae “noor”main kahan tak karun sabit ke vafa hai mujh meinPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Krishan Bihari Noo
malesozegam hae! nihani dekhte jaobhadak uthi hai shammaezindagani dekhte jaochale bhi aao wo hai qabrefani dekhte jaotum apne marane wale ke nishani dekhte jaoabhi kya hai kisi din khoon rulayega ye khamoshizubanehal ki jaddobayani dekhte jaogarurehusn ka sadaqa koi jata hai duniya sekisi ke khak mein milati javani dekhte jaoudhar muh pher kar kya zibah karte ho, idhar dekho!meri gardan pe khanjar ke ravani dekhte jaobaharezindagi ka lutf dekha hai aur dekhogekisi ka aish margenagahani dekhte jaosune jate na the tum se mere din raat ke shikavekafan sarakao meri bezubani dekhte jaowo utha shorematam aakhari didaremayyat parab utha chahate hain nashefani dekhte jao Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Fani Badayuni
Khoobsurat Ek Misaali Ghar Banana Hai MujheEk Ajooba AhaleDuniya Ko Dikhana Hai MujheHousla Himmat Ke Buniyadoun Me Pathar Baandh KarAzm Wo Istaqlaal ka Paya Jamana Hai MujheMahr Ka Paani, Wafaa Ki Reet, Ganj Isaar KiPyaar Ki Eintou Se Deewarein Uthana Hai MujheKhidkiyaa Iqlaas Ki, Darwaze HusneQalq KeInn Pe Parde Muskurahat Ke Lagana Hai MujheDard Mandi Aur Silaa Rehmi Ki Roshan DaniyaaFarsh Salim Qaaksari Ka Bichana Hai MujheIlm Ki Hongi Kaamanein Aur Aquwat Ke SutoonSaare Ghar Me Ilm Ki Shamein Jalana Hai MujheChatt Ki Kadiyaa Fahem Ki Houngi Salaqein Raham KiJhoomaroun Se Shukar Ki Chatt Ko Sajana Hai mujheRaahdaari Chain Ki, Kamre SukooneQalb KeEk Waseh Dalaan Chahat Ka Banana Hai MujheSeedhiyaa Zindadili Ki, Khushdili Ka TabdaanHar Qadam Par Naksh Fitrat Ke Bithana Hai MujheBalcony Inksari Ki, Jharoke Sabar KeInn Me Kangoore Sharafat Ke Lagana Hai MujheRang O Rougan Burdbaari Ke Dar O Deewar ParToghre Allah Aur Muhammed Ke Sajana hai MujheChaar Deewari Haya Ki, Aur Gate Qair KaPeid Ekjahiti Ke Aangan Me Lagana Hai MujheKiyariyan Itayat Ki Hongi, Belein Istaghfaar KiHusn Zann Ke Maiz Honge, Kursiyaa Tahzeeb KiIss Tarah Deewan Qane Ko Sajana hai MujheKhoobsurat Ek Misaali Ghar Banana Hai Mujhe
Baharon ko chaman yad aa gaya haimujhe wo gulbadan yad aa gaya hailachakati shakh ne jab sar uthayakisi ka bankpan yad aa gaya haimeri khamoshiyon par hansane valomujh wo kamsukhan yad aa gaya haitumhen mil kar ke ae yazadanparastogurureaharaman yad aa gaya haiteri surat ko jab dekha hai main neurujefikrofan yad aa gaya haikisi ka khubasurat sher sun kartera lutfesukhan yad aa gaya haimile wo ajanabi ban kar to ‘rifat’zamane ka chalan yad aa gaya hai Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rifat Sultan