Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber Phoot phoot k ronay lagay hain …main mohabbat aur tum Hum ne joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb Raastay khonay lagay hain ..main mohabbat aur tum Chaand ki kirnon ne hum ko iss terha bosa diya Devta hone lagay hain..main mohabbat aur tum Aaj phir mehroomiyon ki daastanain oarh ker Khwab main sonay lagay hain … main mohabbat aur tum Kho gay awaz bhi , andaaz bhi , alfaaz bhi Khamoshi dhoondne lagay hain .. main mohabbat aur tum

Tujhey bhula k jiyoo’n aisi bad-dua bhi na dey Khuda mujhe ye tahammul, ye hosla bhi na dey …Mere Bayan e safai k darmiya’n matt bol …Suney bagair mujhey apna faisla bhi na dey … Ye umr mainey terey naam be talab likh dee Bhaley se daman e dil mai kahee’n jaga bhi na dey Wo din bhi aayenge aisa khabhi na socha tha Wo mujhko daikh bhi le aur muskura bhi na dey Ye ranjishain to mohabbat k phool hain jana’n Ta’alluqat ko iss baat par ganwa bhi na dey

Chammak rahi hai paron mein urran ki khushbu, Bhulaa rahi hai bohat asmaan ki khshbu, Bhattak rahi hai purani dilayiyaan orrhey, Haweliyon mein mere khaandan ki khushbu, Sunaa ke koi kahaani humain sulaati thi, Duaayon jesi barrey paandaan ki khushbu, Woh atardaan sa lehjaa mere bazurgon ka, Rachi bassi huyi urdu zubaan ki khushbu, Amaarton ki bulaandi pe koi mausam kya, Kahan se agayi kachey makaan ki khushbu, Gulo’n pe likhti hui La Ilaha Ill Allah, Paharriyon se utarti azaan ki khushbu..

Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum, Mohabbat naam hai mera, Zamanay ko bata do tum, Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko, Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do tum, Najanay kyu Khatakta hu, mai ab un ki nigaho mai, Mai thukrata hu ye dunya, Zamanay ko bata do tum, Jala daalu ga teri bewafaa basti ki galiyo ko, Mai hu ik aag ka darya, Zamanay ko bata do tum, “Hasnain” Abhi to waqt un ka hai, rula ley jee bhar ke, Hamara waqt bhi aaye ga, Zamanay ko bata do tum

Kabhi daman kabhi palkain bhighona KIS ko kehte hain? Kisi mazloom se p??cho k “RONA” kis ko kehte hain, Kabhi meri jaga khud ko rakho phir “JAAN” jao g?, K duny? bhar k dukh dil main “SAMONA” kis ko kehte hain, Meri ankhay mere chehry ko ik din “GHOAR” se dekho, Magar m?t Pochna “WEERAAN” hona kis ko kehte hain, Tumhara dil kabhi pighle agar “GHAM” ki hararat se, Tumhain malum ho jaye ga “KHONA” kis ko kehte hain,

Kuch Tu Hy? Tu Badal Gaya Hy ! Vo Teri Ankhon K Khwab Sary , Wo Baaten Sari , … Hisab Sary , Sawal Sary , Jawab Sary , Wo Khushiyan Sari , Azab Sary , Nasha Tha Jo Vo Uter Gaya Hy ! Kuch Tu Hy ? Tu Badal Gaya Hy ! Jo Tery Milny Ki Arzu Thi , Jo Tujh Ko Pany Ki Justhu Thi , Hoi Jo Chahat Abi Shuru Thi , Jo Teri Ankhon Men Roshni Thi , Jo Teri Baton Ki Rangini Thi , Jo Teri Sanso Ki Tazgi Thi , Jo Tery Lehjy Men Chashni Thi , Vo Sara Metha Pighal Gaya Hy , Kuch Tu Hy ? Tu Badal Gaya Hy !…

Kabhi Kabhi jane kyo dard ka ek sailaab sa aata hai Vo har purani yaad ko jhakjhor ke chala jata hai Sochte hai humne to ki thi vafa use apni jaan samjhkar Par jaane kyo vo lamha had se jyada tarfa jata hai Roz Roz aansuo ki jane kitni boonde giri ankho se Par har boond me bhi vo bewafa hi najar aata hai Kho diya jis pal se apni jaan ko humne Har khushi me bhi manjar us pal ka najar aata hai Khuda na kare koi bhi tarse is tarah pyaar ke liye Ye?pyaar to hai hi jaalim bas Paagal karke chala jata hai

“pagal ankhoon wali larkee itny menghy khawab na dekho thak jao gi kanch se nazuk khwab tumhry toot gai tu pachtaoo gi …tum kya jano …….!!!!!!!!!!!! khwab………. adhorree raat ka duzakh khwab ………… khyaloo ka pachtava khawaboo ka hisil tanhai menghay khawab khreedna hoon tu aankhain bechna parteee hain rishty bholna party hian andashoo ki rait na pankhoo khawaboo ki oot seraab na dekho pyas na dekho itny menghy khawab na dekho thak jao gi

Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai teray pyar main sab ko bhula rakha hai kuch acha nahin legta teri judai kay baad ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai tera milna to abb aik khawab hi lagta hai najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai sab kuch lut gaya hamara teray pyar main teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai muqadar say miltay hain bichar kay warna ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai najanay koi nahin basta teray siva ankh main aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai ?

Abhi Na Tajurbekar Ek Naujawan Hain Hum Akl Ki Baaton Mein Thode Bejuwan Hain Hum. Ab Ho Gaye Gulam Unke Aashiki Mein Hum Yun To Kal Tak Apne Dil Ke Badshah The Hum. Ye Dil Ke Her Zidd Pe Dum Tod Raha Hai Nadan Ki Khahishon Se Bade Pareshan Hain Hum. Kya Daur Aa Gaya Hai? Ke Aaram Nahi Hai Baithe Baithe Bhi Aaj Kal Rawan Rawan Hain Hum. Chahein To Aasman Ko Jami Per Utar Lein Bus Jara Kuwwat Se Apni Gumsuda Hain Hum. Kal Waqt Ko Lautani Hain Ye Sari Takatein Abhi To Apni Duniya Ke Shehenshah Hain Hum.

zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka rasta badal k chalne ki adat use bhi thi us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya warna har ek sans qayamat use bhi thi

Phir saheloon ki dhoop main kinaray bhatak gaye, Dukh ke saleeb pe woh gham kay maray bhatak gaye, Sehraoon main bagola ban kay raha uski talash main, Jo rasta dekhatay thay woh sitaray bhatak gaye, Raqeboon say kia gilla karain apnay bhi howay juda, Qasmeen jo kha rahay thay woh piyaray bhatak gaye, Hum ko umeed thi woh baharoon ko laien gay, Jin pay thay takiya kartay woh saharay bhatak gaye,, Duniya main sarpheroon ki nahi ab bhi koi kami, Jo masoon thay woh ashiq baycharay bhatak gaye.. Sunder Khan

Talab asi na koi cheez zaroorat jaisi, Koi tu baat thi hum tum main mohabbat jaisi.. Gar khuda mera meray dil ki dua sunn leta, Surtain sari banata teri surat jaisi.. Dekhna usi ko faqat toot ke dekha karna, Meri haalat bhi thi deewano jaisi.. Ankh main utray koi chehra tere chehray saa, Koi tasweer tu ho teri shabahat jaisi.. Teray hum’rah tera sayaa bhi kab dekh sakoon, Dil jalati hai koi baat raqabat jaisi.. Un dino waqt bhi thehra howa sa lagta tha, Aur fursat bhi thi hum ko koi fursat jaisi..

Har Subah Nikal Parti Hai Jo Khud Ki Talash Main.. Woh Khoi Hui Si Ek Pehchan Hoon Main.. Na Aankhon Mein Khuwab Hai Na Dil Mein Tamanna Koi.. Apni Banai Hui Rahon Se Hi Anjaan Hoon Main.. Kabhi Zara Si Baat Par Ansu Baha Deta Tha Jo.. Aaj Rah Mein Pari Lash Ki Tarah Bejaan Hoon Main.. Aankho Mein Khuwab Sajany Ki Bhi Saza Hui Hai Mujh Ko.. Khilny Se Pehly Hi Jo Toot Jaye Aisa Ek Arman Hoon Main.. Jany Kitny Hi Khuwab Dafana Chuka Hoon Is Dil Mein.. Ab To Lagta Hai Jaisy Khud Hi Ek Qabrastan Hoon Mein..

Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai teray pyar main sab ko bhula rakha hai kuch acha nahin legta teri judai kay baad ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai tera milna to abb aik khawab hi lagta hai najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai sab kuch lut gaya hamara teray pyar main teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai muqadar say miltay hain bichar kay warna ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai najanay koi nahin basta teray siva ankh main aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai ”