Pathar ko jaante they magar poojte rahe, Ehl-e-wafa they aur murawwat ki baat thi..

Me khod ko dhondata hon sar e sheher e arzo, Muj ko bhi dil k sath chora le gea koi.

Khafa na ho k tera husan hi kuch aisa hai, Me tuj se piar na karta to aur kia karta.

Choma hai mera naam lab e surakh ne shakeeb, Ya phol rakh dia hai kisi ne kitaab me.

Pehle hi apne app se ghafil the hum magar, Uss chashme parfasoon ka asar aur ho gea.

Izhaar e mohabat mere aansu hi karain ge, Izhar ba-andaz dagar ho nahi saktaa…

Ab Is Kay Bad Laga Dil To Dil Lagi Hogi, Hum Tum Pay Apni Mohabbat Tamam Kar Bethay.

Mein Poochta Hun Ye Kaarobar Kis Ka Hai ? Ye Dil Mera Hai Magar Ikhtiyaar Kis Ka Hai?

Me kar raha hon muhabbat bhi is lie shaid, Jo kaam kar nahin sakta wo kaam karta hon.

Jab bhi ata hai mera naam tere naam k sath, Jane kion log mere naam se jal jate hain.

Barsar-e-jang raza aaj ye duniya hai magar, Aik din thak kar muhabat ka sahara lay gi

Es Raah-e-Muhabbat Ki Tum Baat Na Pucho, Anmol Jo InSaan They, Be-Mol Bik Gaye…

Wo khosh kalam hai aisa k us k pass humen, Taweel rehna bhi lagta hai mukhtasir rehna.

Muj ko nafrat se nahin piar se maslob karo, Me to shamil hon muhabbat k gunahgaron me.

Jab bhi kehta hon koi taza ghazal tere lie, Mere ehsas me khilte hain kanwal tere lie.