Rat ki neendien to pehley hi ura kar ley gaya, Reh gai thi arzo so wo bhi aa kar ley gaya, Titliyan ayen gi kya ab kanch key guldan par, Phool jitney they wo balon me laga kar ley gaya, Din nikaltey hi khawbon kay jazeerey kya hoye, Subhah ka soraj meri ankhien chura kar ley gaya, Dor sey dekho to ye pani hai darya ki lakeer, Maoj me aya to jangal bhi baha kar ley gaya, Us ney to in motiyon par nazar dali nahi, Ankh ki thaali me dil anso saja kar ley gaya, Gaor sey dekha to dil ki khak tak baqi na thi, Mujhko da’awa tha kay main sab kuch bacha kar ley gaya, Sab ko apni hasraton ki talkhiyan yad agaiyen, Rang chehron ka wo tasweerien dikha kar ley gaya. Shehzad Ahmad

Your Comment Comment Head Icon

Login