Aya hi ny ke hum ko ahista guzar jana sheshy ka muqaddar  rahy tukra ke bikhar jana   taron ki tarah shab ke seny may utar jana ahat na ho qadmo ki es tarah guzar jana   nashy may samnbhlny ka fun yo hi ny aya en zulfon sy sikha hy lehra ke sanwar jana   phir jay gy aknho may anchal sy bandy badal yad ay ga jab pagal par shabnam ka bikhar jana   har mord par doo ankhe hum sy yahi kehti hy jis tarah mumkin ho tum loot ke ghr jana   phathar ko mera saya ayena sa chamka dy jana to mera shesha yun dard sy bhar jana   ye chand sitary tum oroo-n ke lieye rakh lo hum ko yahi jena hy hum ko yahi marna hy   jab toot gia rishta sarsabz pahardo sy phir tez hawa jany hum ko hy kdhar jana  

Kaha Na Pyaar Hai Tum Say To Phir Kyon Zid Tumhari Hai K Jub Bhi Main Miloon Tum Say Yehi Izhar Ho Lab Pay Mujhe Tum Say Muhabbat Hai…! Tumhain Maloom Hai Jana Muhabbat To Muhabbat Hai Yeh To Ankhon Mein Dikhti Hai Haseen Say Khwab Ki Soorat Isay Kehna Nhi Parta…! Buhut CHup CHaap Jazba Hai Dabay Paon He CHalta Hai Magar Jo Naksh Is K Hain Buhut He Gehray Hotay Hain Unhain Kehna Nhi Parta…! Magar Izhar Hota Hai Kabhi Baton Ki Khushbu Say Kabhi Ankhon Ki Shokhi Say To Phir Kyon Zid Tumhari Hai K Jub Main Miloon Tum Say Yehi Izhar Ho Lab Pay Mujhe Tum Say Muhabbat Hai…! Magar Tum Janti Ho Na Tumhari Baat Ko Jaana Nhi Main Taal Sakta Hoon Chalo Main Tum Say Kehta Hoon Mujhe Tum Say Muhabbat Hai…!

Mein kiun kabhi dil ki kahani aam karney ka soch’on Ana nelam karney ka soch’on Mujhey tum sey muhabbat hai, magar mein kiun kaho’n tum sey? Mein tum sey kiun kaho’n jana’n! Meri tum dharkan’on ki ley mein shamil ho Meray jeewan ka hasil ho Agar palk’on key jhalar ko utha’on to tumhi ho Utha’on to tumhi ho Mein jag’on to mujhey tum piyar sey aa ker sulatey ho Mein so jaon to tum sargoshi’yan ker key tum jagatey ho Muhabbat ka kanwal jis mein khila wo jheel ho jana’n! Amaos ki tarha hun mein, to tum qadeel ho jana’n! Tumh’ein mein ney khuda mana,tumhi ko na khuda mana Magar mein kiun kah’on tum sey Magar mein kiun kah’on tum sey??

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay K ashq rokna tum se mohaal hona hay Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay Har aik shaks chalay ga humari rahoon per Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye Humari zaat ko aisa sawal hona hay ” yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga Usay bhi apne kiye ka malal hona hay

Ab kar k kisi ore ka intezar daikhna Apnay humaray darmiyan deewar daikhna Thhokra k aap nay humain achha sila diya Hum thhay k hum nay chaha so bar daikhna Lehra diye aap nay parday fizaon main Dushwar kar diya husn-e-yar daikhna Milnay ke aap ko kabhi fursat nehi mili Hum thhak gaeiy simt coo-e-yar daikhna Janay kahan say aap nay seekhien adawatain Mushkil nehi thha warna ik bar daikhna Maeyeser kabhi jo aap ko aaiyen mohobatain Palaray main rakh k aap mera payar daikhna Kyun aap ko haasil howa zulmaton ka haq Kis nay diya aap ko ekhteyaar daikhna Kaisay bhoolayien gaiy unhain shaukat khaber nehi Apnay jigar ke taqat-e-izhaar daikhna (Palaray:one side of weighing machine)(Maeyeser:Available)(Dushwar:Difficult) by Shaukat Ali Khan

Gaon chorda tu kai ankhon mai jal phela shehar pohancha tu kesi mathy pay jhomar jhoma Zindagi tu ny mujhe maar liya tha lekin ye tu mai tha ke tery zindon sy behtar hi jia AB milay hum tu kai loog bichard jain gy intizar or karo agly janam tak mera wo tu insan thi tery yad ki mehwiyat mai daro dewar ko seny sy laga kar choma Ajj ki sham dobara na kabhi aye gi aj ki sham ye mat soch ke kal kia hoga Dukh bhara piyar samundar ke tarah lamehdood gamzadah husan,rawan pani mai ghulta sona Mery haton sy kabhi chota tha ek aeyna umar bhar jin ko meri ankho ny palkon sy chuna Raat kamoshi dil chaa gai jab dunya par koi bola tha bohat paas wo tum thy ke khuda Khobsurat hy bohat piyar ki khushfehmi bhi band palkon ko tery honton ny jesy choma

Suno! Ae chand c larki Abhi tum Titlyan pakro Ya phir maasoom c ankhon say Dhairon …khawab dekho tum . …Faraz-o-Faiz o Mohsin ki Kitaabyn mt abhi parhna . Ye sab lafzon k shaair hain Tumhain uljha k rakh dayn gay . Tumhain Maloom hi kab hai Muhabbat k libaaday mai Hawas aur Hirs hoti hai . Ye insanon ki dunya hai Magr in say kahin barh kar yahan wehshi darinday hain . Wo wehshi jin ki ankhon me Machaltay piaar k peechay Hawas aur hirs hoti hai . Abhi kachi kali ho tum Abhi kanton say mat khailo Abhi apni Hatheli par kisi ka naam mat likho Abhi apni kitabon mai Gulabi phool mat rakho Abhi shairon me mat uljho . Abhi to umr baqi hai abhi khud ko sanbhalo tum abhi mat Gungunao tum Abhi say Ishq mat socho Abhi sab bhool jao tum..

Muhabbat mein muhabbat hi hamesha shart hoti hai Magar kehtay hein kuch zimni si shart’ein bhi zarori hein Koi wada karo to dil ki dharti per likho is ko Jigar sey roshnai lo Qalam jazb’on ka thamo aur dharkan sey gawahi lo Ye jan jaye magar wadey pey koi anch na aaye Muhabbat key safar mein pehli serhi per Hamesha sey, khasara pehlay sey taiyar milta hai Aur ungli tham ker chalta hai, jab tak saans baki hai Muhabbat kernay waley mur ker dekha hi nahi kertay Muhabbat kernay waley agar thak bhi jain to nahi ruktey Bhaley sey per’on key chaley, dehakti rait sulghaye Sawa nezay pey soraj an utrey aur jhulsaye Key in key bal-muqabil to dehakta toor hota hai Muhabbat to bohat anmol hoti hai magar is mein Wafa mashrut hoti hai

Jo beeti hai woh dohraaney mein kuch waqt lage ga, Iss gham ko ik yaad bananey mein kuch waqt lage ga, Neend to aaney ko thi per dil pichey qissay le betha, Ab khud ko be’waqt sulaney mein kuch waqt lage ga, Us ka sath ab tanhai ko karte hai aur zeyada, Par yeh baat usey samjhaney mein kuch waqt lage ga, Akhir humain bhi laut kar ik din ghar ko jana hai, Lekin itni door se aney mein kuch waqt lage ga, Shayar hain yeh sochna hoga “kese sab kuch kehna hai”, Dil ki baat labon tak laney mein kuch waqt lage ga, Yeh mat samjho dunya walo thak kar beth gaye hum, Pichli chotton ko sehlaaney mein kuch waqt lage ga, Itni jaldi kya Shabnum tum ko waapis janey ki, Kaam yeh dunyaa ke nibtaaney mein kuch waqt lage ga.. Shabnam Shakeel

Dil cheer ke dikhla dain ik naam tumhara hay Hum ab bhe jo zinda hain ehsaan tumhara hay Jab chhup chhup rotay hain niendon ko tarastay hain Aisay main humain teri yaadon ka sahara hay Kehtay hain mohabbat main jaan daitay hain dil walay Iss rah saiy guzernay ka armaan humara hay Ab beech sumandar main aaiy hain tau kiya sochain Kis simt koe kishti kis simt kinara hay Koch phool k patton main kaantay bhe tau hotay hain Phir kiya hay ghalat jeewan hum nay jo guzara hay Manzil he nehi paatay jo chuntay hain rah-e-ishq Iss payar ke baazi main ik roz khasara hay Ik rog hay tanhaie ik rog mohabbat hay Donon ke qarabat nay ik shakhs ko maara hay Hum dard k maron ke pooch na khaber shaukat Din raat tarapnay main bas apna guzara hay by:- Shaukat Ali Khan

Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai? Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai? Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai? Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai? Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai? Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai? Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai? Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’ Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ?

Yaad ko pighalnay main dair kitni lagti hai Khahishoon ko jalnay main dair kitni lagti hai Aaj us na kah dia door janay sa qabal Rasta badalnay main dair kitni lagti hai Zindagi bana lia usko apni rooh ki Zindagi badalnay main dair kitni lagti hai Us kay janay sa mujhe agahe hui hai yah Bastiaan ujarnay main dair kitni lagti hai Hadsoon na torra hai dostoon na jora hai Aadmi ko marnay main dair kitni lagti hai Tum bachana pyar kay is diye ki aanch ko Aandhion ko chalnay main dair kitni lagti hai Us kay waday par rahay kuch khabar bhi na rahi Pyar sa mukarnay main dair kitni lagti hai Phool kay nikalnay tak rha mera uska saath bas Phool ko bhikharnay main dair kitni lagti hai Tairgi muqadar ki jaan hai meri ye warna Raat ko guzarnay main dair kitni lagti hai

Main Apna Aaj Apna Kal Tumharay Naam Karta Hoon, Main Is Jeewan Ka Har Ak Pal Tumharay Naam Karta Hoon, Mera Guzra Howa Kal Tu Meray Maazi Ka Hissa Hay, Main Apna Aaj Apna Kal Tumharay Naam Karta Hoon, …Kheza’en , Sardiyaan, Garmi , Bahaarain, Barishain , Jaara, Main Har Mousam Ka Har Har Pal Tumharay Naam Karta Hoon, Tumharay Dukh, Udaasi , Ghum, Sabhi Ranj o Alam Lay Kar, Main Yeh Khushyon Bhari Chaagal Tumharay Naam Karta Hoon, Seetaray Aasmaan Kay Sab Tumhari Maang Main Bhar Kar, Shab -e- Taira Ka Sab Kajal Tumharay Naam Karta Hoon, Tumharay Bin Ye Har Ak Pal Mujhay Be-Chain Rakhta Hay, Main Apna Dil Jo Hay Be-Kal Tumharay Naam Karta Hoon, Barasta Bheegta Mousam Hay Kamzori Meri Lakin, Main Yeh Saawan , Ghata , Badal Tumharay Naam Karta Hoon.

Wo mehfilain kahan gaeen wo bazmain kahan gaeen Ta-umar sath denay ki rasmain kahan gaeen Do qadam sath chal k ker laitay hein kinara Ik sath jeenay marnay ki qasmain kahan gaeen Aata hay yad mujh ko us ka lagatar dekhna Jo jhapki kabhi na theen wo palkain kahan gaeen Sookhi patton ki tarah bikhar jati hein ulfatain Jo pakti theen piyar mein wo faslain kahan gaeen Bujh jatay hein aik jhonkay say jhooti chahat k charagh Jo jalti theen aandhiyon mein wo sham’ain kahan gaeen Na milna ho to aajkal so so bahanay hein Jo kachy ghary pe hoti theen wo mulaqatain kahan gaeen Hay be wafaai her su aur ja baja hay bay rukhi Jo theen wafa ki paiker wo soortain kahan gaeen Uski sitamgaryon k ab jari hein silsilay Jp mangain Azmi k wastay wo duaaen kahan gaeen. Nauman Azmi

Wo kehti hai tumhari batain achi lagti hain Mein kehta hoon sooraj ki roshni tumko sajti hai Woh kahti hai tumhari baton mein apnaiyet hai Mein kehta hoon muhabbat rafta rafta barhti hai Woh kehti hai itney din bad miley ho Mein kehta hoon shayed sadiyan beet gai hain Woh kehti hai meri zindagi mein khawab hain buhat Mein kehta hoon sarey khawab sumait loo Woh kehti hai kya ab bhi mujhko chahtey ho? Mein kehta hoon tumhein khabar nahi hai shayed Woh kehti hai dekho amawus ki raat hai Mein kehta hoon haan chand mere pehloo me hai Woh kehti hai zindagi kitni khoobsurat hai Mein kehta hoon zara aik sapna tootney do Woh kehti hai mousam buhat pyara hai Mein kehta hoon zara tanhai me dekhna Woh kehti hai dekho meenh barasta hai Mein kehta hoon haan badal akser roota hai