Rat ki neendien to pehley hi ura kar ley gaya, Reh gai thi arzo so wo bhi aa kar ley gaya, Titliyan ayen gi kya ab kanch key guldan par, Phool jitney they wo balon me laga kar ley gaya, Din nikaltey hi khawbon kay jazeerey kya hoye, Subhah ka soraj meri ankhien chura kar ley gaya, Dor sey dekho to ye pani hai darya ki lakeer, Maoj me aya to jangal bhi baha kar ley gaya, Us ney to in motiyon par nazar dali nahi, Ankh ki thaali me dil anso saja kar ley gaya, Gaor sey dekha to dil ki khak tak baqi na thi, Mujhko da’awa tha kay main sab kuch bacha kar ley gaya, Sab ko apni hasraton ki talkhiyan yad agaiyen, Rang chehron ka wo tasweerien dikha kar ley gaya. Shehzad Ahmad

aat nikalegii to phir duur talak jaayegii log bevajah udaasii kaa sabab poochein gay.. ye bhii puuchhe.ge ki tum itanii pareshaaN kyuuN ho ungaliyaa.N uthein gi sukhay huye baaloon kii taraf ik nazar dekhein gay guzaray huway saaloon kii taraf chooriyoon par bhi kai tanz kiyay jaaein gay. kanptay haathoon pay bhii fikray kasay jaaein gay.. log zaalim hein har ik baat kaa taanaa dein gay baatoon baatoon mein meraa zikr bhii lay aayein gay.. unki baatoon kaa zaraa saa bhii asar mat lenaa warna chehray kay ta-asur se samajh jayein gay.. chahay kuch bhii ho savaalaat na karanaa unsay meray baaray mein koi baat na karna unsay baat nikalegii to phir duur talak jaayegii…!!

Ta’al’luq torna chaho.. Tum mujh ko chorna chaho.. To meri shart hai itni.. Tumhein jo de chukay hain hum.. Mujhay lotaa do woh sab kuch.. Meray lamhein.. woh keemti lamhein.. Jo tujh ko sochtay guzray.. Woh pal jo ik qayamat thay.. Jo tumhara rasta dekhtay guzray.. Khuda ko bhool kar woh din.. Jo tujh ko poojtay guzray.. Kaho lota sako ge tum?? Hayaa ki chandni de di.. Jiyaa ki ragni de di.. Laboon ki chaashni de di.. Hina ki roshni de di.. Tujhay to zindagi de di.. Har ik apni khushi de di.. To phir woh zindagi meri.. Han bolo.. har khushi meri.. Kaho.. lotaa sako ge tum?? Agar mumkin ho aisa to.. TA’AL’LUQ TOR LENA TUMM.. BHALAY PHIR CHOR DENA TUM..!!

Mar bhee jaaoun to beetee huee baaton ko jaage huee raaton ko yaad karna.yaad karna aour jee lainaa tum meray naam ko kabhee apnay naam say bicharnay na dena meray kadmon ke chaap ghar kay darwaazay say nikalny na dena mujhay marnay na dena apnee palkain tum na bhigona mat rona beetee huee baaton ko jaage huee raaton ko yaad karna ,yaad karna aour jee laina main apnee awaaz aour apnay saary geet tumahin day jaaoun ga meree sab cheezon ko yunhee rahnay dena jaisay sham dhaltay he main lot kay aaoun gaa mujahy kho kar bhee kabhee na khona,mat rona beetee huee baaton ko jaage huee raaton ko yaad karna .yaad karna aour jee lain Mar bhee jaaoun to…………mat ronaaa

Is ney kaha tum shehzadi ho Shehzadi bhi wo’key jis ko Saat’on rang’on mein khushbo ko Gondh key dala ho ga Rab ney, norani pekar ki sorat Aik nazar tum dalo jis per Pathar bhi ik bar to boley Holey holey ankh’ein kholay Wada kerta hun mein tum sey Jo tum chaho, jo tum socho, jis shey ki ho khuahish tum ko Apna tan man bech key bhi mein tum ko dun ga Ik ishara ker key to dekho Sara zamana war dun jana’n! Tum ko jeet key dor thama ker Apna sab kuch har dun jana’n! Aur agar ye wada tor’on Mujh ko jewan ras na aye Doja mujh ko saans na aye Is ney kaha tum shehzadi ho Soch rahoi hun Shehzadi kesi hoti hai? Jesi mein hun Shehzadi aisi hoti hai??

Aik Bar Kaho Tum Meri Ho Hum Ghoom Chukey Basti Bun Main Aik Ass Ki Phansi Liye Man Main Koi Sajan Ho Koi Pyara Ho Koi Deepak Ho Koi Tara Ho Jab Jeewan Raat Andheri Ho Aik Bar Kaho Tum Meri Ho Jab Sawan Badal Chaiyee Hon Jab Phagan Phool Khilaye Hon Jab Chanda Roop Lutata Ho Jab Sooraj Dhoop Nahata Ho ya shaam nay basti ghari Ho Aik Bar Kaho Tum Meri Ho Han Dil Ka Daman Pheela Ho Kion Gori Ka Dil Mela Ho Hum Kab Tak Peet Kay Dhokey Main Tum Kab Tak Doe Jharokey Main Kab Der Sey Dil Ko Sairi Ho Aik Bar Kaho Tum Meri Ho Kya Jhagra Sood Khasarey Ka Yeh Kaam Nahi Banjarey Ka Sab Sona Ropa Lay Jayee Sab Dunya Dunya Lay Jayee Tum Aik Mujhey Behteri Ho Aik Bar Kaho Tum Meri Ho By Ibne-Insha

Bujhnay lag jai’n to phr shamai’n jala di jai’n meri aankhai’n mere dushman ko laga di jai’n be hunr loog kaha’n harf ki sachai kaha’n ab kitabai’n kisi darya me’n baha di jai’n un ki pehchaan ka dukh jaa’n se guzr jata hai ye shabeehai’n sir e aaina ganwa di jai’na ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunar ishq me’n tuhmatai’n aai’n to bhula di jai’n ya to khursheed chamakta rahay peshaani me’n ya lakeerai’n mere mathay ki mita di jai’n kitni bholi hui batai’n hamai’n aaj us ki “Saleem” yaad aai hai’n to ab us ko bata di jai’n

Muhabbat mangny ki shae nahi jo maang li jaye Kisi ko kab kahan ye raas aai hai Ye hum se aaj kehty ho? Suno Janaa’n! Tumhain bhi yaad to ho ga? Yehi to ibtada mein hum bhi kehty thy Magar tum ne tou is ki khud nafi kar di thi pal bhar mein Kaha tha us gharri tum ne Muhabbat mangny se mil bhi jati hai Magar ye shart hai jo mangta ho dil se wo mangy Aur hum ne akhir tum ko ye daulat sonp di lekin Wafa tum kar nahi paaye Tum ab aaye ho barso’n baad Aur ye hum se kehty ho K hum tum ko bhula baithy Tumhary khat jala baithy Humain laazim tha ye, Ta umer baithy rasta taktay Gharri bhar ko nahi thaktay Baja kehty ho, such kehty ho, kab inkaar hai hum ko Suno hum thak gaye hongy. . !

Suno Qismat Say Larney Ki Kabhi Koshish Nahin Kartey Muqadar Jab Mukhalif Ho Duaaein Be-asar Jaaein Sabhi Manzar Bikhar Jaaein …Tu Aisey Mein Baghawat Ki Kabhi Koshish Nahin Kartey Kisi Ke Saath Chalney Ki Kisi Ke Dil Mein Basney Ki Kabhi Khwahish Nahin Kartey Kisi Eik Shakhs Ki Khaatir Sabhi Say Door Ho Jaana Kahan Ki Ye Muhabbat Hai? Muhabbat Ye Nahin Hoti Muhabbat Dil Mein Hoti Hai Muhabbat Aks Hai Rab Ka Kabhi Ye Mar Nahin Sakti Humeisha Saath Rehti Hai Humeisha Saath Chalti Hai Miley Jo Humsafar Tum Ko Ussi Ke Saath Chalna Tum Ussey Dharrkan Bana Lena Ussey Dil Mein Basa Lena Magar Qismat Say Larney Ki Lakeeron Say Ulajhney Ki Kabhi Koshish Nahin Kartey Kabhi Koshish Nahi Kartey? !

Agar tum ko muhabbat thi To tum ney raast’on sey ja ker pocha kiun nahi manzil key barey mein Hawa’on pey koi pegham tum ney likh diya hota Darkht’on per likha wo nam tum ney kiun nahi dhonda..? Wo thando oss mein bhega, mehakta sa gulab aur mein Meray dhani sey anchal ko tumhara barh key chu lena Churana rang titli key, kabhi jugnoo ko pa lena Kabhi kaghaz ki kashti per bnana dil ki sorat aur is per khob likh jana Kisi bhanwrey ki sokhi aur kali’yon ka wo urna Tumh’ein bhi yaad to ho ga? Agar tum ko muhabbat thi ye sari baat’ein bhool saktey thay? Nahi jana’n! Muhabbat tum ney dekhi hai muhabbat tum ney pai hai Muhabbat ki nahi tum ney……

Iltajayen us ki phir khatir mein laaon kis tarah, Be’sabab rootha hua hoon maan jaaon kis tarah, Jis ko aankhen chahti hain mangta hai dil usey, Kese dhoka doon unhe, us ko manaaon kis tarah, Ajnabi sa aashnaa tha naam tak poocha nahin, Main ne maana laut aaye ga, bulaaon kis tarah, Hum agar yak jaan do’qaalib hain phir tu hi bata, Rooth jaye tu agar, khud ko manaaon kis tarah, Dekh ker sotey mmain us ko pyaar aata hai mujhe, Main bhala soyi huyi qismat kop jagaaon kis tarah, Woh kabhi rootha hai na main ne manaya hai usey, Aaj kyon rootha hai woh, us ko manaaon kis tarah, Maanta hai jo meri har baat, har zid, har lagan, Us wafaa paikar se saaqi, rooth jaaon kis tarah.. Rafiq Ahmad Saaqi

pagal aankhon wali larki! i tnay mehangay khawab na dekho – thak jao gi !! kanch say nazuk khawab tumharay toot gaye to pachta-o gi !! soch ka sara ujla kundan zabt ki rakh main ghol jaye ga kachchay pakkay rishto.n ki khooshboo ka resham khul jaye ga! tum kiya jano ? khawab , safar ki dhoop kay teeshay khawab , adhoori raat ka dozakh khawab , khayalo.n ka pachtawa khawabo.n ki manzil ruswai ! khawabo.n ka hasil tanhai !! tum kiya jano? mehangay khawab khareedna ho.n to aankahein baichna parti hain —ya rishtay bhoolnay partay hain andesho.n ki rait na phanko piyas ki oat sarab na dekho itnay mehangay khawab na dekho !! thak jao gi !! pagal aankhonn wali larki itnay mahangay khwab na daikho

Jab ho ke bay-qarar tujhay soochta hon main Din raat bar bar tujhay soochta hon main Sooraj ufuq k par jab doobta hay tub Koch ho k sogawar tujhay soochta hon main Main aaj bhe masroof-e-sufer hon teri janib Rusta hay khar khar tujhay soochta hon main Hunsta hon jhail laita hon sudmay judaie ke Hay umeed wasl-e-yar tujhay soochta hon main Jab bhe mujhay sunaie daiy dustak keward pay Tarap kar kaie bar tujhay soochta hon main Hain roz-o-shub meray ik jaisay he yahan Aashiq hon bay mizar tujhay soochta hon main Haathon main apnay daik, likhi ghazal ko tou Kehta hon bar bar tujhay soochta hon main Perdti hay jab phowar tau aiy jaan-e-shaukat Bohat ho k ashakbar tujhay soochta hon main By : Shaukat Ali Khan

Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein, Hazaron ghar huwe roshan jab mera dil jala MOHSIN. Faqat ik lafz “MOHABBAT” ki hum ne bheek mangi thi, Taras gaye khushi ko hum mili hai ye saza MOHSIN. Sukoon e zindagi chora ik teri zaat ki khatir, Magar phir bhi meri chahat se tum ko hai gila MOHSIN. Toota huwa ye dil le kar main kis k paas jaonga, Hai kaun wo karay ga jo mere dil ki dawa MOHSIN. Teri ankhain teri sansain tera chehra teri dharkan, Main kaise bhool paön ga teri har ik adaa MOHSIN. Kisi ko kya khabar mujh par har pal kya guzarti hai, Meri saari kahani ka hai tu hi aashna MOHSIN. Nahi qaabil tere lekin munasib jo agar samjho, Yaad rakhna duaon mein yehi hai ilteja MOHSIN.

Jo idhar sy ja raha hy wahi muje pay meharban hay kabhi aag pasban hy kabhi dhoop saiban hay   Bardi arzoo thi muje say koi khak ro ke kehti utara meri zamee-n par tu hi mera asma-n hy   Mai esi guma mai barso barda mutmain raha ho tera jisam barda tagheer,mera piyar jaoweda-n hay   kabhi surakh momi shamy waha phir sy jal saky gi wo lakhori ento-n ka jo barda sa ek maka-n hy   Sabhi baraf ke makano pay kafan bicheyn hay lekin ye dhowa bata raha raha hy abhi aaj bhi yahan hy   Koi aaj jesy kohry mai dabi dabi si chamkey teri jhilmilati aknho may ajeeb sa sam-n hy   Enhey raston ny jin par kabhi tum thy mery sath muje rok rok pucha tera hum safar kaha hy