apnay phaar ghairoon k gulzaar ho gaya ya bhi hamari raah kay dewaar ho gayay phal pak chuka hai shaah par garmi ki dhoop main hum apnay dil ki aag main tayar ho gayay hum pahalay narm ptoon ki aaik shaah thay mgr kaatay gaya hain itnay k talwaar ho gayay bazaar main bki hui cheezon ki maang hai hum is lia hd apnay hareedar ho gayay taaza lahoo bhara tha sunahray gulaab main inkaar karnay waalay gunaahgaar ho gayay wo sarkashoon kay paoon ki zanjeer thay kabhi ab buzdiloon kay haathon main talwaar ho gayay

Ab ke ehsaan jataney bhi nahin aya koi Mein jo rootha tou mananey bhi na aya koi Aik woh door ke soney bhi na dete they mujhe Aik yeh wakt ke jaganey bhi na aya koi Dag-magata tha tou sou hath lapakte they mujhe Gir gaya hoon tou uthaney bhi nahin aya koi Janey ahbab pe kya guzri, khuda kher kare Arsay se neya zakham laganey nahin aya koi Aese utra hoon dilon se ke hansaana tou kuja Aik muddat se rulaney bhi nahin aya koi Yun tou so baar, toota, jura, magar ab ke amin Aese toota ke bananey bhi nahin aya koi

Wo zinda zaror hai Magar meray liye nahi Agar wo pehly wala zinda hota To yon na krta Mujhy Zamaney mein ruswa Mein ney kia kuch na kiya tha Is ki khatir Isay paney key liye Mein ney sub kuch To ganwa dia tha Ab meray pas Is key siwa Reh bhi kia gaya tha Jab isay Ye mehsos hoa Key Meray siwa us ka Zamaney mein koi nahi To In muhabbat’on key badley Mein Is ney mujhy kia dia Wohi ruswai Wo mujhy chor Kr Chla gya Aur mery samney Kisi aur ka ho gya Aur Meray mathey Per likh Kr chala gya Wohi Dagh-e-ruswai

Jab Sahil Se Takrati Lehron Mein, Apni Tanhayi Mein Kho Jaoge, Jab Raat Ke Tanha Daman Mein, Tum Chaand Ko Adha Paoge, Jab Khud Se Baatein Karte Karte, Tum Door Kahin Kho Jaoge, Jab Dilki Baat Chupane Ko, Humse Nazar Tum Churaoge, Main Tumse Mohabbat Karta Hoon, Har Baar Yeh Sunna Chahoge, In Sab Lamhon Mein Jaan Lena Ke, Tum Tum Nahi “HUM” Ban Jaoge, Tab Shayad Lamhe Na Simat Payein, Tab Shayad Na Mausam Ruk Paayein, Tum Yehi Sochte Reh Jaoge, Tum Tum Nahi “HUM” Ban Jaoge…!!!!

Jab Sahil Se Takrati Lehron Mein, Apni Tanhayi Mein Kho Jaoge, Jab Raat Ke Tanha Daman Mein, Tum Chaand Ko Adha Paoge, Jab Khud Se Baatein Karte Karte, Tum Door Kahin Kho Jaoge, Jab Dilki Baat Chupane Ko, Humse Nazar Tum Churaoge, Main Tumse Mohabbat Karta Hoon, Har Baar Yeh Sunna Chahoge, In Sab Lamhon Mein Jaan Lena Ke, Tum Tum Nahi “HUM” Ban Jaoge, Tab Shayad Lamhe Na Simat Payein, Tab Shayad Na Mausam Ruk Paayein, Tum Yehi Sochte Reh Jaoge, Tum Tum Nahi “HUM” Ban Jaoge…!!!!

Kisi se dil ko lagake dekho, Mujhi se nazaren milake dekho, Tumhe ye duniya haseen lagegi, Humare nazdeek to aake dekho, Simatke duniya tumhari bhahon, Ke dayeron mai cheep jayegi, Kabhi to apne labon se mere, Labon se thoda milake dekho, Chupa rahe hain tumhare gesoon, Tumhare shano ki chandni ko, Deewana sa ho raha hai ye dil, Na ase tum sharmake dekho, Tere isharon pe sari duniya, Tere haseen peron mai jhuka doon, Mdgar hai ye sharat mere jahan mai, Kadam to apna badhake dekho. Shayar – Shamsul Huda

Aik khawab musalsal ata hai, Tera chehra roop sajata hai, Pholon pay bhanwray ki manand, Meray dil ko woh behelata hai, Ankhoon kay surmai rangon say, Meray maan ko rah dekhata hai, Apnay lams ki bheeni khushbo say, Meray ahsas ko woh mehkata hai, Dharkano kay sur aur sargam say, Woh mujh ko geet sunata hai, Chand say lay kar hussan ki sogat, Mujhy need say woh jagata hai, Apni sansoon ki dheemi anch pay, Meray taan ko woh sulgata hai, Aik khawab musalsal ata hai, Tera chehra roop sajata hai.. Shabeeb Hashmi

Bijliiyaan aksar vo giraate rahe Aashiyaane hum bhi banaate rahe Kitni mujhko aap se umeede thi Kitnaa aap mujh ko rulaate rahe Dekhta raha main ek phool ko Khayaal mujhko aapke aate rahe Aapke dil ko Khuda humne kaha Aap mere dil ko dukhaate rahe Kaati is tarah se humne zindagi Diye jalaa-jalaa ke bhujhaate rahe Hum bhi sun ke an-suni karte rahe Samjhaane waale humko samjhaate rahe Dil gawaya barson pehle ishq mein Jaan se bhi aaj hum jaate rahe Duniya deewana kahegi Yuh hi agar share hum sunaate rahe…

Har taraf phaili thi us ki yaad jungle ki tarah, Main guzar kar ageya hoon urrtey huye baadal ki tarah, Aik lamhey ko judaa honey de mumkin hi nahin, Dheyaan rakhti hai mera woh apne aanchal ki tarah, Muskuraa kar dekhti hai jab woh khirki se kabhi, Aik khawhish dil main khil jati hai kompal ki tarah, Choti choti baton per roney ki aadat hai usey, Aur ankhon mein mujhe rakhti hai kaajal ki tarah, Jab bhi paani phenkti hai woh shararat mein Hassan, Jism lagta hai mujhe bheegey huye thall ki tarah.. Hassan Abbasi

Saaray Dard Nazar Aayein Ge Ghar Se Baahir Jis Din Mein Nikloon Ga Pas-e-Manzar Se Baahir Laakh Samaitay Rakhun Per Jaanay Anjaanay Ho Jaatay Hain Paaon Mere Chaadar Se Baahir Kub Se Hain Ankhiaan Tere Darshan Ki Pyaasi Darsh Dikha De Aa Bhi Ja Pathar Se Baahir Phele Jis Ki Aankh Nishaanay Per Thi Mere Ab Wo Chirya Bhi Hai Had-e-Nazar Se Baahir Aaj Bhi Mein Khul Kar Sach Bol Nahi Sakta Hun Ab Bhi Nahi Hun Os Ke Hisaar-e-Shar Se Baahir Jisko Mein Ne Sadi Ka Roop Dia Tha Azar Ab Wo Lamha Bhi Hai Mere Asar Se Baahi

sardion ki udas ratoon main Sawan Ki Bheegi Shamoon Main Hum Khoye Khoye Say Rehty Hain Tumhari Haseen Yadon Main Jub Say Tum Bichry Ho Hum Tum Ko Yad Kertay Hain Ker K Yad Tumhari Soorat Ahain Ab Hum Bhartay Hain Tumhari Di Hoi Her Ik Shay Sanbhal K Ab Hum Rakhtay Hain Ja Ja K Un Glion Main Hum Tumahin Talash Kertay Hain Tumhary Peechay Duniya Chori Majnoon Bun Hum Gaye Hain Ab Ujray Daman Main Hum Apny Kuch Khushian Samaitna Chahtay Hain Zinadgi Main Ab Kabhi Hum Na Milain Emad Yehi Dua Hum Mangtay Hain…?

Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mei Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mei Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN mei Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mei Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mei Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mei Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mei

Ye tum ney kia kiya? Pathar key bot mein dharkan’on ko khojna chaha Ye tum ney dil ki dharkan mein Paraya geet likh dala Khod apney hi hath sey apney hi mathay ko Sehai sey kiya kala Muhabbat is jaha’n ki shey nahi Mein ney kaha bhi tha Ab is shey ki tijarat ho rahi hai jis taraf dekho Meri baat’on per ab tum ho wishwas to aa gaya to ho ga Chalo ashq’on sey sarey sarey khawab dho dalo Suno!ab jo tumhara hath mangey aaj sey tum is key ho jao Muhabbat bhol jao tum…Muhabbat bhol jao tum

Wo kehta hai mohabbat me sada milna nahi hota, Main kehti hun mere hotey hoye bicharney ka nahi socho, Wo kehta hai jo tum mango to apni jan dey dun ga, Main kehti hun mujhey fil hal apna naam dey do, Wo kehta hai kay sar pey esey hi anchal dhaka rakho, Main kehti hun kay tum apni nazron ko jhuka rakho, Wo kehta hai harey or peley rang ki choriyan pehno, Main kehti hun kay pehno gi agar qismat me likha to, Wo kehta hai kay mere naam ki mehndi lagao tum, Main kehti hun lagaon gi agar tum ley kay aye to. Rabia Basri

Apna To Ye Sochker Waqt Guzer Zata Hai Kyu Dur Jane Ke Liye Koi Karib Aata Hai. Wo Jane Kaise Apne Dilse Mujhe Bhula Baitha Mai Ger Bhulna Chahu To Bhula Bhi Yaad Aata Hai. Tab Nikherti Hai Kahin Jindagi Ki Asli Surat Ashq Jab Aapke Daman Pe Bikher Jata Hai. Tadap Tadap Ke Tujhe Taumra Yaad Karta Rahun Kuchh Aur De Na Jakhm To Bher Jata Hai. Yun To Mai Khud Bhi Tujhper Tabajjoh Nahi Deta Mera Jehen Hai Ke Her Bar Udher Jata Hai. Beshaq Bahar Sooni Sooni Si Lagti Hai Bul Bul Ke Chale Jane Se Kya Bagh Ujad Jata Hai.