Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono, Parindon ki tarah din bhar urra karte they hum dono, Ilaahi zindagi yun hi mohabbat mein guzar jaye, Nimaaz-e-fajar parh kar yeh dua kartey they hum dono, Hamesha thandi ho jati thi chaye baaton baaton mein, Woh batain jo un ankhon se kiya karte they hum dono, Hawaa ke aik jhonkey se larz jatey dareechon main, Chiraghon ki tarah shab bhar jala kartey they hum dono, Mohabbat mein katthan rastey bohat asaan lagtey they, Pahaarron par sahulat se charha karte they hum dono, Hassan ruswayi ka hadsha kabhi dil main nahin aya, Khayaalon aur khawbon mein mila karte they hum dono.. Hassan Abbasi

Wahan Na ” Phool ” Khilte Hain Na Hi ” Mosum ” Badalte Hain Wahan To ” Kuch ” Nahi Hota Jahan Per ” Tum Nahi Hote ” Yahan ” Wese ” To Her ” Soghaat ” Aasaani Se Milti Hai Per Mera ” Dil ” Nahi Lugta Jahan Per ” Tum Nahi Hote ” Yahan To ” Log ” Sudiyoun Ko Bhi ” Lumhon ” Me Badulte Hain Mera Ek ” Pul ” Nahi Kut’ta Jahan Per ” Tum Nahi Hote Sabub ” Rone ” Ka Wo Pooche To Itna Keh Dena ” Mere Dost ” Mujhe ” Hunsna ” Nahi Aata Jahan Per ” Tum Nahi Hote “

Jub Bhi Hansnay Ke Zamanay Aye….. Zakham Phir Yaad Puranay Aye……..! Phir Mujhe TooT Ke Chaha Osne….. Phir Bicharnay kE Zamanay Aye….. Muskura Kar Hamain Milnay Walay…. Zindagi Bhar Ko Rulanay Aye……. Kitni Mehroom Thee Neendain Unki….. Khwaab Bhi Jin Ko Jaganay Aye….. Teri Chahat Ne Tehernay Na Dia…. Raah Mein Kitnay Thikanay Aye….. Tu Nahee Hai TOu Hawa Ka Jhonka …. Ghar Ki Zanjeer Hilanay Aye……. Isi Umeed Pe Jaago YaaroN…. Ab Wo Kis Waqt Najanay Aye… Raas Aya Jinhain Sehra ….. Unki Qismat Mein Khazanay Aye….

Apne dil ke kisi koney main chupaa le mujh ko, Aur zamane ki nigahon se bacha le mujh ko, Maanti hoon ke meri zaat main hain aib tamam, Phir bhi haar apne galey ka tu bana le mujh ko, Main hoon tasveer teri raah main, koi rond na de, Dil ke sheeshey main mohabbat se saja le mujh ko, Main to heera hoon magar kis ko hai pehchan meri, Pyar se barh ke tu hathon mein utha le mujh ko, Us ke hote huye ab ban’na sanwarna kesa, Apni chahat se kisi rang main dhaaley mujh ko, Hijar ki dhoop main jalte huye ik muddat se, Thak chuki hoon zara seene se laga ley mujh ko, Zindagi mein aajey gi Sassi teri, Jab bhi dil chahey tera pass bula le mujh ko..

Bandh len hath pe sene pe saja len tumko Ji men ata he k tawez bna len tumko har roz snwaren tujhy barhata dekhen Q na aangan ma Chanbeli sa lga len tmko Kbi khwabon ki tarhan ankh k parde men raho Kbi khwahish ki tarhan dil men basa len tumko He tmare lye kuch aisi aqedat dil men Apne hathon men duaon sa utha len tumko Jan dene ki b ijazat ni dete ho tum Wrna mrjaen to mar kar b mana len tumko Jistarhan rat k seene men he mhtab ka noor Apne tarek makanon men saja len tumko Ab to ek hi khwahish he ae WASI Kisi mor pr tm hm ko bikhre hwe mil jao to sanbhalen tumko. Itni shiddat se hmen tm pe pyar ata he, apni bahon main bharen mar hi dalen tmko.

Na Who Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho Jo Khwaab Dene Ko Qadir Ho Meri Aankhon Ko …Meri Mohabbat Ko Pehchan Sake Woh Aisa Ho Meri Khatir Marne Ka Hosla Bhi Rakhta Ho Koi Bhi Ho..Kahi Bhi Ho.. Bas Aisa Ho Agar Kabhi Rooth Jaoon Mein Usse To Muskrake Manaye, Woh Aisa Ho Jo Baat Kare To Woh Nibha Bhi Sake Iradon Mein Woh Apne, Chattanon Jaisa Ho Dukhon Mein Hansne Ka Hunar Janta Ho Ik Aisa Hamsafar Jo Samandar Ki Tarah Gehra Ho Us Ke Pyaar Ki Thandak Ho Mere Liye Aisi Ke Woh To Bilkul Aasman Ke Chand Jaisa Ho Woh Sirf Mera Ho, Jo Nigahon Mein Haya Rakhta Ho Umar Bhar Saath Chale?!!! Bus Humsafar Mera Aisa Ho

aat nikalegii to phir duur talak jaayegii log bevajah udaasii kaa sabab puuchhe.nge ye bhii puuchhe.ge ki tum itanii pareshaa.N kyuu.N ho u.ngaliyaa.N uThe.ngii sukhe huye baalo.n kii taraf ik nazar dekhe.nge guzare huye saalo.n kii taraf chu.Diyo.n par bhii ka_ii tanz kiye jaaye.nge kaa.Npate haatho.n pe bhii fikre kase jaaye.nge log zaalim hai.n har ik baat kaa taanaa de.nge baato.n baato.n me.n meraa zikr bhii le aaye.nge unakii baato.n kaa zaraa saa bhii asar mat lenaa varnaa chehare ke taasur se samajh jaaye.nge chaahe kuchh bhii ho savaalaat na karanaa unase mere baare me.n ko_ii baat na karanaa unase baat nikalegii to phir duur talak jaayegii

Kaha mein ney Mujhey tum sey muhabbat hai Magar tum ney saholat sey kaha hans ker Zara tum ‘hai’ badal dalo Likho key ‘thi’ Sahi misrah liko jana’n Tumh’ein mujh sey muhabbat thi Suno, jazbey kabhi is qadar mehmal nahi hotey Ye jazbey jo kabhi nadi ki sorat mein Kabhi dariya ki tughyani sey hotey hein Magar ye is qadar asa’n nahi hotey hein Ye ‘hai’ hotey hein jis lamhey faqat asbat hotey hein Ager ye ‘tha’ ka mani ban gaye to phir kabhi ye hal ka segha nahi bantey Magar tum kesay samjho gey magar tum kesay jano gey? Ye jaz’on ki baat’ein hein Ajab jazb’on ki baat’ein hein

Apni tanhaiyon se poocha hai Shab-e-hijran se baat ker li hai Mere andar ki sehmi khamoshi Mere bahar ka hansta chehra bhi Raat ke sansanate lamhe bhi …Din ka dasta huwa ujala bhi Zabt ka toot?ta yeh bandhan bhi Sabar ka chuut?ta yeh daman bhi Uss ki yaadein bhi kuch isharon mein Mujh ko majboor ker rehe hein sab? Aao ab us ke paas chalte hein Uss se kehte hain kuch dawa ker dey Apni fitrat ko chor ker ek pal Koi wada tau woh wafa ker dey In ki baaton se kuch nahi ho ga Aakhri faisla tau dil ka hai Dil yeh kehta hai?uss se milne se Apni tanhaiyan he acchi hein Ab akele mein lag gya hai dil Uss se milne hamein nahi jana Uss ki baatein udas ker dein gi..!!!

Bil-aakhir ye haseen manzar mita dena hi parta hai Kisi k sir ko shanay se hata dena hi parta hai Kisi dair aashna ko jhootay sachay kuch hawalo’n se Ta’aruf k liye sab se mila dena hi parta hai Jo sanso’n mein mehektay hain jo aankho’n mein damakty hain Achanak aik din un ko bhula dena hi parta hai Diye jo hum jalatay hain nihayat shauq se har shab Unhein khud apni phoonko’n se bhuja dena hi parta hai Koi jab poochta hai hum se, kaisa haal hai ‘Sajid’ Humain mohtaat ho kar muskra dena hi parta hai Chamak uthtey hain ‘Sajid’ jab sitaray us ki palko’n per Usey dil se laga kar hosla dena hi parta hai. . !

Muhabbat Jhoot Lagti Hai Ek Khokla Jazba Jise Izhaar Ki Har Waqt Khuwahish HO Kahe Jaane Ki Sunne Ki Jise Har Pal Zarorat HO “Mujhe Tumse Muhabbat Hai” Na Jaane Roz Kitne Log Is Jumle Ko Sunne Ko Bedaar HOte Hain Yeh Aisa Jhoot Hai Jiska Seher Sadiyon Se Tari Hai Magar Jaana!! Muhabbat Jab Kabhi Izhaar Ko Tarse Koi Tum Se Agar Keh De “Mujhe Tumse Muhabbat Hai” To Uski Baat Mat Sunna Muhabbat Rooh Se Phoote Muhabbat Aks Ban Jai To Tumko Phir Yaqeen Aye Ke Maine Such Kaha Tumse Muhabbat Rooh Ban Jai TO Phir Iska Yaqeen Karna Wagarna Ek Jumla Koi Kitni Baar Duhrai Kahe Jai,Nahi Sunna Muhabbat Jhoot Hai Jaana Agar Izhaar Ki Isko Zarorat Hai..!

jo zakhm tu nay diye thay woh bhertay jatay hain charhay hoay thay jo dariya utartay jatay hain yeh ahel_e_shahr_e_wafa hain ajab bahar parust sarooo kay phool faseelo’n pay dhertay jatay hain nahi hai aur tu kuch bhi hamaray hatoo’n main siva_ye_arz_e_tamman na so kertay jata hain ajeeb loog hain , yeh ahel_e_intezaar kay jo khud apni aag main jul kar sa’nwertay jatay hain najanay kaun si basti kay hain yeh bashindey! nazar uthatey nahi aur guzertay jatay hain yeh aaj shaher pay utri hay kis bala ki raat charaagh apni lawoo’n say mukertay jatay hain darakht shaam ko lagtay hain shaher say amjad kay shaakh shaakh parinday utartay jatay hain.

Wo Kehti Hay?? Batao Be Sabab Kion Rooth Jatay Ho? Main Kehta Hoon? Zara Mujh Ko Manaao?? .Acha Lagtaa Hay Wo Kehti Hay Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa? Main Kehta Hoon?. Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii?.! Wo Kehti Hay?. Batao?Main Tumhain Kion Bhaa Gayi Itna? Main Kehta Hoon? Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain! Wo Kehti Hay? Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu? Main Kehta Hoon? Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Gi?! Wo Kehti Hay? Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay? Main Kehta Hoon? K Yeh To Baadalon Ki Aankh Rotii Hay?! Wo Kehti Hay? Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain? Main Kehta Hoon? Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na?!

To tum pat-jahr key pat’on ki sada’ein roz suntey ho? Sada’ein mat kaho in ko, karah’ein hein Karah’on mein chupey ansoo hein aur in mein laho dil ka Magar tum ko kisi bhi dil sey kiya lena Chalo pat-jhar key patt’on ki sada’ein sun to lein tum ney Magar jis dil ko pat-jhar ker diya tum ney Bena sochey, bena samjhey, bena janey Tumh’ein is ‘zard patey’ ki sada’ein ki’yon nahi aati Tum is ka qatal ker key bhi abhi tak shad bethay ho Tumh’ein apney rawaiye per’ tumh’ein is doghley pan per herat nahi hoti? To herat hai To tum pat-jahr key pat’on ki sada’ein roz suntey ho?

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia, kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia, Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai, Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia, Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga, Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia, Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay, Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia, Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker, Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia, Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay, Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia