Waqt khosh khosh katane ka mashwara daite hoe, Ro para wo app muj ko hosala daite hoe.
Waqt khosh khosh katane ka mashwara daite hoe, Ro para wo app muj ko hosala daite hoe.
Kuch is adaa se ishq ke sadmey uthaayiye, Dil gham se ro raha ho, magar muskuraayiye..
In ko Nasir na kabhi ankh se girne dena, Un ko lagte hain meri ankh mein pyare aansu..
yea muhabat ke kahane nahe marte laykin, log kardar nabatay huay mar jatay hain…
Bichrdeyn tu shehar bhar may kesi ko pata na ho tum ko kuch malal hum ko bhi gila na ho
Ye shararat bhara lamha to meri adat hai, To har ik baat pe yon nam na kia kar ankhain.
Fasale aise bhi hon ge ye kabhi socha na tha, Samane betha tha mere aur wo mera na tha.
Chand anso hain nadamat k meri ankhon me, Aur to kuch bhi nahin muj se gunehgar k pass.
Raah takte jab thak gayi meri aankhain, Phir tujhe dhoondne meri aankh ke aansu nikle..
Ronay waley tujhe ronay ka saleeqa hi nahi, Ashqq peenay ke liye hain bahaney ko nahi..
Ajnabi logon mein ho tum aur itni door ho, Aik uljhan si raha karti hai rozaana humain..
Saleeqa Ho Agar Bheegi Palkoon Ko Parhne Ka, To Behte Hue Ansoon Aksar Baat Kerte Hain..
Bohat aziz hain aankhain meri usay lekin, Wo jaatay jaatay kar gaya unhain purnam phir..
Talkh itni thi ke peenay se zubaan jalti thi, Zindagi aankh ke paani mein mila li mene..
Sehra e gham e jaan me bagolon se bacha kon, Mit jaen ge ae dost tere naqash e qadam bhi.