Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya Jis nay mord k daikha na meri soo bus ik simt ko chal parda Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya Wo meray dil kee kitaab thha meri jostojoo ka jawaaz thha Wo mera maazi-o-haal thha jo chala gaya wo chala gaya Main taptee dhoop kee khhaak thha wo meray sar pay ik dhal thha Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main Thha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya Shaukat ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay Ye luzzat benazir hay jo chala gaya wo chala gaya Shaukat Ali Khan

Your Comment Comment Head Icon

Login