Waqt Ki Raftar Pe Jhanjala Kar Ro Pare Kabhi Use Kho Kar To Kabhi Use Pa Kar Ro Pare Khushiyan Humarey Naseeb Main Kab Raas Ayein Hain Bahir Kabhi Hansein To Ghar A Kar Ro Pare

Dil Main Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain Hontoon Per Muskurahat Saja Kar Rakhte Hain Yeh Duniya Sirf Khushi Mein Saath Deete Hai Iss Liye Hum Apne Aansoon Ko Chupa Kar Rakhte Hain

Roz Subha Khud Say Ek Wada Kartay Hain Tujhay Iss Dil Say Bhulanay Ka Irada Kartay Hain Apni He Baat Say Mukkarr Jatay Hain Maloom Nahi Kyoun Bheegti Ankhon Ko Khuwab Tornay Ke Liye Amaadah Kartay Hain

Har aik baat pay Kehtay ho tum k “to kiya hai” tum hi kaho k yeh andaaz_e_guftagoo kiya hai…. Ragoon me dhoortay phirnay k hum nahi qaeel… jab ankh hi say na tapka to phir lahoo kiya hai

Agar kush hai woh dekh kar ansu meri ankhon me, To khuda ki kasam hum muskurana hi chod denge. Tadapte rahenge use dekhne ko Magar uski taraf palke uthana hi chod denge. Wo manjil hi kya meri jo dukh de us ko, Khuda ki kasam us manjil pe hum jana hi chod denge!

Hum tery hijer?main ander se toot jaty hain zinda rehty hain mager ander se toot jaty hain jab kabhi bolta hai hans ke kisi aur se tu kitny hanjer mery seeny main uter jaty hain teri yadoon ki agerbattiyan jall uthty hi hum tery derd ki khushboo se bher jaty hain

Kab Tak Raho Ge Aakhir Yoon Door Door Hum Say? Milna Paray Ga Aakhir Ek Din Zaroor Hum Say..! Daman Bichaane Walay Ye Be-Rukhi Hai Kesi? Keh Do Ager Hua Hai Koi Qasoor Hum Say..! Hum Cheen Lenge Tumse Ye Shan-e-Benayazi, Tum Mangte Phiro Gay Apna Garoor Hum Say…!!

Mohabat ka irada badal jana bhi mushkil hai tmhen pana bhai mushkil tmhen khona bhi mushkil hai udasi tery chehry ki gawara bhi nahi dil ko teri khatir sitary toor kr lana bhi mushkil hai zara si baat per ankhen bhigo kr baith jaty ho tumhen to hal-e-dil batlana bhi mushkil hai

apni yaadein apni baate lekar jana bhul gaye,, jane wale jaldi mai milkar jana bhul gaye,, mur-mur kar dekha tha jaate raste mai usne,, jese use kuch kehna tha jo wo kehna bhul gaye,, waqt-e-rukhsat poch raha tha mere aansu apne aanchal se.. usko gham tha itna k wo khud rona bhul gaye.!!

Meri Ankhon se kabhi utro dil mein, Ke main dharkan mein Basa lon tumko, Jaan se b barh kr chahun tumhen, Apni zindgi hi Bana lon tumko, Mere khuwabon mein Sirf tum hi baso, Apni Neendon mein saja lon tumko , Logon ki bheer mein kho na jana kahin, Zamane se hi main chura lon tum ko…

Meri aankhon main Ansu aaye na hote, Wo humein dekh kar muskuraye na hote, Sochti hun aksar tanhai may main, Meri zindagi main kash wo aaye na hote, Na tarapte hum unke liye itna, Dil ne khawab unke sajaye na hote, Naa toot kar bikharti main is kadar, Kash wo mere dil main apna ghaar banaye na hote….

Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo

Khud hi chaly aty hain jab koi nahi hota ankhon se chalak jaty hain jab koi nahin hota dil bhi jis dard ko samait na paye usy seeny se kagaty hain jab koi nahi hota alfaaz nahi milty jis dard k liye wo bat ye keh dety hain jab koi nahi hota in ansuoon se aqedat unhi to nahi mujhko ye sath nibhaty hain jab koi nahi hota

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai, Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai, Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah, Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai, Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar, Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai, Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse, Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai……!!!!

Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise