Sakht raton mein bhi safar asaan lagta hai, Yeh meri Maan ki duaayon ka assar lagta hai..

jub yad ka angn kholon to kuch log bht yad aty hen ma guzry dino ko sochon to kuch log bht yad aty han ab jany kis nagri me soey paray hy mudat sy ma raat gye tak jagon to kuch log yad aty han kuch baten theen phoolon jesi kuch khushbo jesy lehjy thy ma shehr_o_chaman ma tehlon to kuch log bht yad aty han wo pal bhar ki narazgian or man bi jana pal bhar ma khud sy jb bi rothun to kuch log bht yad aty han

Hm jugnu thy, hm titli thy, hm rang barange panchi thy, Kuch mah-o-sal ki janat mei Maa hm dono b sanjhi thy,… Mai chota sa ik bcha tha, teri ungli tham k chalta tha, Tu dour nzr se hoti thi mai ansu ansu rota tha, ik khwabon ka roshan basta tu roz mujhe pehnati thi, …Jb drta tha mai raton ko tu apne sath sulati thi, Maa tuny kitne barson tk is phol ko sencha hathon se, Zindagi k gehre bhedon ko mai smjha teri baton se, Mai tere hath k takiye pr ab b rat ko sota hon, Maa mai ik chota sa bcha hon teri yad mei ab b rota hon.

Is tarah mere gunaahon ko woh dhho deti hai, Maan bohat ghussay mein ho to ro deti hai..

Laakh apne gird hifaazat ki lakeerain kheenchoon, Aik bhi un mein nahin maan ki duaaon jessi..

Raat gareeb Maan ne ye keh kar bachon ko sulaya, Farishtey khwaab me aatey hain rotiyan le kar…

Meri khawhish hai ke main phir se farishta ho jaaon, Maan se is tarah lipat jaaon ke bacha ho jaaon..

Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to, Mujh ko yu’n mehsoos hua, Apna sab kuch chorr ke jese, Ik lamhe mein, Mera sab kuch us ne apna maan liya hai, Mujh ko sab kuch jaan liya hai..

Ye jo sakht raston pe bhi aasan safar lgta hai… Ye mjh ko MAA ki duaaon ka asar lgta hai… Aek muddat hui meri MAA nai soyi Tabish… Mein ne ik baar kaha tha k mjhe darr lgta hai…

Tum Fojiyon Se Mohabbat Kyun Karti Ho, Hum Fojiyon Se Mohabbat Na Kiya Karo, Maan, Hamare Janazey Hamesha Jawaan Uthte Hain, Aur Meri Maan, Yeh Sun Kar Ro Diya Karti Thi, Kahin Jo Tumhen Meri Maan Miley, Tou Usey Kehna, Woh Fojiyon Se Mohabbat Na Kiya Kare, Darwazey Ki Chokhat Per Beth Kar, Mera Intizar Na Kiya Kare, Tum Meri Maan se Kehna, Woh Roya Na Kare…

Ham jugno the ham titli the Ham rang barange panchi the Kuch maho-sal ki jannat men MAA hm dono bhi sanjhi the Men chota sa ik bacha tha Teri ungli tham ke chalta tha To door nazar se hoti thi Men anso anso rota tha Ik khowabon ka roshan basta To roz mjhe pehnati thi Jab darta tha men raton ko To apne sath solati thi MAA to ne kitne barson tak is phool ko seencha hathon se Jeevan ke gehre bhaidon ko Men samjha teri baton se Men tere hath ke takiye par Ab bhi rat ko sota hon. Maa men chota sa ik bacha teri yaad men ab bhi rota hon.

Ghar walon se torr ke naata, kis ne paya sukh, Kahan phiro ge shayer sahab, dast-e-sawaal liye..

Aye Maan, Phir se muje mera basta de de, ke duniya ka dia sabaq mushkil bohat hai. (basta;school bag)

Abi zinda hai Maan meri, mujy kuch bhi nahi hoga, Main jaab ghar se nikalta hoon, dua bhi sath chalti haai..!

Aye raat mujhe Maan ki tarah gaud mein lele, Din bhar ki mushakat se badan toot raha hai.. (Mushakat:Hardwork)