tou meri chahat ka ek lafz bi na parh saka , main tery diey huey dard ki kitab parhty parhty aksar so jata hon…

Sabab har ek mujh se puchta hei mere rone ka, Elahi sari dunia ko main kese razdar kar lon…………:

Shaam Se Aankh May Nami Si Hai Aaj Phir Aap Ki Kami Si Hai Daffn Kardo Hamay Kay Saans Milay Nabz Kuch Dair Say Dabi Si Hai

Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain Bas Yaadain Bohat Stati Hain Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain

Osne apni ungaliyon se aik aik ker k apny sary AaNsoo samait liye aur socha k Ashaq samaitny wala aj itny Ashaq kesy de gaya??

Apny dard barha leti hun yadon main usey pas bula leti hun zindgi jeeny se qabal jo maar gya tha har pal usy jeeny ki dua deti hun

Usski jafaaao’n ne mujhe tahzeeb sikha di hai Mohsin, Main rote hue so jaaata hoo’n par shikwa nahi karta……

Woh Nadiyan Nahi Aansu They Mere Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri Isliye Hum Aansu Bahate Rahe

Na jane kyun gale se lipat ke rone lage wo, jab ham barso baad mile, Jaate hue jinhone kaha tha mujhse, Ke tum jaise laakhon milenge..

Koi Dikah Ke Roay Koi Chupa Ke Roay Hamein Rulane Wale Hameain Rula Ke Roay Marne Ka Maza To Tab Hai Jab Qatil Bi Janaze Pe Aa Ke Roay

Jane Kyu Woh Hame Kuch Aisi Nishani De Gaye Dohra Na Sake Aisi Kahani De Gaye Hum To Reh Gaye Pyase Par Woh Hamari Palko Ko Pani De Gaye

Roshni kab kam hui pata nahi chala ankh kab nam hui pata nahin chala teri yaaad main khooye kch is tarha ankh kab nam hui pata nahi chala

Dard Kitne Hain Bata Nahi Sakta Zakhm Kitne Hain Dikha Nhai Sakta Ankhon Se Samjh Sako To Samjh Lo Ansoon Gire Hain Kitne Gina Nahi Sakta

Mary Dil Ka Dard Kis Ne Dikha Hai Mujhe Bass Khuda Ne Tarptey Dikha Hai Hum Tanhai Ma Baithe Rote Hain Logo Ne Humen Mahfil Ma Hasty Dikha Hai

Ashq Ka Qatra Aankhon Se Beh Gaya, Bahte-Bahte Dil Ka Kissa Kah Gaya, Bahut Mushkil Se Sambhala Tha Khud Ko, Tujhe Dekha To Bas Dekhta Rah Gaya..