Mohabbat ki hadhon se door jana chahta hia dil Kisi andher nagri mein thikana chahta hai dil Dharkne se kabhi baghi, kabhi be-dharak dharka hai Dharakne se mukarnay ka bahana chahta hai dil Tera milna bhi junoon ka sunehri daur tha lekin Zara is se bhi pehle ka zamana chahta hai dil Yeh kesa ishq hai chand aansuyon, aahon ke badle Meri har saans pe hi haq jatana chahta hai dil Bhale Rustam mujhe ko zamana be-wafa kahe Per ab ronay per tere, muskurana chahta hai dil (Nagri:Town)(Mukarnay:Skip)(Daur:Time)(Aahon:Sigh)

khwahish hay k iss toor se jeewan ko guzaroon har aks tere husn ka ankhun main utaroon woh tishna labi hay k samjh kuch nahi ata dariya ko sada doon k samander ko pukaroon jeewan bhi tu uljhi hoi doroon ki terha hay iss soch main gum hon k isey kaise guzaroon? ab iss k siwa mera koi khwaab nahi hay her saans ko khushnoodi e janaa pe main waroon bahter hay k ab moot ko seene se laga loon iss mann ko tere hijer main ab kitna main maroon pehle tu faqat hasrat e deedar thi Wasiq ab yeh bhi talab hay k USEY jeet k haroon

jgno koi sitaaron ki mahfl main kho gya itna na kar mlaal jo hona tha ho gaya parward-e-gaar to janta hai dilooon ka haal main ji na paoon ga jo usa kuch bhi hi gaya ab usko dekh kar naheen dharkay ga mera dil kahna ka mujh ko ya bhi sabaq yaad ho gaya ab isko dekh kar naheen dharkay ga mera dil kahna k mujhe ko ya bhi sabaq yaad ho gaya baadl utha tha sab ko rlaanay kay waastay aanchal bhi kho gya kaheen daamn bhi khoo gaya aik larki aik larkay kay kaandhay par so gayee main ujli dhundi yaadon k kahray main kho gaya

???? ?? ??? ?? ?? ???? ??? ??????? ?? ???? ????? ??? ????? ????? ??? ??? ?? ??? ???? ?? ?????? ??? ????? ??????? ??? ???? ???? ?? ???? ??? …????? ???? ????? ??? ???? ????? ???? ???? ?? ?? ???? ????? ?? ??? ???? ???? ?? ???? ???????? ?? ??? ?????? ??? ????? ?? ???? ???? ????? ??????? ?? ?? ????? ??? ??? ?? ??? ??? ???? ????? ??? ??? ?????? ?? ??? ?????? ?? ?? ??? ??? ?? ???? ???? ?? ???? ???????? ?? ?? ?????? ?? ?????? ?? ??? ?? ??? ??? ??? ?? ???? ?????? ?? ???? ????? ???? ???? ?? ?? ???? ????? ?? ??? ???? ???? ??

Phir se aya hai meray angan main duhayi ka mousam, Meray chehray pay simatt aya hai tanhai ka mousam, Meri yadoon say kinara kar kay bhi woh khush na hua, Raas aya na usay meri tarha judai ka mousam, Ab bhi main hijar ke darwazay pe khara hoon shama liye, Raah intezar ki dikhata hai uss herjai ka mousam, Raat kay pichlay pehar chand bhi bekarari main raha, Uss ne bhi jheyla hai meri tarha tanhai ka mousam, Phir unhi khawaboon kay jaziray main paband raha hoon, Janay kyon aas delata hai yeh rehayi ka mousam.. Shabeeb Hashmi

Itni si baat ne ruswaa kiya mujhe, Acha tha jo bhi shakhs woh acha laga mujhe, Barhtey huye pyar ko us din pe waar doon, Karte they baat baat par jab woh khafaa mujhe, Ruswaayion ke khauf se woh kyon juda hua, Uryaan tha us ka jism to woh pehnta mujhe, Ghairon se poochta raha mere khuloos ko, Barhtaa suni sunaayi se to dekhta mujhe, Naadim hoon aik shakhss ko manoos dekh kar, Na janey kis kheyal se chaha geya mujhe, Ussi shauq se main aap gir paraa, Jab yeh suna ke “thaamna saaqi zara mujhe”.. Rafiq Ahmad Saaqi

Tamam sheher ko heraan karne wala hoon, Main apne hone ka aelaan karne wala hoon, Kahin gira ke teri yaad ka yeh kuh-e-giraan, Safar ko aur bhi asaan karne wala hoon, Yeh sisilsa meri ankhon pe hi nahin mokoof, Mein tera sheher bhi viraan karne wala hoon, Abhi woh morr nahin aya is kahani mein, Jab mein sab ko pareshaan karne wala hoon, Yeh kis ne raat mujhe neend se jaga ke kaha, Chiraag-e-khawab tujhe daan karne wala hoon, Tamaam umar kahan hai woh meri kismat mein, Bass aik raat ka mehmaan karne wala hoon.. Ahmed Farhad

Jis shakhs ko agosh me lia hai, Us shakhs ney har mor pey dhoka hi dia hai, Main waqt ki chokhat pey khara dekh raha hun, Insan kay kirdar sey insan khafa hai, Daolat ki hawas ney humien khonkhawr banaya, Bhai hai jo bhai ka gala kat raha hai, Zalim to bari hotey hain daolat ki bina par, Ho qaid ya phansi ye ghareebon ki saza hai, Jis ney mujhey nashad kia shad rahey wo, Har waqt merey lab pey ye hi ek dua hai, Is dor me har simt hain nafrat kay andherey, Roshan hai to sajid kay takhayul ka dia hai. Muhammad Ameen Sajid Saedi

Kabhi apni hasi par aataa hai gussaa, Kabhi saare jag ko hasaane ko jee chaahtaa hai.. Kabhi rota nahi main badi badi baaton par, Kabhi yun hi aansoo bahaane ko jee chaahtaa hai.. Kabhi accha lagtaa hai aakash mein udnaa, Kabhi kisi bandhan mein bandh jaane ko jee chaahtaa hai.. Kabhi apne bhi lagte hain begaane se, Kabhi begaano ko bhi apnaane ko jee chaahtaa hai.. Kabhi mann chaahe saaree duniyaa ki daulat, Kabhi apni bhi gawaane ko jee chaahtaa hai.. Kabhi mann chaahe nayaa jeevan, Kabhi ise bhi mitaane ko jee chaahtaa hai..

Kabhi Zindagi Kahin Rangoon Mein, Dhal Jaaye…….! Kabhi Maasoom Aankhoon Mein, Kaai Mousam Simat Jaain…….! Yunhi Chupke Se Dil Mera, Tumhaare Dil Mein Utar Jaaye…….! Kabhi Halki Si Aahat Par Thami, Dharkan Machal Jaaye…….! Kabhi Yaadoon Ke Shehroon Mein, Kaai Baadal Baras Jaain…….! Kahin Koi Justuju Ho To, Tumhaara Aks Mil Jaaye…….! Koi Gham Na Rahe Baaki Is Dil Mein, Mere Jaana…….! Rahe Jahaan Bhi Dil Mera Par Dil-E-Dharkan, Tumhaare Paas Reh Jaaye

Be`Rabt Si Tehreer “ibarat Nahi hoti” Hathon ki Lakiron main to “Qismat Nahi hoti” Sajday main dikhawa ho to …”sajda nahi hota” Gardan k Jhukanay se “Ebadat Nahi hoti” Woh shaks mohabbat se “Hamesha Raha Mehroom” Oron k liye jis main “Mohabbat nahi hoti” Chehray ka singhar kabhi “kaam na aaya” Sirat k bina koi bhi “Surat Nahi Hoti” Shahkaar ki takmeel main shamil na ho gr fiker Tasveer to ban jati hai “Moorat nahi hoti”

achpan k dukh kitne ache hote thay tab to srif khilone tota karte thay woh khushyn bhi jane kesi khushyn then titli k par noch k uchla karte thay …bachpan k dukh itne ache hote thay paon mar k khud barish k pani m upni naao aap diboya karte thay chote thay to makro fareeb bhi chote thay dana dal k chiryan pakra karte ab to anso bhi ruswa kar jate hn bachpan m to ji bhar k roya karte thay khushbo k urte hi q murjhaya phool ktne bhole pan pocha karte thay bachpan k dukh kitne achay hote thay tab to srif khilone tota karte thay

Kisi key sath chalney aur dukh sukh ki sharakat ko Muhabbat mat samjh lena Muhabbat ka libada pani’yon key rang jesa hai Muhabbat saat pardo’n mein niha’n ho ker ayaa;n hai Ye haqeqat hai Aur is ki khushbo’n ko hum dhanak mein dhond saktey hein Magar ye bhi haqeqat hai Key is ko jis ney paya hai Wo apna aap kho betha Ye mil ker bhi nahi milti Kisi key sath chalney aur dukh sukh ki sharakat ko Muhabbat mat samjh lena Key jis ko cho liya jaye Khuda wo ho nahi sakta Muhabbat aisa mantar hai Fana jo ho nahi sakta

Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto Ab ho chalaa yaqin ke bure ham hain dosto Kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karen AaNkhen to dushmanon ki bhi purnam hain dosto Apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise Aapani talaash men to ham hi ham hain dosto Kuchh aaj shaam hi se hai dil bhi bujhaa bujhaa Kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto Is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo Ab dil ki raunaqen bhi koi dam hain dosto Sab kuchh sahi `Faraz` par itanaa zaruur hai Duniyaa mien aise log bahut kam hain dosto

Farz karo hum ahle wafa hon, farz karo deewanay hoon Farz karo yeh dono batein jhootee hoon afsanay hoon Farz karo tumhain khush kernay kay dhoondhay humnay bahany hoon Farz karo yeh nain tumharay such much kay maykhanay hoon Farz karo yeh jee ki bipta, jee say jorh sunai ho Farz karo abhi or ho itni, aadhi hum nay chupai ho Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti preet hamari ho Farz karo is preet kay rog main sans bhi hum per bhari ho Farz karo yeh jog bajog ka hum nay dhong rachaya ho Farz karo bus yahi haqeeqat baqi sub kuch maya ho