Be-kinar jazb’on ko Kab kinar milta hai? Be-qarar soch’on ko ,kab qarar milta hai Be-daiyar log’on ko, kab daiyar milta hai Aaj kis key liye tum ney ye sawal pochey hein? Aik pal ko socho to’ Be-khabar parind’on ko Kab hawa’ein deti hein Khushbo’on key sandesey Ajnabi jazeer’on ka kab pata batati hein In ko in key honey ka Kab yakeen dilati hein Tum ney jo bhi pocha hai Hum jawab denay ka hosla agar rakhtey Muztarib hi kiun hotey..??

“Kitna ikhtiyar tha usko apni chahat pe “Mohsin” Is liye jab chaha yad kiya jab chaha bhula diya” “janta tha wo mujko behlane k har andaz “faraz” Is liye jab chaha hansa diya jab chaha rula diya” “Rakhta to tha wo mera bohut hi kheyal “Wasi” Is liye jab chaha khafa kiya jab chaha mana liya” “Lagta to tha usko ha mujse bohut hi piyar ^SaGaR^ Is liy jab chaha apna bana liya jab chaha daman chura liya..!!!!

jo dil ne kahii lab pe kahaa.N aa_ii hai dekho ab mahafil-e-yaaraa.N me.n bhii tanhaa_ii hai dekho phuulo.n se havaa bhii kabhii ghabaraa_ii hai dekho Guncho.n se bhii shabanam kabhii kataraa_ii hai dekho ab zauq-e-talab vajah-e-junuu.N Thair gayaa hai aur arz-e-vafaa baa_is-e-rusvaa_ii hai dekho [vajah-e-junuu.N = reason for madness] [baa_is-e-rusvaa_ii = reason for disgrace/disrepute] Gam apane hii ashko.n kaa Khariidaar huaa hai dil apanii hii haalaat kaa tamaashaa_ii hai dekho

Khwaabon Ka Ik Jahaan Mujhe De Gaya Koi Mitti Ka Ik Makaan Mujhe De Gaya Koi Wo Dil Mein Reh Gaya Hai Ke Dil Se Utar Gaya Kitna Ajab Gumaan Mujhe De Gaya Koi Sehra Pe Apnay Ghar Ka Pata Likh Gaya Tha Wo Mit’ta Howa Nishaan Mujhe De Gaya Koi Maah-o-Najoom Noch Ke, Soraj Bujha Diya Phir Saara Aasmaan Mujhe De Gaya Koi Kishti Mein Chhaid Osne Kia Aur Oske Baad Kaaghaz Ka Baadbaan Mujhe De Gaya Koi Osne Gulaab Haath Mein Le Kar Kahaa Batool Khushbuu Ka Tarjumaan Mujhe De Gaya Koi

Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana, Mere jugnu mere mausam wapis kar do, Meri hasrat, meri mehroomiyan lauta do mujhe, Mere aansu, mere maatam mujhe wapis kar do, Jane waley se bas itna hi kaha tha mene, Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do, Kyon yeh takraar si hone lagi “Main” ki jana’n, Woh to hum tum mein tha, ik “Hum” mujhe wapis kar do, Jitni khushiyan hain woh rakh lo meri janib se Wasi, Meri aankhon mein chupey namm mujhe wapis kar do..

Abhi kuch din mujhe meri Mohabbat azmane do , mujhe khamosh rehne do , Suna he Ishq sacha ho to khamoshi lahu ban ker ragon me naach uth’ti he , Zra us ki ragon me Khamoshi ko jhoom jane do , Abhi kuch din mujhe meri mohabbat aazmane do , Use main kyun btaon main ne usko kitna chaha hy ? Btaaya Jhooth jata he k sachi baat ki Khushbu to khud mehsoos hoti he , meri baatain , meri sochian , us’se khud jaan jane do , Abhi kuch din mujhe meri Mohabbat azmane do ……..

Jab Yaad ka AAngan Kholoon To Kuch Dost buhat Yaad AAtay hain Main Guzre dino ko Sochon To Kuch Dost buhat yaad AAtay hain … Ab Jaane kis nagri mein..? Soye pari hai muddat say Main Raat gay tak Jagoon To Kuch Dost buhat yaad AAtay hai Kuch battain Thee phoolon Jesi Kuch khushboo jese Lehjay thay Main Shehr-E-Chaman mein Tehloon To Kuch Dost buhat yaad AAtay hain Wo pal bhar ki Narazgian Or Maan b jana pal bhar mein Main khud say jAb b roothoon To Kuch Dost buhat yaad AAtay hain

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay Andaaz badal lena,awaaz badal lena Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena Awaaz agar do to katra k nikal jana Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Hoti nahi wafa, to jafa hi kiya karo Tum bhi to koi rasm-e-mohaabat ada karo Hum tum pay mar mittay to ye kiska qasoor hay? Aaeina lay kay hath main khud faisala karo Ab un pay koi baat ka hota nahi asar Minnat karo, sawaal karo, iltija karo Sharminda hoon kay maut bhi aati nahi mujhay Tum mairay liye ab to koi bad?dua karo Baitho na mehfilon main zamana kharab hay Daikho hamaari baat kabhi sun liya karo Shahid kabhi to daikhay ga wo tumko jhaank kar Un ki gali main roz tamaasha kiya karo

Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna, Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna, Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum, Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna, Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge, Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna, Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge, Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna, Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai, Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna…..!!!!

Suno JANA…!! Judai mout hoti hay… Kabhi fursat mily to dakhna paton ka girna tum. Kah jab yeh shajir sy gir kar zameen pay aan partay hain. Tu kasay ronday jatay hain.?? Thathirte raat kay khamoosh lamhoon main. Kisi bay bas ,akeli,ba wafa khamoosh larki ki…. Kabhi tum siskiyaan sunna…. Kabhi rukhsit kay lamhoon main kisi ki ankh say Laraktay howay Ansoon ko dakhoo gay To shaid jaan paaoo gay.. Judai mout hoti hay.. Judai….. Mout hoti hay………..!

Charagh hun kab say jal raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye Jo bujh gaya to sahar numa hun, mujhy duaon mein yad rakhiye Jo bat ap keh na paye, meri ghazal mein bayan hoi hai Main ap ka harf_e_mud’a hun, mujhy duaon mein yad rakhiye Bohat he shaistagi say her lamha doobti ek sada ki surat Main khilwat_e_jan mein bujh raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye Bala say ye rah_e_shauq meri na ho saki per tumhari khatir Misal_e_naqsh_e_qadam bicha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye… .

Agar Tu Aaj Hi Kar De Mohabbat Humsafar Meri… Kathin Hai Zindagi Kitni Safar Dushwar Kitna Hai Kabhi Pao’n Nahi’n Chalte Kabhi Rasta Nahi’n Milta …Faqat Aise Guzaroo’n To Ye Rozo Shab Nahi’n Kat-Te Ye Kat-Te The Kabhi Pehle Magar Haa’n Ab Nahi’n Kat-Te Mujhe Phir Bhi Mere Maalik Koi Shikwa Nahi’n Tujhse Main Jaa’n Pe Khel Sakta Hoo’n, Mai’n Har Dukh Jhel Sakta Hoon Agar Tu Aaj Hi Kar De Mohabbat Humsafar Meri…

Bohat khamoush reh kar wo sadaaen mujh ko deta tha bade bhar-pour jazboun ki qabaaen mujh ko deta tha kabhi jo dard ki aatish mujhay sulganay lagti thi wo apne saans ki mehki hawaaen mujh ko deta tha wo uski chahatain bhe sari duniya se anokhi then riyazat khud wo karta tha jazaaen mujh ko deta tha meray ehsaas k seharaoun main jo dhoop barhti thi wo mousam ka khuda ban kar ghataaen mujh ko deta tha usay main ajnabi samjha magar har mour par Ramish wo apne naam ki sari duaaen mujh ko deta tha

Andherey ghamon ke seher dhoondtey hain, Abhi tak khushi ka nagar dhoondtey hain, Khabar hai khushi ik siraab nazar hai, Nahin ab miley gi, magar dhoondtey hain, Jahan barishon ne ujaarri hai basti, Ussi sheher mein apna ghar dhoondtey hain, Mittaa de jo barhti huyi talkhiyon ko, Jahan bhi miley woh nazar dhoontey hain, Laraztey huye meri palkon pe aansuu, Duyaaon mein apni assar dhoondtey hain, Mohabbat hai parwaaz se un ko Bushra, Aseeri mein jo baal-o-par dhoontey hain. Bushra Rasheed Alvi