Kiya Kiya Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye Hum Jaagte Rahe Thay Magar Bakht So Gaye, Us Ne Pyaam Bheje To Raste Mein Reh Gaye Hum Ne Jo Khat Likhe Woh Hawaa Burd Ho Gaye, Main Shaher-e-Gul Mein Zakham Ka Chehra Kise Dekhaon? Shbnam Badast Log To Kaante Chabho Gaye, Anchal mein Phool Le K Kahaan ja Rahi Hoon Main Jo Aane Waale Log Thay, Woh Log To Gaye, Kiya Jaane Ufaq Kau Udhar Kiya Tilsam Hai Laote Nahi Zameen Par Ek Baar Jo Gaye, Woh Bachpane Ki Neend To Ab Khawab Ho Gai Kiya Umar Thi K Raat Howi Aur So Gaye, Kiya Dukh Thay, Kon Jaan Sakega Nighar-e-Shab Jo Mere Aur Tere Dopattay Bhego Gaye.

Sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main Lakin ye sochta hun k ab tera kya hun main Bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud Bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main Main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf Apne badan ki qabr mein kabse gara hun main Kis-kis ka nam laun zaban par k tere sath Har roz ek shakhs naya dekhta hun main Na jane kis ada se liya tune mera nam Duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main Le mere tajurbon se sabak ae mere raqib Do char sal umr mein tujhse bara hun main Jaga hua zamir wo aina hai “Qateel” Sone se pahale roz jise dekhta hun main…

Hawas naseeb e nazar ko kahien qarar nahi, Main muntazir hun magar tera intazar nahi, Humi say rang e gulistan humi say rang e bahar, Humi ko nazm e gulistan pey ikhtayar nahi, Abhi na cher mohabbat kay geet ay matrab, Abhi hayat ka mahool khushgawar nahi, Tumharey ehad e wafa ko main ehad kya samjhon, Mujhey khud apni mohabbat ka aitbar nahi, Na janey kitney giley is me muztarib hain nadeem, Wo ek dil kisi ka gila guzar nahi, Gurez ka nahi qail hayat sey lekin, Jo sach kahon to mujhey maot nagwar nahi, Ye kis muqaam pey pohncha dia zamaney ney, Kay ab hayat pey tera bhi ikhtayar nahi. Sahir ludhyanvi

Agar ye Jan’na Chaho, koi kaise Bikhrta hai….? Bikhr kr kaise jita hai……?? Chman me tm Chale jana…khizan k sard Mosam mein….. wahan patton ko dekho tm…… ya phir 1 Aaine Le lo….., Usy Pathar Pe De maro…… … Agr Muskil ho ye b To……….. Aik phool Le Lena….., Hawa k Dosh pe Rekhna…. To Phir Tm Jaan jaoo Ge….. KOI KAISE BIKHTA HAI….!! Agr ye B na Ho Tum se……. To mere Ps aa Jana………. MERA DIDAAR KR LENA… khabr ye ho hi jaye gi…. “KOI KAISE BIKHRTA HAI.

Koi na jan saka wo kaha sy aya tha Or es ny dhoop sy badal ko kuin mila diya tha   ye bat shaid logo ko na pasand ay thi makan chota tha lekin bohat sajaya tha   wo ab waha hy jaha rasty ny jaty may jis ke hat yahan pichly sal aya tha   suna hy os py chahekny lagy parnidy bhi wo ek poda jo hum ny kabhi lagya tha   charagh doob gy kapkapaty  honto par kesi ke hat hamary labo tak aya tha   badan ko chor ke jana hy asman ki taraf samundro ny hamey ye sabaq pardhaya tha   tamam umar mera dam osi dohwey  may ghuta wo ek charagh tha jisy may ny bujhaya tha    

Chehra koi bhi aankh main thehra na phir kabhi, Dil ne kisi bhi shakhss ko chaha na phir kabhi, Rootha zara si baat pe uth ke chala geya, Aesa geya ke laut ke aaya na phir kabhi, Kuch yu’n mila tapaak* se bass ishq ho geya, Woh ajnabi tha kaun tha socha na phir kabhi, Us ne bataur* tohfa diya libaas-e-hijar, Pehna jo aik baar utaara na phir kabhi, Dulat mili to chinn gayi ehsaas ki qubaa*, Us ne mera mizaaj bhi poocha na phir kabhi, Nazish guzar chuka tha hadh-e-etdaal* se, Jane kahan geya usey dekha na phir kabhi.. (tapaak;meet with smile)(bataur;as)(qubaa;ability)(etdaal;keep level) Shabir Nazish

Azal sey hi muhabbat bad-gumani aur yakeen ko sath lati hai Wafa jo ho koi key bewafa Dono hi sorat mein Zara si baat per, palra kabhi bhari, kabhi halka, kabhi yaksaa’n Kabhi chahat kabhi jaghrey Kabhi izhar per tuley Kabhi dher’on gilay shikwey Muhabbat kernay walo hosla rakho Muhabbat to muhabbat hai aur is mein ye to hota hai Kabhi paspa nahi hota Kabhi pachtawa,muthi mein nahi rakhna Kabhi mur ker nahi takna Zamaney ki baat’on mein nahi’ein ana Muhabbat to muhabbat hai Ye amrat hai key zehar hai,is ko chakhna hai Wafa’on ka hamesha man rakhna Muhabbat per sada eman rakhna

Mulaqatien humari be irada kiyon nahi hotien, Mohabbat ki guzar gahien kushada kiyon nahi hotien, Humarey darmyan ye ajnabiat ka dhuwan kiyon hai, Humari chahtien had sey zayada kiyon nahi hotien, Merey jazbat ki khushbo utarti kiyon nahi tujhmey, Terey dil ki sabhi rahien kushada kiyon nahi hotien, Khushi ki chand bondien jism ko geela kar to deti hain, Mayassar rahtien lekin zayada kiyon nahi hotien, Terey nazdeek reh kar bhi ye doori ka gumaan kesa, Teri bahien meri khatir kushada kiyon nahi hotien, Barey naz o ada aksar ye dikhlati hain raston me, Ye sohni larkian irfan sada kiyon nahi hotien. Irfan Sadiq

Tu buraa kyon manta hai meri har aik baat ka, Tujh ko andaaza nahin shayed mere halaat ka, Us ne ab ke mausmon ki is tarah taqseem ki, Mere hissey mein na aya phall mere baghaat* ka, Main pareshaan hi kahan apni pareshaani se hoon, Mera sara dukh to hai bass teri kayenaat ka, Jab yahan ke log sarey din ke sathi hain to phir, Kon manzar dekhne aata hamaari raat ka, Is tarah us ke dukhon ne mujh ko pathar kar diya, Ab mujhe sadmaa nahin hota kisi ki baat ka, Woh Shabana aaj kal mera mukhaalif* hai bohat, Jo kabhi hissa hua karta tha meri zaat ka.. (baghaat;lands where fruits grow)(mukhaalif;opponent) Shabana Rahat

Tum bin jiya jaye kesey, Kesey jiya jaye tum bin, Sadiyon sey lambi hain ratirn, Sadiyon sey lambey hoye din, Ajao laot kar tum, Ye dil keh raha hai, ajao laot kar tum, Phir sham e tanhai jagi, Phir yad tum aa rahey ho, Phir jan nikalney lagi hai, Phir mujhko tarpa rahey ho, Is dil me yadon kay meley hain, Tum bin bohat hum akeley hain, Ajao laot kar tum ye dil keh raha hai, Kya kya na socha tha me ney, Kya kya na sapney sajaye, Kya kya na chaha tha dil ney, Kya kya na arman jagaye, Is dil sey tofan guzartey hain, Tum bin jeetey hain na martey hain, Ajao laot kar tum ye dil keh raha hai, Tum bin jiya jaye kesey. Faiz Anwa

Dehakti dhoop samundar hy,ye jazeery hay ghany darakht jo sardko pay saya karty hay   Ajeeb shehar hy ye ass ke asma-n pay bhi laho may doby howy surakh surakh doory hay   wo koi or tha shab-e khon marny wala hamey na maro ke hum bhi be zarar farishty hay   Ye phattron ka hy jungle chalo yahan sy chalen Hamary pas tu geeli zamee-n ke poodeyn hay   Phir en ke nechy darindo ke nam kis ny likhy hameyn yaqeen hy ye sab hamary chehreyn hay   Azeem dushmano,chaqo chalao moqa hy hamari hath hamri qamar ke pechy hay   Kahanyon kay bateyn such hoi jesy sonehry shehar samundar may behty rehty hay  

Badar,do ankhen bohat dhond rahi hay tum ko chand ki chodwain tarekh hy opar dekho Raat saoi hoi ranaiyon ny muje say kaha hum tumhari hi ghazal hay kabhi hum ko bhi kaho Chandi mai keh jati hy ahat jesy hum bohat pass hay awaz na do,hum ko suno Jis say umeed wafa ho gi wahi dukh dy ga be wafa jan ke chaho jisy ab ki chaho Os ki qudrat mai nai ruk ke koi baat seny waqt awaz hy awaz ko awaz na kaho Muntazir kab sy hay oraq-e kitab hasti dil ka kuch ring karo noke qalam chomo Ek awaz bohat kafi hy soty ke lieye loog samjhy gay bany lety ho ab jaag pardo Aaj kamry mai nay bethyna wala mosam barf girny ki khabar garm hy ghar sy nikalo

Bhari Mehfil Main Tanha Rehna Acha Lagta Hay Teray Baray Main Sochtey Rehna Acha Lagta Hay Kabhi Phoolon Main, Kabhi Kaliyon Main Tujh Ko Hi Dhontay Rehna Acha Lagta Hay Meri Zindagi Ki Khushiyan Tum Hi Say Hain Wabasta RAB Sey Sirf Tumhain Hi Maangna Acha Lagta Hay Humaray Darmiyan Haail Rahein Sadiyon Ki Khamoshiyan Kuch Is Tarhan Guftugu Karna Acha Lagta Hay Tumhray Baghir Zindagi Ka Koii Tasaver Nahi Hay Kuch Is Tarhan Tumhari Tamanna Karna Acha Lagta Hay Tum Hi Ko Chaha,Tum Hi Ko Chahtey Hain Tumhi Ko Chahtey Rehna Acha Lagta Hay Anmol Cheen Longa Tumhein Duniya Ki Rasmon Say Ay Memon, Zamaney Sey Baghawat Karna Acha Lagta Hay

sochta hoon ek din kuchh aisa karoonga, teri zulfon me sokar apne khwabon ko poora karunga?.. teri ye aankhein kar na de mujhe diwana, phir bhi in aankhon me khone ki main khata karunga, teri ye mast ada kar na de mujhe aawara, …phir bhi teri har ada ko dekha krunga, teri ye surkh honton ki muskurahat . dekhe bina jee nahi sakunga, teri yaadon ki barsaaton ne gher rakha hai mujhe, phir bhi har lamha,har pal yaad main tujhe kiya karunga, tera ye muskurakar mujhse baat karna, har pal is suhane pal ki main guzarish karunga, agar nahi mili tum mujhe is zindagi mein, apne jism ka har hissa bechkar tujhe paane ki main koshish karunga

Samander Mein Utarta hoon tau ankhein bheeg jati hain Teri ankhon ko parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain Tumhara Naam likhney ki ijazaat chin gayi jab sey Koi bhi lafz likhta hoon tau ankhein bheeg jati hain Tumhari yadoon ki kushboo khirkion mein raqs kerti hai Tere ghum mein sulagta hoon tau ankhein bheeg jati hain Mein Hans key jhail leita hoon judai ki sabhi rasmain Galey jub uss key lagta hoon tau ankhein bheeg jati hain Na-janey ho giya hoon iss gadr hasaas mein kab sey kisi sey baat kerta hoon tau ankhein bheeg jati hain Woh sub guzrey hoye lamhaat mujh ko yaad aatey hain Tumharey khat jo parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain