Awaaz main thehraao tha aankhon main nami thi, Aur keh rahe they maine sab kuch bhulaa diya..

Ab na gonjy gi kabhi es ghar  may dastak dekh ly kha gy hy mery darwazy ko demak dekh ly

Zabat e gham abb to pathar kar dia warna faraz, Daikhta koi k dil k zakham jab ankhon me the.

Phool banane ki khoshi me muskarati thi kalii, Kia khabar thi ye taghayar moot ka pegham hai.

Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhi Jazbaat Mein Aank Sai Bhi Chand Boondein Gir Pari Barsaat Mein

Na aankh hai nam na chehre pay kurb ke aasaar, Main is saleeqey se roya hoon aaj pehli baar..

Zarorat hai hamen ae dil laho k chand qatron ki, Kisi k naam maqtoob e wafa tehreer karna hai.

Usay kehna k loat aye sulagti shaam se pehle Kisi ki khush ankhon main sadayen raqs karti hian

Zikr chairr dete hain jab gaye zamanon ka, Woh bhi roney lagte hain, hum bhi roney lagte hain..

Theek hai ae zabat e gham ansoo koi tapka nahin, Par ye dil se ankh tak peham safar me kon hai.

hairan nahi hun main ager dil tooty kisi ka ab to kisi payar ki kamyabi pe chuonk jati hun main

woh kehtay thay roonay se nahi badalte naseeb unn ki iss baat ne umar bhar roonay bhi na diya !!

Waqt-E-Judai Woh Roti Rahi Magar , Aankhon Mein Mere Aansuon Ne Kar Liya Basera……!

Woh humain jab tak nazar aata raha taktey rahe, Geeli aankhon, ukhrrey lafzon se duaa dete huye..

Subhah jab jage thakawat se badan tha chor chor, Raat bhar khawabon k jangal me safar karte rahe.