Khoob Kartay Ho Dil Lagi Sahaab Aur Os Per Ye Be Rukhi Sahaab Pyaar Aur Wo Bhee Ham Karain Tum Se ? Ham Ko Pyaari Hai Zindagi Sahaab Ab Wo Saanson Ka Silsila Bhee Nahi Le Lo Jo Hain Bachi Kuchi Sahaab Tum Jataatay Ho Pyaar…..Vyaar Magar Ham Ko Lagtay Ho Ajnabi Sahaab Is Mein Kuch Aap Ka Bhi Hissa Hai Ye Jo Palkon Pe Hai Nami Sahaab Ye Andheron Ka Ik Tamaasha Hai Aap Kehtay Ho Roshni Sahaab Ab Wo Qisson Mein Mil Sakain Shaayad Pehlay Hotay Thay Aadmi Sahaan Aaj Kal Ho Kis Ke Chakkar Mein ? Baat Loogon Se Ye Suni Sahaab Aap Hain Bawafa, Tou Yun Hee Sahi Aap Ki Baat Maan Li Sahaab Tum Ko Bhoolay Tou Ye Laga Ham Ko Dard Mein Kuch Howi Kami Sahaab Dushmani Ne Thakaa Dia Ham Ko Ham Se Karlo Ab Dosti Sahaab Baat, Kia Hai Jo Khaaye Jaati Hai Tum Ne Poochi Na Kuch Kahi Sahaa

Surat surat kya karti ho Surat main koi dum nahi Agar tum khud ko samajhti ho Madhuri Hum bhi Shahrukh say kum nahi Khuda Kare Ki Tujhe Aisi Beemari Lage Tu Budhape Mein Bhi Kuwari Lage Darjan Ho Jayein Bacche Tere Tu Phir Bhi Hum Ko Pyari Lage Tanhaye woh bimari hai Jiska doctors kay paas ilaaj nahi Hum is bimari say bach saktay hain Agar tumko shaadi say inkaar nahi Tere baap ko shadi main nahi boolayengay Budha phir say satthhiya gaya To hum to jeetay jee mar jayengay Chalo bhaag kay chaltay hain Mahoorat ka time nikal jayega Tere baap kay aanay say pehlay Apna ticket kat jayega Jhuka kay phool ki daali Tum phool tor lena Hum say dil laga kay phir Apnay baap saalay ko chor dena Yoon bun thhan ker na niklo Tum ramzan ko chat per Koi apna roza tor day ga Tum hain chaand samajh ke

Tumhain Kis Ne Keh Dala, Ke Tum Ko Bhool Jaunga, Tumhain Maloom B Hay Ye, Ke Tum Ye Janti Bhi Ho, Tumharey Bin Adhoora Hun, Khafa Ho Jatey Ho Jab Tum, …Aur Hum Se Door Jatey Ho, Ye Sanseyn Ruk Si Jati Hain, Tumhain Wapis Bulati Hain, Agar Main Raat Ho Jaun, Tum Us Raat Ka Chaand Ban Janaan, Aur Jab Chand Na Ho Ga, Too Koi Raat Kya Ho Gi, Agar Main Jism Ban Jaun, To Tum Rooh Ho Meri, Jism Aur Rooh Ka Nata Purana Hy, Tumhain Itna Batana Hay; Gar Rooh Jism Se Aazad Ho Jaye, Too Baqi Kuch Nahi Rehta, Jism Ka Ik Dhair Rehta Hay, Jo Thodi Dair Rehta Hay, To Kyun Ye Sochti Ho Tum, Ke Tum Ko Bhool Jaun Ga, Jo Mera Tum Se Naata Hay, Usey Qayem Hi Rahna Hay, Tumhain Itna Batana Hay, Tumhain Itna Hi Kehna Hay, Tumharey Bin Adhoora Hun, To Kyun Ye Sochti Ho Tum, Tumhain Main Bhool Jaun Ga,

Tumhain Kis Ne Keh Dala, Ke Tum Ko Bhool Jaunga, Tumhain Maloom B Hay Ye, Ke Tum Ye Janti Bhi Ho, Tumharey Bin Adhoora Hun, … Khafa Ho Jatey Ho Jab Tum, Aur Hum Se Door Jatey Ho, Ye Sanseyn Ruk Si Jati Hain, Tumhain Wapis Bulati Hain, Agar Main Raat Ho Jaun, Tum Us Raat Ka Chaand Ban Janaan, Aur Jab Chand Na Ho Ga, Too Koi Raat Kya Ho Gi, Agar Main Jism Ban Jaun, To Tum Rooh Ho Meri, Jism Aur Rooh Ka Nata Purana Hy, Tumhain Itna Batana Hay; Gar Rooh Jism Se Aazad Ho Jaye, Too Baqi Kuch Nahi Rehta, Jism Ka Ik Dhair Rehta Hay, Jo Thodi Dair Rehta Hay, To Kyun Ye Sochti Ho Tum, Ke Tum Ko Bhool Jaun Ga, Jo Mera Tum Se Naata Hay, Usey Qayem Hi Rahna Hay, Tumhain Itna Batana Hay, Tumhain Itna Hi Kehna Hay, Tumharey Bin Adhoora Hun, To Kyun Ye Sochti Ho Tum, Tumhain Main Bhool Jaun Ga,

Mujh ko ik humdum mila tha, ik safar ki raat mein, Main bohat be’khud hua tha, ik safar ki raat mein, Janey kis ki yaad thi ke aik manzar dekh kar, Toot kar main ro parra tha, ik safar ki raat mein, Kash aesa ho, yahin pe rok lain hum waqt ko, Yaad hai, tu ne kaha tha? ik safar ki raat mein, Woh jiss se umar bhar ki doooriyan mansoob hain, Mere seeney se laga tha, ik safar ki raat mein, Har tarah phailey huye they yaad-e-gham ke silsiley, Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat mein, Ghar se bahar paaon rakhtey hi larzz uthta hai dil, Haadsaa aesa hua tha, ik safar ki raat mein, Aaj bhi main gungunaata hoon usey tanhayi main, Geet jo hum ne sunaa tha, ik safar ki raat mein, Uss ki yaadon ke saharey kar raha hoon zindagi, Jo mujhe Waasiq milta tha, ik safar ki raat mein.. Syed Wasiq

Neele neele amber par Chaand jab aye pyaar barsaye Hum ko tarsaye asa koy sathi ho asa koy premi ho Piyaas dil ki bujha jaye Unche unche parbat Jab chumte hain amber ko Piyasa piyasa amber Jab chumta hay sagar ko Pyaar se kasne ko Bahoon main basne ko Dil mera lalchaye Koy to a jaye Asa koy sathi ho asa koy premi ho Piyaas dil ki bujha jaye Thande thande jhonke Jab baloon ko sehlayeen Tapti tapti kirneen Jab galoon ko chu jayeen Sanson ki garmi ko Hathon ki narmi ko Mera man tarsaye Koy to chu jaye Asa koy sathi ho asa koy premi ho Piyaas dil ki bujha jaye Cham cham karta sawan Bundon k baan chalaye Satrangi barsaton main Jab tan man bhiga jaye Pyaar main nahane ko Duub hi jane ko Dil mera tarpaye Khuwab jaga jaye Asa koy sathi ho asa koy premi ho Piyaas dil ki bujha jaye Neele neele amber pa

Bhanwar main her ghari rehna mohobat rog hay dil ka Tumhain thha bas yehi kehna mohobat rog hay dil ka Zamanay bhar main bikhray hain mazar-e-ishq k manzar Unhi kutbon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka Tumhara saath chaha tau milay aanso umer bhar k Yunhe aankhon ka num rehna mohobat rog hay dil ka Sobha ke arzoo karna bina sooruj ke kirnon k Phir soochon main gumm rehna mohobat rog hay dil ka Kabhi tootain tumhari aas-o-umeedon k bandhan jab Mujhay tum khud he likh daina mohobat rog hay dil ka Nehi rakhna qadam apna kabhi hasar-e-ulfut main Meray lafzon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka Tumhari jaan ka sadqa lahoo say main chukaaon tau Subhe say tum yehi kehna mohobat rog hay dil ka Shaukat rukk nehi sakta bahaao chaltay pani ka Hazaron ghum parain sehna mohobat rog hay dil ka by Shaukat Ali Khan

Tum ajeeb larki ho, Aansuon ko peeti ho, Zehar zindagi ke sub, Sath le ke jeeti ho Chandni ke haalay ko, Subha ke ujalay ko, Roshni ke badal mein, Jhilmilatay aanchal mein, Baandh ke yun rakhti ho, Tum ajeeb larki ho. Chhup ke aahain bharti ho, Roshni se darti ho, Apnay saray sapnon ko, Yun chhupa ke rakhti ho, Jaisay saray khwabon per, Ishq ke azabon per, Bus tumhara hi huq hai, Aisay baatain karti ho, Tum ajeeb larki ho. Khwab bunti rehti ho, Khwab ke jharokon se, Mujh ko takti rehti ho, Un-ginat sawalon se, Un-kahay jawabon se, Bus ulajhti rehti ho, Khwab daikhti bhi ho, Tootnay se bhi darti ho, Tum ajeeb larki ho. Tum wafa ki baton per, Muskurati rehti ho, Gehri gehri ankhon se, Duur-been nigahon se, Sub ko dekha karti ho, Aur sub se chhup ke phir, Aansu?on ko peeti ho, Janay kaisay jeeti ho, TUM AJEEB LARKI HO!!!

Mohabbat Zaat Ke Ander Koi Guum Zaat Hoti Hai……….. Mohabbat Ke Ta’qub Mein Hamesha Ghaat Hoti Hai……. Mohabbat Mein Khushi Se Mout Ko Ham Orh Laitay Hain Zara Socho Ke Is Mein Aisi Koi Baat Hoti Hai………………….. Mohabbat Shehaid Mei Lipta Howa Ik Zeher Hai Laikin Mohabbt Jeet Hoti Hai, Mohabbat Maat Hoti Hai…………. Mohabbat Khud Zamana Ho Ke Bhee Hai MosmoN Jaisi Kubhi Ye Subaah Hoti Hai, Kubhi Ye Raat Hoti Hai…………. Mohabbat Aisi Khushbu Hai Kubhi Yukjaa Nahee Rehti Ksi Se Door Hoti Hai,Ksi Ke Paas Hoti Hai………………………. Mohabbat Jis Ko Haasil Ho Muqaddar Ka Sikander Wo Mohabbat Rab Ki Jaanib Se HaseeN Sogaat Hoti Hai……!

Zindagi ke raahon main runge-o-gham k mailay hain Chaar soo andhairay hain un ginnat jhamailay hain Kishtiyan hain kaaghaz ki barishon ka mousam hay Aandhiyon k jhhakad main paaniyon k railay hain Dard ka sumdar hay mohabaton ke baazi main Ghamo ke rawani main dard kitnay jhailay hain Tum bina adhori hay zindagi dau pal ke hay Ansoowon k darya main kis qader akailay hain Na tammam ruston main doshmanno k pehray hain Baywafa zamanay nay khail kaisay khailay hain Kis ko maan lain apna kis say doshmanni rakhain Iss baibasi main ghum baishumaar jhailay hain Baat ik lumhay ke hay waqat kab maeyeser hay Khawhishein hazaron hain haath meray phailay hain Aa k tum he rakh jaao dil pay haath shaukat k Dooor reh k batoon say dil kis k behlay hain (Kashtiyan:Boats)(Barish:Rain)(Jhailay:Been Through, Faced)(Rawani:Continuous) by Shaukat Ali Khan

Wo bujhey gharon ka chiragh tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho usey le gai hai kahan hawa? yeh kabhi kisi ko khabar na ho Kai log jaan se jayein gey merey qatiloon ki talash main Merey qatl main mera haath tha? yeh kabhi kisi ko khabar na ho Wo tamaam duniya ke wastey jo muhabaton ki misaal tha Wohi apney ghar mein tha bewafa yeh kabhi kisi ko khabar na ho Kaheen masjidon main shahadatain kaheen mundiron main adaalutain Yahan kon kerta hai faisla yeh kabhi kisi ko khabar na ho Merey pass jitni hai roshni yehi hai chiragh ki zindagi Mein kahan jala mein kahan bujha yeh kabhi kisi ko khabar na ho Mujhe jaan kar koi ajnabi wo dikhla rahey hain gali gali Isi sheher mein kabhi mera ghar bhi tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho Wo samajh ke dhoop ka dewta mujhe aaj poojney aaye hain ? Main charagh hoon teri shaam ka yeh kabhi kisi ko khabar na ho..

Mere humsafar Teri Be-Rukhi Dil e mubtala Ki Shikst hy Isy Kis Trah Main Kahun Fatah Ye Meri Ana Ki Shikst hy Tu Chala Gya mujhy Chor Kar Main Ny Phir Bhi tUjh Ko Sadaien Dien Mere hUmSafar tu Ruka Nahi Yeh Meri Sada Ki Shikst hy Tujhy La Ky Dil Mein Bitha Diya tujhy Raz Har Ek Bata Diya Tu Ny Phir Bhi kOi Wafa Na Ki Yeh Meri Wafa Ki Shikst hy Main Charagh e Kuhna Mizaj Tha tUjhy BijliyOn Ki Talab Rahi MUjhy AndhiyOn Ny bujha Diya Yeh Meri Ziya Ki Shikst hy Mujhy Is Tra Na Satao Gy mUjhy Zoam Tha K Na Aao Gy Mera Ghalat Wehm O Guman Hy ye Meri Inteha Ki Shikst hy Mjhy kOi tujh Sey Gila Nahi tu Mila Tha Kab K BiChar Gya Mery jUrm Ki hy Yahi Saza Yeh Meri Saza Ki Shikst hy Meri KhamOshi Ky Byan Ko tu Smajh Ky Bhi Na Smajh Saka Mere Aansoun Ka Pyaam Hi Dil e Be-Nawa Ki Shikst hy Gham e Dastan e Hyaat Key Sab Hi Tazkarey huye RayeGan Mere CharaGar Tera Ye Hunar Meri Har dUa Kii Shikst hy

Kabhi Jami Kabhi Aasman Samjh Main Nahi Aata Is Dil Ka Thikana Bhi Samjh Main Nahi Aata Meri Aankhein Uski Yaadon Ke Charag To Nahi Kyun Aaye Bus Wo Hi Nazer Samajh Main Nahi Aata. Chahe Anchahe Mai Use Yaad Kiya Karta Hun Ye Lat Hai Ya Aadat Samajh Main Nahi Aata. Kamabakhat Aashiqi Ne Jeena Haram Ker Diya Use Bhuloo Ya Apni Jaan Dun Samajh Mein Nahi Aata. Is Taraf Mera Gher Hai Us Taraf Uska Gher Idher Jaun Ya Udher Samajh Main Nahi Aata. Pagal Sa Banke Reh Gaya Kuchh Soch Sochker Pehle Hasun Ya Roun Samajh Mein Nahi Aata. Lifafa Fat Chuka Majmoon Bhi Kafi Purana Ho Gaya Use Dun Ya Khat Jala Dun Samajh Mein Nahi Aata. Uski Wafa Pe Ab Mujhe Shaq Hone Laga Hai Use Yaar Kahun Ya Gaddar Samajh Mein Nahi Aata. Raqeebon Ke Sath Baithe Hain Ajeej-O-Mohatrim Kaise Karun Salam Samajh Mein Anhi Aata. Samjhale Dil Ko Mastghan Kuchh Aur Na Samajh Phir Khud Samajh Jayega Jo Samajh Main Nahi Aata.

Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya Jis nay mord k daikha na meri soo bus ik simt ko chal parda Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya Wo meray dil kee kitaab thha meri jostojoo ka jawaaz thha Wo mera maazi-o-haal thha jo chala gaya wo chala gaya Main taptee dhoop kee khhaak thha wo meray sar pay ik dhal thha Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main Thha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya Shaukat ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay Ye luzzat benazir hay jo chala gaya wo chala gaya Shaukat Ali Khan

Fasley Aisey Bhi HoOnge Ye Kabhi SoOcha Na Tha……….. Saamne Baitha Tha Mere Aur WoO Mera Na Tha…………. WoO KhushboO Ki Tarah Phaila Tha Mere Char SoO…….. Main Usey MehsoOs Kar Sakta Tha ChhoO Sakta Na Tha…….. Raat Bhar Us Ki Hi Ahat Kaan Main Aati Rahi…….! Jhaank Kar Dekha Gali Mein ToO Koi Bhi Aya Na Tha…….. Aks ToO MaujoOd They Par Aks Tanahai Ke The………… Aaeina ToO Tha Magar Us Mein Tera Chehara Na Tha……….. Aj Us Ne Dard Bhi Apaney Alehda Kar Liye………! Aj Main RoOya ToO Mere Sath WoO RoOya Na Tha………. Ye Sabhi Viraniyan Us Ke Juda HoOney Se Theen…………. Aankh Dhundhalai Thi Shahar Dhundhalaya Na Tha………… Yad Kar Ke Aur Bhi Takalif HoOti Thi …………….. BhoOl Janey Ke Siwa KoI Chara Na Tha………….