Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy.. Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy.. Khat mein dil ki batein likhna achi baat nahi, Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy… Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye, Aankhon ka ye hal abhi tak kal ki baat lagy… Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly, K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy…!!!

Mohabbat ab tijarat ban gai hai, Tijarat ab mohabbat ban gai hai, Kisi se khelna phir chor dena, Khilaono ki tarha dil tor dena, Haseeno ki ye adat ban gai hai, Kabhi tha naam iska bewafai, Magar ab aaj kal behayaai, Sharifon ki sharafat ban gai hai, Kisi mandir ki moorat thi kabhi ye, Bari khoobsurat thi kabhi ye, Magar kya iski soorat ban gai hai, Mohabbat ab tijarat ban gai hai, Tijarat ab mohabbat ban gai hai..

Us Say Kehna K, Sasain Ab Bhi Teray Naam Say Chalti Hain…. Dil Ab Bhi,Taray Naam Say Dkarakta Hai… … Aankhain Ab Bhi,Teri Muntazir Hian…. Sawan Ab Bhi Barasta Hai… …….. MAGAR……. UsSay Kehna, Ab Rat Guzarti Nae.. Parinday Ab Geet Gatay Nae….. Bahar Ab Ati Nae….. ……. MAGAr……. Intezar Tab Bhi Tha….. Intezar Ab Bhi Hai…

Meri chahat tha wo meri ana bhi tha, mere khamosh lehjon ki wo ik sada bi tha, rehta tha subh-o-sham wo mere wajood main, meri awaz mera lehja wo meri ada bi tha, … deta tha mujhko zakham wo be-hisab mgr, hamdard bi tha mera wo meri wafa bi tha, ab us k zikr pr aksar ma khamosh rhta hon, kbi meri muhabbat ki wo intaha bi tha, ajab kash-ma-kash thi meri zindagi, poujna usay bi tha aur dil main khuda bi tha…

Khushi Ka Gam Hai, Na Gham Ki Koi Khushi Ab To, Bohut Udas Guzarti Hai Zindagi Ab To! Tere Bagair Bhi Dil Ki Tasalliyon Ke Liye, Ek Intezar Ki Shab Thi, So Dhal gai Ab To! ik Ashna Ke Bichharne Se Kuch Nahi Badla, Hawa-E-Sheher Bhi Lagti Hai Ajnabi Ab To! Tamam Raat Rahi Dil Mein Roshni Ki Lakeer, Shamaa e Seher thi Wo Bhi to Jal Bujhi Ab To! Kahan Gaye Wo Shanasa Wo Ajnabi Chehre, Ujarh Si Nazar Aati Hai, Har Gali Ab To!!!

Chahat teri chhupa ke jiye ja rahi hun main, khud ko hasin fareb diye ja rahi hun main, tu bewafa hai phir bhi mera honsla to dekh, tujh pe wafa nisar kiye ja rahi hun main, bharke tere daman mai musarrat ki kahkashan, saugat aansuo ki liye ja rahi hun main, ruswa na ho jaye tu is jahan mai isliye, honto ko apne khud hi siye ja rahi hun main, murat teri tarash kar poojungi isliye, pathar teri gali ka ek liye ja rahi hun main…

Kahi wo mile to use kehna Ke Lot ao, Lot ao ke koi shiddat se, Barhi muddat se, …Barhi muhabat se, tumhara intizar kar raha hai, Lot ao ke kisi ki baatai, Kisi ki yaadai, Kisi ki raatai, tum bin bohot adhuri hai. Lot ao ke koi tum bin pal pal, har pal, Har aaj or har kal, tanha hai, Lot ao ke tumare na hone se kisi ki aankho mai nami, Or zindagi me kami, bohot ziyada hai, Kahi mile to use kehna ke Lot aao, Bus Ab…. Lot aao..

Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se, Beeti sadayen rakss karti hain tere ashiyane se, Karta hon yaad mein tujhe jab bhi, Ik aaah si uthti hai mere seeney mein, Puchte hain log mujhse be-basi ka sabab, Kehta hon ke dil lagaya tha ek pathar se, Mar kar bhi na bhula paaon ga mein woh lamhe, Khelta tha mein jab bhi teri naachti zulfon se, Rehta hai ik bacha sa mere wajood mein Husnain, Behelta hai jo teri yaadon ke khilone se..

Kahan* Mumkin Tha Mein Dil Se Teri Yadein Mitta Deta Bhala Kese Mein Jeeta Phir Agr Tujh Ko Bhula Deta, Teri Ruswaiyoon K Darr Se “Laboon” Ko Si Lya Wrna, Tere Shehr e Munafiq Ki Mein Bunyadein Hilla Daita, Kia Tarrk e Wafa Us Ne Tu Hogi Uss Ki Majboori, Jisay Barsoon “duaa” Di Thi Ose Kia Bud-Dua Deta, “Khabar” hoti Agr Mujh Ko Nhi Hy Tu Muqaddar Mein, Osii Lamhay Main “Hathon” Ki Lakiron Ko Mita Deta*

***~***MOHABAT CHOR DI HUM NE***~*** Ye us se keh dya kis ne, K us bin reh nahi sakte, Ye dukh hum seh nahi sakte, …Nahi Jana??! Ghalat fehmi hui hai us ko, Han itna man late hai, K us bin hum bohat roye, Kai raton ko na soye, Magr afsos meri jan, K ab k wo jo lautay ga, Hamain tabdeel paye ga, Bohat mayus ho ga wo, Agar wo pochna chahye, K aisa kyun kiya hum ne To sun lo ghor se, Purani ek riwayat tang aa kar tor di hum ne, ?MOHABAT CHOR DI HUM NE?

kabhi yoon bhi ho na waqt rehay na waqt kii dhaar ho la meh dood waqt kii tanabain kuch is tarhaan say tootain kay naa phir aankh main aansoo ho na dil par koi zakham ho kabhi yoon bhi ho ik lamhay main zindagi kay saaray lahoo kaa hisaab ho us lamhay main ik khawb ho jo na azaab ho na saraab ho kabhi yoon bhi ho na safar ka aghaz ho na manzil ka taayun ho bus aankh khulay to samanay woh jahan abad ho jo kabhi chaha tha jo kabhi socha tha kabhi yoon bhi ho……

Hame koi gam nahi tha, gam-e-aashqi se pehle, Na thi dushmani kisi se, teri dosti se pehle, Hai yeh meri badnaseebi tera kya kasoor isme, Tere gam ne maar daala mujhe zindagi se pehle, Mera pyaar jal raha hai are chaand aaj chhup jaa, Kabhi pyaar tha hame bhi teri chaandni se pehle, Main kabhi na muskarata jo mujhe yeh ilm hota, Ki hazaron gam milenge mujhe ek khushi se pehle, Yeh ajeeb imtehaan hai ki tumhi ko boolna hai, Mile kab the is tarah hum tumhaRe bedilli se pehle..!!!

Us tarah nahi kartey raabta to rakhte hain, thorha milne julne ka silsila to rakhte hain, manzilain buland ho’n tau mushkilain to hoti hain, mushkilo’n se larhne ka hausla to rakhte hain, jo tumharey apne ho’n tum pe jaan daite ho’n, …unka haal kaisa hai ye pata to rakhte hain, dosti k rishte ko bhulte nahi aisey, rotthey dosto’n se bhi rabta to rakhte hain, chhorh jane waley bhi kabhi to laut aate hain, laut k phir aane ka raasta to rakhte hain.

Bicharte waqt in ankhon ka bhar jana zaruri tha, Tumhare bin mera chup chaap mar jana zaruri tha, Main hans kar jhel leta dil pe saare waar qismat ke, Muje bakhabar kar dete agar jana zaruri tha, Meri aankhon me apne aks ko tum dekh na paye, So mera beniyazi se guzar jana zaruri tha, Qabal iske ke dono bad’gumani mein ulajh jate, Mere humdum mera tujhse bichar jana zaruri tha, Main jeewan k safar me hans k sab kuch seh gya lekin, Jo tum bichre tu phir mera bikhar jana zaruri tha. Nazia Kanwal Naazi

Khamoshi mein shor tha mene suna kuch bhi nahin, Us ne sab kuch de diya lekin kuch kuch bhi nahin, Tujh ko kya maloom aye jaan-e-jahan tere bagher, Mera jeevan katt geya aur mein jiya kuch bhi nahin, Hukam yeh hum ko mila us ke siwaa kuch mangiye, Uth gaye dast-e-dua, lab par dua kuch bhi nahin, Teri khatir umar bhar ka rat’jaga hum ko kubool, Chahton main aik shab ka jaagna kuch bhi nahin, Pyar se dekha mujhe lab bhi hilay us ke Khaleel, Dil dharrak utha mera lekin hua kuch bhi nahin.. Khaleel Ahmed