Mohabbat Buri Hai, Buri Ha Mohabbat, Kahe Ja Rahe Hain, Kiye Ja Rahe Hain..
Mohabbat Buri Hai, Buri Ha Mohabbat, Kahe Ja Rahe Hain, Kiye Ja Rahe Hain..
Na Tadapta Dil, Na Roti Aankhein, Na Labon Pe Naam koi aur Hota, Ham Teri Tamanna hi kyon karte, Agar Tere Jaisa koi aur Hota…
tuti hui mohabbat ko dhokha naa kahiye?. mohhabbat ko sare aam ruswa naa kariye.. jisse dil me basaya tha kabhi? uss dilbar ko yu bewafa naa kahiye?!!!
Ye muhabbat ki kahani nahin marti lakin, Log kirdar nibhate hoe mar jate hain.
Chalo tum sath mat dena? Mujhy beshak bhula dena? Naye sapne saja lena? Naye rishte bana lena? Bhula dena sabhi waday Sabhi qasmen sabhi Naty? Tmhen jana! ijazt hay? Jo dil chahe wo sab karna.. Magar ab tum kisi se bhi..! Adhora Pyar Mat Karna
Jin ke daaman mein kuch nahin hota, Un ke seeno’n mein pyar dekha hai..
Majno ko dashat se koi nisbat nahin hai noor, Liala ka us ko asal me pehlo aziz hai.
Raaz khol dete hain nazuk se ishaare aksar, Kitni khamosh mohabbat ki zubaan hoti hai..
Tum, Tum aur sirf Tum, Lo khatam hui yeh dastan dil ki..
Karon ga kia jo muhabbat me ho gea nakaam, Muje to aur koi kaam bhi nahin ata.
Rakhte hain jo Auron ke liye pyaar ka jazba . Woh log kabhii toot kar bikhra nahi karte . . . .
Na woh inkaar karta hai na woh iqraar karta hai, Humain phir bhi gumaan hai woh humse pyar karta hai..
Tumhari bay rukhi par bhi luta di Zindagi hum nay, Agar tum Meharba’n hoty, hamara haal Kia hota….!
Dekha palat k us ne k hasrat usay bhi thi Hum jis pe mitt gae thay mohabbat usay bhi thi Chupp ho gya tha dekh kar wo bhi idhr udhar Dunya se meri tarha shikayat usay bhi thi Ye soch kar andhere galay se laga liye Raaton ko jaagne ki aadat usay bhi thi Wo ro dia tha mujh ko pareshaan dekh kar Us din khula k meri zaroorat usay bhi thi
Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota Magar hadsha judai ka ghamon se kam nahin hota Koi jugnu koi tara kahin se dhond kar lao Gharon ko phoonk dene se andhera kam nahin hota Mohabbat karne waley tou hamesha sath rehta hain Mohabbat mein judai ka koi mausam nahin hota Mujhe chor kar khud bhi sari umar tum tarpey ho Koi aesi saza dete tumhe tou gham nahin hota Zameen walo se yeh keh kar dhal geya sooraj Ujala baant dene se ujala kam nahin hota