Larkiyaan bewafaa nahi hoti Wo to majborioon meing lipti hain apne shiddat bhare khyalon mein apne ander chhupi ek aurat mein wo hamesha hi darti rehti hain na to jeeti hain na to marti hain larkiyaan bewafaa nahi hoti per Hamesha.hi darti rehti hain apne reeti or rawajoon se Ane wale naye azaboon se, zarurat mein khile ghulaboon se pyaar kerti hain or chhupati hain, larkiyaan Bewafaa nahi hoti kyuon ki majborioon mein lipti hain aur har lamha darti rehti hain apne pyaar se apne saye se apney rishton se dil ki dharkan se apni khowahish se apni kushiyon se

Mohabat sirf visal-e-sanam kab hai is k hazaroon roop rang hain ye har rang main muskurati hai Rooty bachy ko chup karna b Mohabat hai door kisi gareeb k ghar main band choolha jalana b mohabat hai jo har eid per nae kapron ko tarsty hain os masoom bachon ko nae jory zaiz tan krwana bhi Mohabat hai wo jin k ansoo ponchny waly nahi rahy un ki mayoosiyan mitana hi mohabat hai tTu bhaly gam se choor choor Ae Dil logon kgam dil pe lena bhi mohabat hai main to shayer hon karon mohabat ko kesy bayan?? jo de nafrat, ata Mohabat karo, shayad yehi mohabat hai…

Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai

Rakhna yaqeen wafa per dil main na bal rakhna In dard k lumhon ko tum bhe sambhal rakhna Bayshuq ye loog teray jazbon say khoob khailain Laikin tum dil main apni darkan bahal rakhna Main dooor hon agarchay ik din main aa miloon ga Jub tuk tum iss milon ka rusta nikaal rakhna Rakhna sumait kar tum tukray meray jigar kay Apni bhi jaan say zada in ka khayal rakhna Oor jab tumhain satayien tanhaiyun ki raatain Aankhon ko bund kar k mairay he khowab rakhna Main loat ker na aaon tau aglay janum miain gaiy Jub tak tumhain qasam hay apna khayal rakhna By: Shaukat Ali Khan

Mujhe ek manzil-e-khaas ka na pata chala, yeh bura hua meri justaju, meri aarzoo, hui raaigaN, yeh bura hua meri zest maut se kam nahi, mera gham bhi ab mera gham nahi teri dastaaN meiN sama gai meri dastaaN, yeh bura hua mujhe apne naghmoN se hai gila, mera raaz raaz na reh saka woh jale chiraaghoN ki tarha, woh utha dhuwaan, yeh bura hua tere intezaar meiN baith kar, mujhe zindagi to mili magar mera saath choD ke chal diya, mera karwaaaN, yeh bura hua mujhe yaad thi yeh na thi khabar, mere gham meiN hai bada asar meri ek aah se jal gaye, kai aashiyaaN, yeh bura hua.

Suno jaanaaN..! humeiN jab sey mila hey ye sandesa.. ? Ab Judaai hey? humaari aankh k aansoo taRaptey dil ki noha karti ye dhaRkan Bikharti saans ka resham merey haathoN ki ye larzish Meri baatoN ka toota-pan merey hontoN ki neeli chup ragoN meiN barf banta ye lahu mera meri bikhri huwi neendoN ki kul poonji adhooray khawaab sab merey (tumhaarey lams ki khaahish) tamanaaoN k tootey Aainey saarey merey kamrey meiN bikhrey heiN mujhey har-pal adhoori mout detey heiN magar??? meiN kitni be-bass hooN k kuch bhi kar nahi sakti bichharney sey zara pehley mukamal mar nahi sakti?

Soo baras ki zindagi main aik pal Tu agar kar le koy ache amal Tuj ko duniya main mile ga us ka phaal Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal gham ko sene se lagana sekh le gair ko apna banana sekh le Dard sah kar muskarana seekh le Choor khudgarzi wafa ki rah chal Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal Aik aadam ki sabhi olaad hain Kuch to khush hain aur kuch nashad hain jurm un ka kiya hay jo barbaad hain Tu zamane k asuloon ko badal Dusaron k waaste zinda raho Jaan bhi jaye to hans kar jaan do Mout k aage bhi sharminda na ho Tu sada insaniyat rah chal Aaj jo kuch boye ga kate ga kal

Main Kehta Hon “Batao Besabab Kyun Rooth Jati Ho…? ” Wo Kehti Hai “Zara Mujh Ko Manao Acha Lagta Hai…” …… Main Kehta Hon “Mera Dil Tum Se Aakhir Kyun Nahi Bharta…?” Wo Kehti Hai “Mohabbat Ki Koi Had Hi Nahi Hoti…” Wo Kehti Hai “Batao Main Tumhain Kyun Bhaa Gayi Itna…?” Main Kehta Hon “Meri Jaan Hadsay To Ho Hi Jate Hain…” Wo Kehti Hai “Achanak Main Tumhain Yun Hi Rulaa Doon To…?” Main Kehta Hon “Mujhe Darr Hai K Tum Bhi Bheeg Jao Gi.

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga Naraz agar wo hain Mere Nasheman se Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga

Mein takiye per sitaray bo raha hoon. . Janam din hai, Akela ro raha hoon. . Kisi ne jhank kar dekha na dil mein. . K mein ander se kaisa ho raha hoon. . Jo dil per daagh hain pichli ruto’n kay. . Unhein ab aansuo’n se dho raha hoon. . Sabhi parchaai’an hain saath lekin. . Bhari mehfil mein tanha ho raha hoon. . Mujhy in nisbato’n se kon samjha? Mein rishtay mein kisi ka jo raha hoon. . Mein chonk uthta hoon aksar baithay baithay. . K jaisay jagtay mein so raha hoon. . Kisay paanay ki khuwahish hai k ‘Sajid’ Mein rafta rafta khud ko kho raha hoon. . !

Kbhi Barish Barasti hay To mjhko Yaad Aata hay Wo Aksar mjh se Khta Tha “Mohabbat Eik Barish hay” Sbhi p jo Barasti hay Mgar Phir bhee nahi hoti Sbhi k Wastay Yaksaan Kissi k Waste Rehmat,, Kissi k Waste Zehmat,, Mein Aksar Sochta hon ab Woh mjh se Theek kehta thaa “Mohabbat Eik Barish he “Sbhi p jo Barasti hay Kbhi mujh p bhee Barsi thi Mgar meray Liye Barish,, Kbhi na ban saki Rehmat,, Ye Rehmat keyn nahi banti??? Kbhi mein khud se Pochoon to Ye Dil Duhai Deta hay “””Kbhi Kachay Makaano ko bhee Barish Raas Aai hay?????”””!!!~

Mohabbat chikhati rahi Dil katra katra Ruh ki tanhaiyon main rota raha Aankheen tumara aks sajaye Shabnam shabnam ro kar Nadeyan bahati raheen Hasarteen duub gayen Khuwab jazere gham ka samandar ho gaye Magar main phir bhi zinda houn K main ne khud se naheen Tumari amanat main khyanat ki Tuj se kiye ahed ko pamal kiya Tere khayal se zahen ko azaad kiya Kyun ? Yeh bhi tuj se keh na paoun gi K tera dard sah na paoun gi Is liye sare tufaan Apni ruh main samete Main apni maslehton ki dour se bandhi Tareekh rahoon pe gamzen Jane kis ghari Koun se khad main Mout k betah kunween main ja basoun

Jo rotey ho’on par hanstey hain unhey khud bhi rona parta hai, Masror jo aksar rehtey hain magmom bhi hona parta hai, Asani sey kya milta hai qurbani dena parti hai, Ik chez ko paney ki khatir ik chez ko khona parta hai, Izzat, khud’dari or ana ye sab rasmi si chiezen hain, Ye ishq samundar hai is me har shay ko dabona parta hai, Har qarb ho zahir chehrey sey ye bat koi lazim to nahi, Kuch esey qarb bhi hotey hain jinhien dil me samona parta hai, Ye soch ke yaro rat ko main bas adhi roti khata hun, Is shehar me esey log bhi hain jinhien bhoka sona parta hai. manan qadeer manan

Toota zaroor ho ga bicharney ke baad woh, Tarrpa zaroor ho ga bicharney ke baad woh, Kehta nahin kisi se magar jantey hain hum, Roya zaroor ho ga bicharney ke baad woh, Phailaa ke apne gird tasveer aur khatoot, Bikhra zaroor ho ga bicharney ke baad woh, Har zakhm ka ilaaj maseehaayi mein nahin, Samjha zaroor ho ga bicharney ke baad woh, Raaton ki saayen saayen aur tanhayi ke beech, Jaaga zaroor ho ga bicharney ke baad woh, Dehleez par puraney zamaanon ka muntazir, Betha zaroor ho ga woh bicharney ke baad woh, Uthtey qaram hamari taraf roktey huye, Uljhaa zaroor ho ga bicharney ke baad woh..

Nayi tarha say nibhane ki dil ne thaani hy Wagarna us se mohabbat bohat puraani hy “KHUDA” wo din na dikhaaye keh main kisi se sunoon Ke tu ne bhi gham-e-duniya se haar maani hy Zameen pe reh k sitaare shikaar kerte hyn Mizaaj ehl-e-mohabbat ka aasmaani hy Humain aziz ho kyon.ker na sham-e-gham k yehi Bicharne waale , teri aakhri nishaani hy Utarr pare ho to darya se poochna kaisa Ke saahiloon se udhar kitna taiz paani hy Bohot dinon main teri yaad orh ker utri Ye sham kitni sunehri hy kia suhaani hy Main kitni dair tak usay sochta rahoon Ke jaise us ka badan bhi koi kahani hy…