Tumhari yad ke aansoo abhi tak baha raha hon main, Ab to aa jao ke dil bohat udaaas hai tum bin…

Teri Ibtida Bhi ans0o..Teri Inteha Bhi Aahain…!!! Tu Hi Bta Muhabbat ..Tujhe Kis Bina Pa chahein ?

mai shayar nahi na shayri se hai mera waasta koi. . . bas aansuon se hai dosti aur kalam mera yaar hai. .

Zamaaney ke sawaalon ko main hans kar taal doon lekin, Nami ankhon ki kehti hai mujhe tum yaad aatey ho..

Aankhon Mein Namii Si Hai, Chup Chup Se Woh Baithe Hai Nazuk Si Nigaahon Mein Nazuk Saa Fasanaa Hai…

Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain..!!

Sabab har aik mujh se poochta hai mere ronay ka, Elaahi saari dunya ko mein kese raazdaa’n kar loon..

Sach kahoon apni mohabbat pe nidaamat si hui, Jab bhi dekhi teri utri hui surat meine.. (nidaamat;guiltiness)

Kash tu dekh sakta mujhay raat ke us pehar main, kitni bedardi say teri yad meri neend chura layti hai…

Jin ke honton pe tarb-khezz hansi hoti hai, Woh bhi rote hain kitabon mein chupa kar chehre.. (tarb-khezz;fake)

Guftugu kejiye k ye fitrat-e-insan hai ‘Shakeb’ Jaalay lag jatay hain jab band makaan hota hai. . !

Mere haal pe yeh hairat kesi, dard ka tanha mausam main, Pathar bhi ro parttey hain, insaan to phir insaan huaa..

Kal raat apne saare dukh kamre ki deewaron se keh daale ,, Ab main sota rehta hon aur deewarein roti rehti hain ,,

Meri rooh ki haqeeqat mery aansuo’n se pooch! Mera majlisi tabassum mera tarjumaa’n nahi’n hai. .

Jub Se Dekhi Hain Wo BheeGi Howi Aankhein … Hanstay ChehRon Pe Bhi Ronay Ka GumaaN Hota Hai……..!