Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham ki Hararat se. Tumhe maloom ho jaye ga rona kis ko kehte hain.

Khabar kya thi kay wo ik roz mujhko bhool jaye gi, Or us ki yad mujh ko khoon kay anso rulaye gi.

Sabab roney ka woh poochain to itna kehna Qasid, Mujhe hansna nahin ata jahan par tum nahin hote..

Tumhara naam likhane ki ijazat chin gai jab se Koi bhi lafaz likhata hon to ankhen bheeg jati hain

Hayat ik mustakil gham k sawa kuch bhi nahin shaid, Khoshi bhi yaad ati hai to anso ban k ati hai.

Tum yohi naraz hoe ho warna mekhane ka pata, Hum ne har us shakhs se pocha jis k nain nashele the.

Sabab har aik mujhse puchta hai mere ronay ka, Elaahi! Sari duniya ko main kese razdaan kar loon..

Mein to rotaa dekh ke sab ko ronay lagta hoon, Dekh ke mujh ko log magar, kyun hansne lagte hain..

hum to hanstay hain dusro ko hansanay ki khatir, warna dil pe zakham itne hain k roya b nahi jata..

hum to hanstay hain dusro ko hansanay ki khatir, warna dil pe zakham itne hain k roya b nahi jata..

Main to uss waqat se darta hoon ke woh puch na ley, Yeh agar zabt ka aansuu hai to tapkaa kaisey ??

Yeh shararat bhara lehjaa to meri aadat hai, Tu har ik baat pe yu’n nam na kiya kar aankhain..

Na janey ho gaya hun is qadar hassas me kab sey, Kisi sey bat karta hun to ankhien bheeg jati hain..

mai shayar nahi na shayri se hai mera waasta koi.. bas aansuon se hai dosti aur kalam mera yaar hai..

Kya karein ab to yeh lafzon mein ayaan hotey hain, Aik muddat se jo hum hum ne they chupaaye aansuu..