ye betiyan kesi hoti hain ye pariyon jesi hoti hain ye bat bat pe roti hain dil hota hai inka nazuk sa ye bholi bhali hoti hain baap ki ladli hoti hain ma ki sulaari hoti hain guryon se khelna bachpan inka itni jaldi kesey beet gya aangan soona kar jati hain baap ka dard samajhti hain ma k aanso ponchti hain ye betiyan kesi hoti hain ye paryon jesi hoti hain
Like (9)Dislike (1)
Khud main uljhi uljhi hai, Per baalon ko suljhaaye..
Like (4)Dislike (2)
Aye jahez ke maaro tum na samajh paao gey, Baap ki majbooriyo’n ko betiyan samajhti hain..
Like (4)Dislike (1)
Kaamp uthti hoon main yeh soch kar tanhayi mein, Mere chehrey pe tera naam na parrh le koi..
Like (1)Dislike (0)
“See the clock only when u have No work Don’t see the clock when you are working Because Clock is a lock for success.”
Like (1)Dislike (0)
Khilono ki Jaga Dil toot`ta hai, K Guriya ab bari hony lagi hy.
Like (0)Dislike (1)
Ghar walon se torr ke naata, kis ne paya sukh, Kahan phiro ge shayer sahab, dast-e-sawaal liye..
Like (0)Dislike (0)
Gham ka daur kabhi na aaye, bas yunhe tu hansti jaye Tere chand se chehre ko dekh chandni bhi sharmaye Gushan gulahan dhundh raha hun, sehra sehra daud raha hun Koi dilkash manzar lekin tere jaisa nazar na aye Tu hai malika phulon ki aur kaliyon ki tu shahzadi Sab ne tujhko yad kiya aur sab ne tere gun gaye
Like (0)Dislike (0)
Paraaye ghar ki beti jal rahi hai, Acha moqa hai! Bujha do piyas sholo’n ki, Kanaster daal do us per Sulagtey bainn sun kar ab nahi’n bedaar ho gi woh Kahani so gai, Phoolo’n ki chaadar daal do us per Ek strature k pahiye ghoomtey hain burn unit mein Ye manzer dhaanp do, Acha sa manzer daal do us per. . !
Like (0)Dislike (0)
Phir ajnabi fizaon se jorra gaya mujhe, Mein phool thi so shaakh se torra gaya mujhe, Khushbu ki tarah jeena bhi asaan to na tha, Phool se katra katra Nichorra gaya mujhe, Mitti ke bartanon ki tarah sari zindagi, Tora gaya mujhe, kabhi jorra gaya mujhe, Hathon mein somp di mere kaghaz ki aik nao, Darya ke tez dharey pe chora gaya mujhe…
Like (0)Dislike (0)
Mene socha tha, Aj aap ayen ge to ro doon gi, Aap puchain ge, To sab haal keh doon gi, Keh doon gi ke kitne din huye soyi nahin, Woh konsi bhool hai jo huyi nahin, Kitaab fridge mein, Glass shelf mein rakha, Peer ka din tha jumeraat likha, Saheli se shikwa karna tha usey spaas likha, TV per geet tha Azaan nahin, Mene chonk kar aanchal sar per rakha, Kya haal kar diya mera, Mujhe kisi kaam ka na rakha, Aur… Jab aap ne aakar poocha, Kya haal hai ? To mein itna hi keh saki, “Theek Hoon”..
Like (0)Dislike (1)