Ab ke ehsaan jataney bhi nahin aya koi Mein jo rootha tou mananey bhi na aya koi Aik woh door ke soney bhi na dete they mujhe Aik yeh wakt ke jaganey bhi na aya koi Dag-magata tha tou sou hath lapakte they mujhe Gir gaya hoon tou uthaney bhi nahin aya koi Janey ahbab pe kya guzri, khuda kher kare Arsay se neya zakham laganey nahin aya koi Aese utra hoon dilon se ke hansaana tou kuja Aik muddat se rulaney bhi nahin aya koi Yun tou so baar, toota, jura, magar ab ke amin Aese toota ke bananey bhi nahin aya koi

Your Comment Comment Head Icon

Login