main lafzon ma kuch nhi ketha is ka matlab ye nhi ke ma tujh se pyar nhi karta chahta hoon tujhe aaj bhi phir teri soch ma apna waqt bekar nhi karta tamasha na baan jaye muhabat meri is liye apne dard ko namudar nhi karta jo kuch mila hai isi a khush hoon tere liye KHUDA se takarar nhi karta par kuch toh baat hai teri fitrat ma AYE ZALIM warna tujhe chahne ki hata bar bar nhi karta

na wo wafa ki devi hai? na hai wo bewafayii ki murti?. kash khud ko itna bedard na banaya hota ? to sayad ushey rok pata?. kaheti thi ki ?mere pyaar ki umar ho itni sanam .. tere naam se suroo tere naam se khataam?? per naam ka fashla na badha hota itna ? to sayad ushey rok pata? khati thi ?baith mere pass tujhey dekhti rahoon?..? kass ushkey rooh me utar jata ? to sayad ushey rok pata?.

Kul Raat Janai Kya Hova Kuch Dair Nend Sai Pehlai Kuch Ashq Milnai A Gai Kuch Khwab Bhi Totai Hovai Kuch Log Bhi Bholai Hovai Kuch Rasta Bhutki Hoi Kuch Gurd Mai Lipti Hoi Bai-Rubt Si Souchain Kai Bhooli Hoi Baatai Kai Ik Shaks Ki Yaadai Kai Phir Dair Tuk Jaga Raha Souchon Mai Gum Baitha Raha Ungli Sai Thundai Fursh Pur Ik Naam Bus Likhta Raha Kul Raat Hi Wo Raat Thi Kuch Dair Nend Sai Pehlai Mai Dair Tuk Roota Rahaa

Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya… Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya… Hum To Samje Te K Hum Bhol Gaye Hain Un Ko… Kia Hova Aaj Ye Kis Baat Pe Rona Aaya… Kis Liye Jeete Hai Hum Kis K Liye Marte Hai… Baarha Aise Sawalaat Pe Rona Aaya… Kon Rota Hai Kisi Aur Ki Katir Ae Dost… Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya… Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya… Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya…

Na Tuje Chor Saktay hain Tere ho bhi nhi saktay, Ye Kesi Bebasi hy Ham ro bhi nhi saktay, Ye Kesa Dard Hy Hmein Pal Pal Tarpaey Rakhta Hy, Teri Yaad Aati Hy To Phr So Bhi Nhi Saktay, Chupa Saktay Hain Na Dikha Saktay Hen Logon Ko, Kuch Aesay Daagh Hain Dil Per Ham Dho Bhi Nhi Saktay. Kaha To Tha Chor Deingay Ye Nagar Phr Ruk Gaey Lakin, Tumhein Paa To Nhi Saktay Lakin Kho Bhi Nhi Saktay. Hmara Aik Hona Bhi Nhi Mumkin Raha Ab To, Jein Kesay Keh Tum Se Door Reh Bhi Nhi Saktay.

Tum Se Judai Ke Ansoo Ankhon Me Rehte Hain Kisi Ke Samne Kahan Ye To Dil Mein Behte Hain Zindagi Ka Saleeqa Kahan Hey Humain Ab Dugmagate Hain Qadam Tum Ho ZINDGI Meri Hum To Bar Bar Yehi Kehte Hain Hey Husrat-e-Dil Key Koi Bhi Pal Na Teri Yaad Se Gafil Hum Soye Kahan Hain Bus Jagte Rehte Hain Itna Chale Hain Ke CHal CHal Key Thak Gaye Hain Sitare To Buhat Hain Per Hum Tumhain CHAAND Kehte Hain Tum Se Judai Ke Ansoo Ankhon Me Rehte Hain Kisi Ke Samne Kahan Ye To Dil Mein Behte Hain

Mein takiye per sitaray bo raha hoon. . Janam din hai, Akela ro raha hoon. . Kisi ne jhank kar dekha na dil mein. . K mein ander se kaisa ho raha hoon. . Jo dil per daagh hain pichli ruto’n kay. . Unhein ab aansuo’n se dho raha hoon. . Sabhi parchaai’an hain saath lekin. . Bhari mehfil mein tanha ho raha hoon. . Mujhy in nisbato’n se kon samjha? Mein rishtay mein kisi ka jo raha hoon. . Mein chonk uthta hoon aksar baithay baithay. . K jaisay jagtay mein so raha hoon. . Kisay paanay ki khuwahish hai k ‘Sajid’ Mein rafta rafta khud ko kho raha hoon. . !

Aaj kuch anokhi si raah pe khadhi hun mein Has rahi hun auron ko dikhaane ke liye Per dil se bhari padhi hun mein Har baar khela mukaddar ne khel mere Is dard ke khel ko buhat jheli hun mein Mein koi asmaan se utri pari to na thi Per tere pyar me lagta tha ki sabse Albeli hun mein Shuru huya tha mohabbat ka Safar aise Jaise koi dulhan nayi naveli thi mein Aaj choadh gaye muje tum us manzar pe Kuch nahi bus ik khandar ,ik Haveli hun mein Yeh shaan o shaukat ka kya karun ab mein Yeh Jug ke jhoothe dilaason ka kya karun Jab tu hi saath nahi Matt laga aaj itne ilazamaat mujpe Dekh zara jeeker Zindagi meri Tere pyaar bin kitni akeli hun mein IS jahan ke liye Kitni sulji Per khud ke liye bus ik paheli hun mein Aaj tuj bin buhat akeli hun mein!!!!

Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai? Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai? Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai? Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai? Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai? Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai? Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai? Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’ Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ?