Sabaz pattey ki ye aag jab pi jain gy ujaly far ke koot pehny halky jardy aye gy Geely geely mundaron mai baal kholy devyan sochti hay en ke surakh devta kab aye gy Surakh,neely chand sitary dortain hay baraf mai kal hamri tarah ye bhi dhond mai kho jain gy Din mai daftar ka qalam,mil ke machiney sab hay hum raat aye gi tu palkon pay sitary ayen gy Shaam tak mela hy pagal,paird panchi kis ke meet apni pani bolyan sab bol kar urd jain gy Dil ke en baghichon farishton ko saradk par jany do bach gay tu shaam tak ghar loot kar a jain gy

Chirag-e-Shab Ko Jese Aandhiya’n Achi Nahi Lagti’n Kuch Aise Hi Humei’n Khush-Fehmiya’n Achi Nahi Lagti’n Jinhe’n Sonay k Pinjrey Mein Ghiza Mil Jaye Chaandi Ki Unhei’n Phir Umr Bhar Aazadiya’n Achi Nahi Lagti’n Wo Jin K Dil Mein Fasl-e-Gham Ne Derey Daal Rakhy Hon Unhe’n Phoolo’n Pe Bethi Hui Titliya’n Achi Nahi Lagti’n Mera Dil Chahta Hy Unhe’n Aaena Dikhao’n MOHSIN Wo Jin Ko Doosro’n Ki Khoobiya’n Achi Nahi Lagti’n … !!!

Ye Dil Bhulaata Nahe Hai Mohabbatain Uski Padi Howi Theen Mujhe Kitni Aadatain Uski Ye Mera Saara Safar Oski Khushbuu Mein Kata Mujhe Tou Raah Dikhaati Theen Chaahatain Uski Ghiri Howi Hun Mein Chehron Ki Bheer Mein Laikin Kaheen Nazar Nahee Aati Shabaahatain Uski Mein Dard Se Ronay Lagi Hun Tou Aisa Lagta Hai Ke Chhaon Jaisi Theen Mujh Par Rafaqatain Uski Ye Kis Gali Mein Ye Kis Sheher Mein Nikal Aaye Kahan Pe Reh Gayein Loogon Sadaaqatain Uski? Mein Baarishon Mein Juda Ho Gayi Hun Os Se Magar Ye Mera Dil, Meri Saansain Amaanatain Uski

Jab Kabhi Fairist Bane Bewafa Logon Ki; Awwal Number Pe Usmein Naam Mere Mehboob? Ka Likhna. Yun To Mere Samne Usne Jamane Ka Haal Poocha; Jane Kyun Ek Nazer Faqat Mujhper Nahi Padi. Gujere Jamane Ki Kitab Ka Ek Safa Ban Jayeinge. Ayega Bulawa Aur Hum Bhi Chale Jayenge. Aakhir Kyun Na Ho Mujhko Gujere Jamane Ka Malaal; Her Gum Ko Bhool Jata Hun Jab Aata Hai Un Lamhon Ka Khayal. Raste Ke Mushafiron Ka Bharosa Kaisa; Ayegi Unki Manzil Aur Humse Bichhad Jayenge. Muddaton Baad Hua Aaj Phir Pareshan Dil; Jane Kis Haal Mein Hoga Ab Mera Qatil.

Aaj kuch is tarah hume unki yaad aane lagi, dil ki gahrayi se ye baat humein satane lagi, main samajhta raha use bhul raha hu mai, aayena dekha to tasveer uski nazar aane lagi, pal har pal main tadapta rahta hun uske liye, …marna chaha bhi to saanse uski satane lagi, rom rom me basi hai uske jism ki khushbu, use dil bhar ke chumne ki khwahish aane lagi, main kya bataun kis tarah se ji raha hu mai, aisa lagta hai maut ki aahat mujhe satany lagi, main khafa hun usse wo bewafa hai mujhse, phir najane kyon ye aankhen mujhe rulane lagi..

Aankh ne raat jab ik chaand mukamal dekha, Phir samandar ko bhi hote huye pagal dekha, Raat bhar der talak ki teri batain khud se, Raat bhar samne chehra tera pal pal dekha, Aj yaadon ki ghataa toot ke barsi dil par, Aaj hum ne bhi barasta hua badal dekha, Hafizaa cheen liya hum se gham-e-dunya ne, Aaj hum bhool gaye us ko jisey kal dekha, Baandh ke dekh li paayel bhi sar-e-bazm tarb, phir bhi behlaa na kabhi dil ka ajab chhal dekha, Aik larki thi tabasum! ke bohat hansti thi, Us ki aankhon se bhi behta hua kaajal dekha.. Tabassum Siddiqui

Ye dil bhulata nahi tha mohabbtien uski, pari hoi thien mujhey kitni adatien uski, Ye mera sara safar us ki khushbo’on me kata, Mujhey to rah dikhati thien chahtien uski, Ghira howa hun main chehron ki bheer me lekin, Kahien nazar nahi atien shabahtien uski, Main dor honey laga hun to esey lagta hai, Kay chaon jesi thien sari rafaqtien uski, Ye kis gali me ye kis shehar me nikal aye, Kahan pey reh gaiyen logo sadaqtien uski, Main barishon me juda ho gaya hun us sey magar, Ye mera dil meri sansien amanatien uski. Munawar Jameel Qureshi

Pani pay qadam rakh dena kah kuch khawab adhoray hain, Ankhoon ko sula dena kah kuch khawab adhoray hain, Betay howay lamhoon ko kuch keh kay bula layna, Aur unko bata dena kah kuch khawab adhoray hain, Pher yadoon kay parhan ko youn jism pay saja layna, Aur charagoon ko bujha dena kay kuch khawab adhoray hain, Pher sham ki lali main chupay gham kay samundar ko, Zara sahil pay bula layna kah kuch khwab adhoray hain, Sulagtay howay armanoo main pher agg bharakti hai, Rakh ashkoon main baha dena kah kuch khawab adhoray hain… Shabeeb Hashmi

Ham Teri Mohabbat Pe Inhesaar Kia Kartay ? Rait Ke Gharoonday Pe Aitbaar Kia Kartay ? Door Jaanay Waalay Phir Lout Kar Nahee Aatay Door Jaanay Waalon Ka Intezaar Kia Kartay ? Oske Saaray Gham Le Kar Apni Khushi Dedi Aur Is Se Badh Kar Ham Os Se Pyaar Kia Kartay ? Khol Kar Kitaab-e-Dil Unke Saamnay Rakh Di Aur Bekaraari Mein Bekaraar Kia Kartay ? Kat Gaye Hawaon Ki Tund-o-Taiz Lehron Se Aandhion Ke Aagay Ye Shaakhsaar Kia Kartay ? Ham Ne Oski Khwaahish Per Jaan Bhee Luta Di Hai Dil Pe Tha Na Kuch Ham Ko, Ikhtiyaar Kia Kartay ? (inhesaar;depend)

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy Kesa guzra hy ye sal batao December jany wala hy Khush ho jao k milne ka saal aa raha hy phir Wasi youn na ansu bahao December jany wala hy Shahid ab k baras bhi wo Loat kar na aye Tanhaiyo k abi chor k na jao December jany wala hy Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy Ay mere Dukhon k sathiyo khush ho jao Apny apny Gharon ko sajao December jany wala hy Kia pata phir DECEMBER aye na aye Jan-e-Wasi Meri mano ab tm loat ao December jany wala hy

Main khush naseebi hun teri mujhy bhi raas hai tu, Tera libas hun main aur mera libas hai tu Ajeeb shay hai mohabat bhi, door hain lekin, Tery kareeb hun main, mery aas pass hai tu, Kia hai khud ko faramosh mane tery liye, Bohat hi aam hai dunya bohot hi khas hai tu, Zamana hum ko juda kar sake, nahin mumkin, Mohabbton main jo nakhun hoon main to maas hai tu, Yeh rait si mere honton pe jam gayi kesi, Mujhe gumaan tha ke daryaa hoon mein to pyaas hai tu, Yeh kaun tere mere darmiyaan hai jaana, Ke main bhi dard hoon aur mehv-e-yaas hai tu.. Wasi Shah

Gaye baras ki eid ka din kya acha tha, chaand ko dekh ke uskaa chehra dekha tha Fazaa mein cactus ke lehjey ki nermahat thi mausam apne rang mein faiz ka missraah tha Dua ke be-awaz, ulohi lamhon mein woh lamhaa bhi kitna dilkashh lamha tha Haath utha ker jab Aankhoon hi aankhon mein us ne mujh ko apne Rab se mangaa tha Phir mere chehre ko haathon mein le ker kitney pyar se mera maatha chooma tha! Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna kya woh apni chat per aj akela tha? Ya koi mere jeisi saath thi, aur uss ne chand ko dekh ke us ka chehra dekhaa tha?

Larkiyo! Muhabbat key khawab dekhti kiun ho.? Tum ko kiya nahi maloom? Khawab dekhney wali jo bhi ankh hoti hai Wo udas rehti hai, wo naras rehti hai Ankh key darech’on mein jo bhi charag rakhtey hein Bad-guman raat’on ka zaiqa wo chaktey hein Un key dil ki rah’ein bhi be-nishan rehti hein Be-aman rehti hein Un key ghar key darwazey dastak’on sey anjaney Aur samat’on ki gali ashna si ahhat sey, ajnabi rehti hai Un key sary jewan mein,ik kami si rehti hai Larkiyo! Muhabbat key khawab dekhti kiun ho.? Tum ko kiya nahi maloom?

Hawa mai dhond rahi hy koi sada muj ko pukarta hy pahardon ka silsilah muje ko Mai asma-o-zameen ke hadey mila deta koi sitara agar jhuk ke chomta muje ko Chipak gy mery talwon sy phool seshy ke zamana khench raha tha barhana paa muje ko WO shehsawar barda reham dil tha mery lieye bardha ke nezah zameen sy utha liya muje ko mkan,khait,sabhi aag ki lapeet mai thy sunheri ghaas mao es ny chupa diya muje ko Tu aik hat mai ly aag ek mai pani tamam raat hawa mai jala bojha muje ko Bas ek raat mai sarsabz ye zameen hoi mery khuda ny kaha tak bicha diya muje ko

Chupke chupke raat din aansoon bahaana yaad hai Hum ko ab tak aashiqee ka woh zamaana yaad hai Bahazaaran iztiraab o sadd hazaaran ishtiyaaq Tum se who pehle pehal dil ka lagaana yaad hai Tujh se kuch milte hi bebaak ho jaana mera Aur tera daanton mein woh aungli dabaana yaad hai Kheench lena woh mera perdey ka kona, daff?atan Aur dupatte se tera woh muh chupaana yaad hai Aagaya ger wasl ki shab bhi kahin zikr-e-faraaq Woh tera ro ro ke mujh ko bhi rolaana yaad hai Dopaher ki dhoop mein mere bulaaney ke liye Woh tera kothey pe nangey paawon aana yaad hai.