Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai? Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai? Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai? Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai? Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai? Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai? Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai? Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’ Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ?

Your Comment Comment Head Icon

Login