Bil-aakhir ye haseen manzar mita dena hi parta hai Kisi k sir ko shanay se hata dena hi parta hai Kisi dair aashna ko jhootay sachay kuch hawalo’n se Ta’aruf k liye sab se mila dena hi parta hai Jo sanso’n mein mehektay hain jo aankho’n mein damakty hain Achanak aik din un ko bhula dena hi parta hai Diye jo hum jalatay hain nihayat shauq se har shab Unhein khud apni phoonko’n se bhuja dena hi parta hai Koi jab poochta hai hum se, kaisa haal hai ‘Sajid’ Humain mohtaat ho kar muskra dena hi parta hai Chamak uthtey hain ‘Sajid’ jab sitaray us ki palko’n per Usey dil se laga kar hosla dena hi parta hai. . !

Your Comment Comment Head Icon

Login