Tu buraa kyon manta hai meri har aik baat ka, Tujh ko andaaza nahin shayed mere halaat ka, Us ne ab ke mausmon ki is tarah taqseem ki, Mere hissey mein na aya phall mere baghaat* ka, Main pareshaan hi kahan apni pareshaani se hoon, Mera sara dukh to hai bass teri kayenaat ka, Jab yahan ke log sarey din ke sathi hain to phir, Kon manzar dekhne aata hamaari raat ka, Is tarah us ke dukhon ne mujh ko pathar kar diya, Ab mujhe sadmaa nahin hota kisi ki baat ka, Woh Shabana aaj kal mera mukhaalif* hai bohat, Jo kabhi hissa hua karta tha meri zaat ka.. (baghaat;lands where fruits grow)(mukhaalif;opponent) Shabana Rahat

Your Comment Comment Head Icon

Login