Khubsoorat Hain Woh LubJo Pyari Batein Kartey HainKhubsoorat Hai Woh MuskurahatJo Doosron Ke Chehron Per Bhi Muskan Saja DeKhubsoorat Hai Woh DilJo Kisi Ke Dard Ko SamjheyJo Kisi Ke Dard Mein TadpeyKhubsoorat Hain Woh JazbatJo Kisi Ka Ehsaas KareinKhubsoorat Hai Woh Ehsaas Jo Kisi Ke Dard Ke Me Dawa BaneyKhubsoorat Hain Woh BateinJo Kisi Ka Dil Na DukhaeinKhubsoorat Hain Woh AnkheinJin Mein Pakezgi HoSharm O Haya HoKhubsoorat Hain Woh AnsooJo Kisi Ke Dard Ko Mehsoos Kerke Beh JaeKhubsoorat Hain Woh HathJo Kisi Ko Mushkil Waqat Mein Tham LeinKhubsoorat Hain Woh KadamJo Kisi Ki Madad Ke LiyeAagey Badhein !!!!!Khubsoorat Hai Woh Soch Jo Kisi Ke Liye Acha SocheyKhubsoorat Hai Woh InsanJis Ko KHUDA Ne YeKhubsoorati Ada Ki

Bahut Khoobsoorat Ho TumBahut Khoobsoorat Ho TumAgar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai TumseTho Mujhko Khudaara Galat Mat SamajhnaKe Meri Zaroorat Ho TumBahut Koobsoorat Ho TumYe Chehra Tumhaara Ke Din Hai SunehraAur Uspar Ye Kaali Ghataaon Ka PehraGulaabon Sa Naazuk Mehekta Badan HaiYe Lab Hain Tumhaare Ke Khilta Chaman HaiBikheron Na Zulfen, Tho Sharmaayen BaadalFarishtey Bhi Dekhen Tho Hojaayen PaagalWo Pakeeza Moorath Ho TumBahut Khoobsoorat Ho TumHain Phoolon Ki Daali Ye Baahen TumhaariHai Khaamosh Jaadu Nigaahen TumhaariJo kaanten Hon Sab Apni Daaman Mein Bhar LoonBichaawoon Main Kaliyon Se Raahen TumhaariNazar Se Zamaane Ki Khudko BachaanaKisi Aur Se Dekho Dil Na LagaanaKe Meri Amaanath Ho TumBahut Khoobsurat Ho TumJo Banke Kali Muskuraati Hai AksarShabeHijr Mein Wo Rulaati Hai AksarJo Lamhon Hi Lamhon Mein Duniya BadaldeJo Shaayar Ko Milti Hai Pehloo Ghazal SeChupaana Jo Paawoon Chupaa Hi Na PaawoonBhulaana Jo Paawoon Bhulaa Hi Na PaawoonWo Pehli Mohabbat Ho TumBahut Khoobsurat Ho TumAgar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai TumseTho Mujhko Khudaara Galat Mat SamajhnaKe Meri Zaroorat Ho TumBahut Koobsoorat Ho Tum